Janab mazHur Saheb! Adab!
Main aapko pahli baar paRh raha hooN aur pahli baar hi main aapse bahut mutaccir hoon. Aapki ye ghazal khoob hi nahin bahut khoob hai. Bahut achchha kahte hain. Aapke kalam mein rawaani ke saath saathy naghmagi bhi hai. Mujhe aapki ghazal paRhkar jo lutf mila bayaan nahin kar sakta, dua karta hoon k zore qalam aur ziyadah....... Choonke aapk aik achchhe funkaar hain is liye ye bataana bhi theek hoga k aapki ghazal mein do jagah bahr ki chook hui hai aur ye chook door ho sakti thi agar aap ise post karne se qabl aikbaar dekh lete, aaindah iska khayaal karenge aur meri kahe ka bura na maanenge. Apni is khoobsurat peshkash par hazaron daad qubul kijiye aur isi tarah apne kalamon se nawazte rahiye.
(waquif ansari)
Kaha mein ne kia jo khafa ho gaye?
Sanam tum to nazuk ada ho gaye!
Qareeb aa ke JaaO na yoon hum se door
Na mer jaayein hum gar juda ho gaye.
muhabbat mein shak-o-shuba al-lama'N
woh kehte hein hum bewafa ho gaye.
Butoan kee parastish mein kia harj he?
woh insaan nahi ke khuda ho gaye.
Gham-e-ishq kee na mili jo dawa
hum apnay hee dukh kee dawa ho gaye.
Khuli aankh se hum ne dekhey the jo
wohi khwab hamari saza ho gaye.
gharonday banaye the jo rait ke
charha jo samandar fana ho gaye.
gunahoan ko maamooli samjha tha mein
sawaboan se woh ma-siwa ho gaye.
garaibaan he chaak aur daman he taar
sab-hee daagh juzway qaba ho gaye.
bhataktay rahay hum andheroan ke sung
Jalay toe hum aisay diya ho gaye.
abhi lay ke niklay the naaO ke Ah!
samandar mein toofan bapa ho gaye.
dabi reh gaye aashiqoan kee pukar
hum apnay hee dukh kee sada ho gaye.
na jaane kaha bar-mala hum ne kia
khuda jaane kia lafz ada ho gaye!