Chale Bhi Aao Ke Ab Dil Kahee Aur Lagta Nahi "Khwahish"

by khwaish on June 13, 2013, 08:13:01 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1632 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
Reply with quote
Woh Merey sath Hi Rehta Hy Jahaa'n Tak Jaou'n.!!

Mai'n Hoon Dariya To Hai  Woh Shakhs Kinara Mera

Dil kehta Hai Ke Tujhe Ek Baat Bataaun Main
Gar Tu De Izzazat To Kya Kareeb AauuN Main

Kabhi Aaene Se NazreN Milakar Pucho To Sahee
Kitni Haseen Ho Tum,Apne LafzoN MeN SunauN Main

Kal Tera Khawab Tha,Khayal Tha,Pata Nahi Mujhe
Ek Ghazal likhi Thi, Kya Usse GungunauN Main

Bahaar-e-Zindagi Ka Luft Teri Aankhon MeN HaiN
Kaash Inn AankhoN MeN Hi Ab Doob JaauN Main

Chale Bhi Aao Ke Ab Dil Kaheen Aur Lagta Nahi
Teri Tasveer Ko Kya Apne Seene Se LagaauN Main

Main jahaan Jaata Hoon Tujhe Wahaan Paata Hoon
Inn LafzoN Se Tujhe Kaise Yakeen DilauN Main

Mere Siiwa Tujhe Koi Aur Dekhe Bhi Naa Dilbar
Kaash Iss Duniya Ki Nazron Se Tujhe ChupauN Main

           ~~~~~Khwahish~~~~~
Logged
aqsh
Guest
«Reply #1 on: June 13, 2013, 08:18:22 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
ufffffffffffff so romantic. kya baat hai khwaish ji. bahut hi khoobsurat ghazal rahi.sabhi ashaar dil ke kareeb rahe. kitni baar padhoon. har baar phir padhne ko dil karta raha.

Dil kehta Hai Ke Tujhe Ek Baat Bataaun Main
Gar Tu De Izzazat To Kya Kareeb AauuN Main

Kabhi Aaene Se NazreN Milakar Pucho To Sahee
Kitni Haseen Ho Tum,Apne LafzoN MeN SunauN Main

Kal Tera Khawab Tha,Khayal Tha,Pata Nahi Mujhe
Ek Ghazal likhi Thi, Kya Usse GungunauN Main

Bahaar-e-Zindagi Ka Luft Teri Aankhon MeN HaiN
Kaash Inn AankhoN MeN Hi Ab Doob JaauN Main

Chale Bhi Aao Ke Ab Dil Kaheen Aur Lagta Nahi
Teri Tasveer Ko Kya Apne Seene Se LagaauN Main

Main jahaan Jaata Hoon Tujhe Wahaan Paata Hoon
Inn LafzoN Se Tujhe Kaise Yakeen DilauN Main

Mere Siiwa Tujhe Koi Aur Dekhe Bhi Naa Dilbar
Kaash Iss Duniya Ki Nazron Se Tujhe ChupauN Main

koi ek sher nahi doondh paayi jise sabse achcha kahoon. sabhi lajawab hai.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley  Thumbs UP Thumbs UP
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #2 on: June 13, 2013, 08:27:02 PM »
Reply with quote
hmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmm.............. samjh to aap gaye honge is hm ka matlab...... samjhdar ko ishaara kaafi hai khwaish ji....... 
BangHead BangHead BangHead cussing cussing cussing

behad pyaar bhari aur dil se likhi gazal hai ye aapki.......
 love4 love4 love4 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

gar ho ijaazat to tere sur me sur milaaun main
tu likhe mujhpe gazal use pyaar se gungunaun main

tere lafzon me khudko mehsus kar ke sanam
aaine me dekhun khudko aur muskuraaun main

har sher me saj gaya hai tere pyaar ka rang
isme se kuch rang churakar khud par lagaun main

kasak kahe tumse "ae khwaish na kar khwaish aisi"
tu kahe jise mujhse to sunkar sharma jaun main...!!!
 love4 love4 love4
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #3 on: June 13, 2013, 08:39:01 PM »
Reply with quote
Very Nice Khwahish Jee!! Very Romantic!!!

Chale Bhi Aao Ke Ab Dil Kaheen Aur Lagta Nahi
Teri Tasveer Ko Kya Apne Seene Se LagaauN Main

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

laaiba
Guest
«Reply #4 on: June 13, 2013, 08:39:28 PM »
Reply with quote
waa waa khwaish ji, Applause Applause Applause.......dil ke jazbat khubsurat se baya.n kiye haiN aap ne ,.............bohat bohat bohat c daad,.........
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #5 on: June 13, 2013, 10:36:58 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
ufffffffffffff so romantic. kya baat hai khwaish ji. bahut hi khoobsurat ghazal rahi.sabhi ashaar dil ke kareeb rahe. kitni baar padhoon. har baar phir padhne ko dil karta raha.

Dil kehta Hai Ke Tujhe Ek Baat Bataaun Main
Gar Tu De Izzazat To Kya Kareeb AauuN Main

Kabhi Aaene Se NazreN Milakar Pucho To Sahee
Kitni Haseen Ho Tum,Apne LafzoN MeN SunauN Main

Kal Tera Khawab Tha,Khayal Tha,Pata Nahi Mujhe
Ek Ghazal likhi Thi, Kya Usse GungunauN Main

Bahaar-e-Zindagi Ka Luft Teri Aankhon MeN HaiN
Kaash Inn AankhoN MeN Hi Ab Doob JaauN Main

Chale Bhi Aao Ke Ab Dil Kaheen Aur Lagta Nahi
Teri Tasveer Ko Kya Apne Seene Se LagaauN Main

Main jahaan Jaata Hoon Tujhe Wahaan Paata Hoon
Inn LafzoN Se Tujhe Kaise Yakeen DilauN Main

Mere Siiwa Tujhe Koi Aur Dekhe Bhi Naa Dilbar
Kaash Iss Duniya Ki Nazron Se Tujhe ChupauN Main

koi ek sher nahi doondh paayi jise sabse achcha kahoon. sabhi lajawab hai.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley  Thumbs UP Thumbs UP

Thankssssssssssssss A Million Aqsh ji............

Thankyou Soooooooooooooo Much For Your Appreciation....Par Aap Bhi kuch Likhte To Aur Accha Lagta... icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #6 on: June 13, 2013, 10:38:25 PM »
Reply with quote
hmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmm.............. samjh to aap gaye honge is hm ka matlab...... samjhdar ko ishaara kaafi hai khwaish ji....... 
BangHead BangHead BangHead cussing cussing cussing

behad pyaar bhari aur dil se likhi gazal hai ye aapki.......
 love4 love4 love4 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

gar ho ijaazat to tere sur me sur milaaun main
tu likhe mujhpe gazal use pyaar se gungunaun main

tere lafzon me khudko mehsus kar ke sanam
aaine me dekhun khudko aur muskuraaun main

har sher me saj gaya hai tere pyaar ka rang
isme se kuch rang churakar khud par lagaun main

kasak kahe tumse "ae khwaish na kar khwaish aisi"
tu kahe jise mujhse to sunkar sharma jaun main...!!!
 love4 love4 love4

Thanks a Lottttttttttttttttt Annnu...Aur Ek Dam Mastttttttttt Reply.....Justttttttttttt Awesome...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #7 on: June 13, 2013, 10:46:55 PM »
Reply with quote
Kabhi Khwaab Ban Kar Tere Palkon MeN JhilmilauN Main
Umar Bhar Ka Pyaar Kabhi Tujh Par LutaauN Main

De Rahi HaiN Dastak Dil Ki Dhadkane Kuch
Aaa Kareeb Aaa,Aaj Tujhe Bhi SunaauN Main

ZulfoN Ki To Fitrat Hai Chehre Par Bikharne Ki
Tere Zulfon Tale Aaj Gehri Neend So JaauN Main

Ishq Ka Jaam Har Ek Ko Naseeb Nahi Hota 'Khwahish"
Tujhe Paa Kar Phir Kyun Naa Aaj ItraauN Main.
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #8 on: June 13, 2013, 11:05:57 PM »
Reply with quote
ye aag hijr ki kaise sanam bujhaun mai
batao kaise bhala aap ko bhulaaun mai

tumhari yaad ke jungle me baith ke jaana
tumhara naam hi likh likh ke ab mitaaun mai

agarche shart mahubbat ki hai yahi to phir
hazaar dard chupa ke bhi muskuraaun mai

Kalam apka khawish mai tumko kya bolo'n
kahe ye dil ke shab-o-roz gungunaau'n mai

Wah Wah Khwahish Sahib bala ka kalam taqleeq kiya hai aapne ...darje bala misre zahn me tarteeb paaye ...mai chahunga ke aap inhe in songs ki dhon me gungunaye'n ( KABHI KABHI MERE DIL ME KHAYAL AATA ) ya phir ( ZUBAN PE DARD BHARI DASTAN CHALI AAEE ) ya ( NASHA SHARAB ME HOTA TO NAACHTI BOTAL )aapke kalam ke khuch misre issi bhr ke khareeb hain ( MUFAAELUN FAELAATUN MUFAAELUN FELUN )

dua go

Qadeertoopchi
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #9 on: June 13, 2013, 11:11:26 PM »

qadeer toopchi sahab kya gazab ka reply diye ho aap ..... maza aagaya padhkar ....... behtareennnnnnnnnnn
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #10 on: June 13, 2013, 11:17:22 PM »
Reply with quote
Kabhi Khwaab Ban Kar Tere Palkon MeN JhilmilauN Main
Umar Bhar Ka Pyaar Kabhi Tujh Par LutaauN Main

De Rahi HaiN Dastak Dil Ki Dhadkane Kuch
Aaa Kareeb Aaa,Aaj Tujhe Bhi SunaauN Main

ZulfoN Ki To Fitrat Hai Chehre Par Bikharne Ki
Tere Zulfon Tale Aaj Gehri Neend So JaauN Main

Ishq Ka Jaam Har Ek Ko Naseeb Nahi Hota 'Khwahish"
Tujhe Paa Kar Phir Kyun Naa Aaj ItraauN Main.

aayeeee hayeeeee zaalim kya baat hai......... superbbbbbbbbbbbb......

saanson me teri aaj gum hi ho jaun main
mehke tu mujhme ... tujhme mahek jaun main

na rahe hosh hume kisika dost ho ya dushman
tere sath ho to sare jahaan ko bhulaun main

lekar baahon me tumhe ae dildaar sanam
badi hi gehri nind mein ab so jaun main

na rahe kasak koi bhi baki mahobbat me
kuch iss tarah teri mahobbat me loot jaun main...

Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #11 on: June 13, 2013, 11:20:58 PM »
Reply with quote
qadeer toopchi sahab kya gazab ka reply diye ho aap ..... maza aagaya padhkar ....... behtareennnnnnnnnnn

waise aaj ka din ajeeb hai kasak sahibah ,,eak deewana waar shair pagalo'n ki tarhan apna garebaan chaakh kar ke taar taar kar raha hai ....chupa ke ashq muskurane ki koshish kar raha hai ,,,,aaj ka din ajeeb hai ....apko jub jub dekhta hun zubaan se besahaqta nikal jaata hai ke aaj ka din ajeeb hai
Logged
Bhupinder Kaur
Guest
«Reply #12 on: June 13, 2013, 11:41:28 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #13 on: June 14, 2013, 12:18:31 AM »
Reply with quote
Very Nice Khwahish Jee!! Very Romantic!!!

Chale Bhi Aao Ke Ab Dil Kaheen Aur Lagta Nahi
Teri Tasveer Ko Kya Apne Seene Se LagaauN Main

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aapka bahut Bahut Shukriya Shireen Ji icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
nashwani
Guest
«Reply #14 on: June 14, 2013, 12:47:54 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Behatareen ghazal hai khwahish jee..too romantic nd touchy..bahut pasand ayi..dhero daad..happy9
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:09:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer