Chhalke hai aankhein, Tarse hai mann yeh,
Ruki hui hai dhadkan, Ruki Ruki saansein…
Dagmagaa rahii hoon main phir chalte chalte,
Mujhe thaamaa tha mere bachpan mey jaisey,
Gudiaa ko apni apna haath phir thamaa dey…
Baabul mujhey phir sey tu apne paas bula ley…
Woh aangan ka jhoola kya ab bhi pada hai,
Woh Tulsii ka paudha kya ab bhi khada hai…
Woh satrangii chhatrii, woh baarish ka mausam,
Kaagaz ki kashtii phir mere liye ek bana dey…
Ek baar mujhko phir sey woh bachpan lauta dey…
Baabul mujhey phir sey tu apne paas bula ley…
Woh gudiya ki kangghee, woh khel khiloney,
Woh mera takiyaa aur woh mere bichhoney…
Meri kuch kitaabein thii, kuch adhoore sapne,
Sapne woh mujhko ek baar phir sey lauta dey…
Yaa saamaan mera Ganga mey bahaa dey…
Baabul mujhey phir sey tu apne paas bula ley…
Kaise jigar ke tukde ko kar diya tuney paraaya,
Doli ke waqt tuney jab kalejey se lagayaa,
Maine sunaa thaa baabul tera dil ro raha tha,
Kaise rotey dil ko tuney phir thaa manaayaa…
Baabul waise he dil ko ek baar phir tu mana ley…
Baabul mujhey phir sey tu apne paas bula ley…
Lagi thhartharaane jab lau zindagi ki,
Maine lakh tujhko diye thhe ishaare,
Maa ko bheji thi khat mey ek kali murjhaayi,
Bheji naa raakhi, chodh di bhai ki sooni kalaai…
Magar betii tumhari ho chuki thii parayii,
Shayad naseeb apna samjhaa naa paayii,
Aakhiri baar meri aaj tum phir kar do vidaaii…
Lekin vidaaii se pehle apni nazar mey basaa ley…
Baabul mujhey phir sey tu apne paas bula ley…
Mujhey khaakh kar ney ko chala thaa jab zamaana…
Kyon roye thhe tum bhi, mujhey yeh bataana,
Aankhon mey ab naa aansoo phir sey laanaa…
Bhatakti hai ruuh meri, tere pyaar ko phir sey…
Maathhey pey haat rakh kar meri ruh ko sulaa dey…
Baabul mujhey phir sey tu apne paas bula ley
Please tell me App Ko Yeah Ghazal kasi Lagi
Very Nice.... :evil:
This has been written by me only....
See this link...
http://www.yoindia.com/forums/baabul-a-last-lost-dream-of-a-girl-vt21425.htmland also
http://shikha12.wordpress.com/
Now... this is the Limit of Copying other's Stuff and Posting without mentioning the Original Writer Name... [/color]