Bhool jana to ab nahi bas mai

by aaina on June 03, 2010, 11:36:16 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2933 times)
aaina
Guest
Reply with quote
zindagi bat gayi do khaano mai
aapki nazro.N ke paymaano mai

jab se deewaangi samjh aayii
hum bhi shamil huway deewaano mai

dam jo bhrte the hum pe marne ka
aate hain ab nazar begaano mai

bhool jana to ab nahi bas mai
teer e dil na rha kamaano mai

tay parindo ko musafat karke
lot jana hai aashiyano mai

haar se keh do door hat jaaye
ab hai aslam teri amaano mai




aslam
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bhool mat jana by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
BHOOL NA JANA REHMAT KI BARSAT KO. by Anushka in Shairi - E - Zindagi
~*~Bhool Jana~*~ by pankshivam in Shayri-E-Dard
Nahi kehta yeh tumsey laut kar wapas nahi jana by Syed Mohd Mahzar in Ghazals
Tujhe Bhool Jana Mumkin Nahi ,,,, #MAD by Maddy7677 in Shayri for Khumar -e- Ishq
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #1 on: June 04, 2010, 12:03:30 AM »
Reply with quote
Aslam bhai ,,salamwalekum.. bade din baad koi aisa sher nazar se guzra ke jis pe saari raath wah - ahh karte howe guzar den to bhi sher ki bhar pai nahi hosakti ,,

Tay parindo ko musafath karke !!
Laut jaana hai ashiyano me !!

wah wah bahi wah .. parindon aur ashiyane ka kya qoob istemaal kiya hai yaara ..wah .. ye sher apki ghazal ka kaleja hai bhai....maza aa gaya bada sanjeeda sher hai .. waise ghazal pori sir se paa tak qoob hai .. dad hazir hai qubool karen ..allah apko khush rakhe ..


apka bhai

qadeertoopchi
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #2 on: June 04, 2010, 02:09:29 AM »
Reply with quote

  Waah waah Aslam ji,Kya mazedaar ghazal pesh ki hai aapne,har sher lajawaab.Bahut khoobsurat likha hai aapne. icon_thumleft
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #3 on: June 04, 2010, 06:59:55 AM »
Reply with quote
ASLAM BHAI NA AAH NA WAAH BAS WALLAH HI NIKAL PADA .LAFZON KE SAMANDAR ME KHAYALON KI GOTAKHORI KARKE ASAAR KE JO NAYAB MOTI AAP CHUN LAAYE HAIN BEMISAAL HAIN.
Logged
sbechain
Guest
«Reply #4 on: June 04, 2010, 07:51:57 AM »
Reply with quote
nice ghazal aslam ji Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: June 04, 2010, 08:02:54 AM »
Reply with quote
Bahut bahut Khoob Aslam Ji..

Humesha Ki tarah Lajawaab!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #6 on: June 04, 2010, 11:26:14 AM »
Reply with quote
Aslam Bhai bahot purkashish aur purlutf ghazal kahi hai aapne. Bahot khoobsurat kalaam hai aapka. Hazaron daad hazir hain.
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #7 on: June 04, 2010, 04:37:07 PM »
Reply with quote
aslam saheb bahot hi umda ghazal iss bazm ko ata ki hai aapne,qadeer bhai ki rae se mei bhi ittefaq karta hoon bahot din baad istehe ka shair nazar nawaz hua..iss haqeer ki jaanib se daad khobol karein,aur bazm ko aisi hi nayaab ghazlaon se roshan karte rahiye.
zindagi bat gayi do khaano mai
aapki nazro.N ke paymaano mai

jab se deewaangi samjh aayii
hum bhi shamil huway deewaano mai

dam jo bhrte the hum pe marne ka
aate hain ab nazar begaano mai

bhool jana to ab nahi bas mai
teer e dil na rha kamaano mai

tay parindo ko musafat karke
lot jana hai aashiyano mai

haar se keh do ke door hat jaaye
ab hai aslam teri amaano mai




aslam
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #8 on: June 12, 2010, 09:50:53 AM »
Reply with quote
bahut hi umdaa peshkash hai aaina ji.bahut khoob...
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #9 on: June 14, 2010, 12:10:23 PM »
Reply with quote
TAY PARINDO KO MUSAFAT KARKE LAUT JAANA.......BAHUT KHOOB AAINA JI Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
aaina
Guest
«Reply #10 on: June 15, 2010, 10:42:20 PM »
Reply with quote
Aslam bhai ,,salamwalekum.. bade din baad koi aisa sher nazar se guzra ke jis pe saari raath wah - ahh karte howe guzar den to bhi sher ki bhar pai nahi hosakti ,,

Tay parindo ko musafath karke !!
Laut jaana hai ashiyano me !!

wah wah bahi wah .. parindon aur ashiyane ka kya qoob istemaal kiya hai yaara ..wah .. ye sher apki ghazal ka kaleja hai bhai....maza aa gaya bada sanjeeda sher hai .. waise ghazal pori sir se paa tak qoob hai .. dad hazir hai qubool karen ..allah apko khush rakhe ..


apka bhai

qadeertoopchi


Qadeer bhai nawazish hai, aapki mohabbat hai jo aap aisa sochte haiN yuN hi saath daite rahiye khush rahiye


aslam
Logged
aaina
Guest
«Reply #11 on: June 15, 2010, 10:43:21 PM »
Reply with quote
  Waah waah Aslam ji,Kya mazedaar ghazal pesh ki hai aapne,har sher lajawaab.Bahut khoobsurat likha hai aapne. icon_thumleft


Bhut shukriya Tamanna jii ghazal ki pasndgi ke liyN aapka tahe dil se mamnoon huN



aslam
Logged
aaina
Guest
«Reply #12 on: June 15, 2010, 10:44:17 PM »
Reply with quote
ASLAM BHAI NA AAH NA WAAH BAS WALLAH HI NIKAL PADA .LAFZON KE SAMANDAR ME KHAYALON KI GOTAKHORI KARKE ASAAR KE JO NAYAB MOTI AAP CHUN LAAYE HAIN BEMISAAL HAIN.


Zarranawaazi hai Mamta ji jo aap aisa sochti haiN bhut shukrya in khoobsurat alfaazoN ke liyN


aslam
Logged
aaina
Guest
«Reply #13 on: June 15, 2010, 10:44:51 PM »
Reply with quote
nice ghazal aslam ji Applause Applause Applause

bhut shukrya Sheba jii.........


aslam
Logged
aaina
Guest
«Reply #14 on: June 15, 2010, 10:45:33 PM »
Reply with quote
Bahut bahut Khoob Aslam Ji..

Humesha Ki tarah Lajawaab!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



Hosala afzaii ka bhut shukriya Khwaish sahab



aslam
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 04:59:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer