Chalo Kuch Din Ke Khaatir Ajnabi Ho Jaaye Hum "Khwahish"

by khwaish on September 04, 2013, 02:55:12 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3216 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Uss Mod Se KareN Phir Yeh Zindagi
Har Shay Jahaan Haseen Thee,
Hum Tum The Ajnabi...............

       Sudharshan Faakir



AndheroN MeN Beshaq Roshni Kuch Kam Deti Hai
Par 'Umeed' Jeene Ke Liye Naye Dam Deti Hai

Mere Chehre Ki Chamak Bhi Tere Badaulat Hai..!!!
Kaun Kehta Hai Teri Yaad Sirf Gham Deti Hai

Chalo Kuch Din ke Khaatir Ajnabi Ho Jaaye Hum
Suuna Hai Judai Mohabbat Ko Phir Janam Deti Hai

Kitne Ajeeb Mod Par Bichadne Ka Faisla Kiya Humne
Hum Bhool Kyun Gaye,Zindagi Naye Mausam Deti Hai

Naa Ab Khone Ka Haulsa Hai Naa Paane Ki Aarzoo..!!
Zindagi MeN Jhooti Tasalli Bhi Kaise Marham Deti Hai

Har Ek Dil MeN Hazaaro kisse Dabe Hue Hote HaiN..!!!
Kuch Kisso Ko Zabaan "Khwahish" Ki Kalam Deti Hai



        ~~~~~Khwahish~~~~~~
Logged
laaiba
Guest
«Reply #1 on: September 04, 2013, 03:05:14 AM »
Reply with quote
Uss Mod Se KareN Phir Yeh Zindagi
Har Shay Jahaan Haseen Thee,
Hum Tum The Ajnabi...............waahh waah,...

       Sudharshan Faakir



AndheroN MeN Beshaq Roshni Kuch Kam Deti Hai
Par 'Umeed' Jeene Ke Liye Naye Dam Deti Hai

kya baat hai ,...

Mere Chehre Ki Chamak Bhi Tere Badaulat Hai..!!!
Kaun Kehta Hai Teri Yaad Sirf Gham Deti Hai

kamaal ka khyal hai,....

Chalo Kuch Din ke Khaatir Ajnabi Ho Jaaye Hum
Suuna Hai Judai Mohabbat Ko Phir Janam Deti Hai

iss sher ne to rooh khinch li jee waah waah our bas waah,

Kitne Ajeeb Mod Par Bichadne Ka Faisla Kiya Humne
Hum Bhool Kyun Gaye,Zindagi Naye Mausam Deti Hai

yeh tajruba b kr lena chahiye lyf main Usual Smile kya kehne aapki andaz e fikr ke,.......

Naa Ab Khone Ka Haulsa Hai Naa Paane Ki Aarzoo..!!
Zindagi MeN Jhooti Tasalli Bhi Kaise Marham Deti Hai

waah waah ghazab dhate ho aap khwaahish ji,...

Har Ek Dil MeN Hazaaro kisse Dabe Hue Hote HaiN..!!!
Kuch Kisso Ko Zabaan "Khwahish" Ki Kalam Deti Hai

aik hi dua hai allah kare zor e khyal our zyada,..
        ~~~~~Khwahish~~~~~~

waah waah khwahish ji ,kamaal ker dia aap ne ,....dil main kya rooh mein uter gaye ye sare lafz,....
woh kehte hain na ke
jo mere guman main lafz they woh teri zubaan pr aa gaye,,
maashaallah allah kare zor e qalam our zyadaa,,
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #2 on: September 04, 2013, 03:27:44 AM »
Reply with quote
Wow!So nuce.bahut khoob likha hai aapne. Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #3 on: September 04, 2013, 04:27:26 AM »
Reply with quote
wha wha wha bhut khub
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: September 04, 2013, 05:17:38 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Bas dheron daad dena chahunga iss kalam par..
Bahaut bahaut pyaara aur dil choo ne wala likha hai dost..
Khush rahiye..!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: September 04, 2013, 08:31:33 AM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #6 on: September 04, 2013, 08:47:46 AM »
Reply with quote
wah wah, dhero daad Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Bishwajeet Anand Bsu
Guest
«Reply #7 on: September 04, 2013, 01:21:15 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob.........Aagaz e mohabbat se lekar anzam e mohabbat sab kuch likh diya aapne Khwahish jee apne is ghazal me,
Dheron daad.... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #8 on: September 04, 2013, 01:29:07 PM »
Reply with quote
Uss Mod Se KareN Phir Yeh Zindagi
Har Shay Jahaan Haseen Thee,
Hum Tum The Ajnabi...............

       Sudharshan Faakir



AndheroN MeN Beshaq Roshni Kuch Kam Deti Hai
Par 'Umeed' Jeene Ke Liye Naye Dam Deti Hai

Mere Chehre Ki Chamak Bhi Tere Badaulat Hai..!!!
Kaun Kehta Hai Teri Yaad Sirf Gham Deti Hai

Chalo Kuch Din ke Khaatir Ajnabi Ho Jaaye Hum
Suuna Hai Judai Mohabbat Ko Phir Janam Deti Hai

Kitne Ajeeb Mod Par Bichadne Ka Faisla Kiya Humne
Hum Bhool Kyun Gaye,Zindagi Naye Mausam Deti Hai

Naa Ab Khone Ka Haulsa Hai Naa Paane Ki Aarzoo..!!
Zindagi MeN Jhooti Tasalli Bhi Kaise Marham Deti Hai

Har Ek Dil MeN Hazaaro kisse Dabe Hue Hote HaiN..!!!
Kuch Kisso Ko Zabaan "Khwahish" Ki Kalam Deti Hai



        ~~~~~Khwahish~~~~~~

waah waah khwahish hi lajwaab likha hai ,
umda khayaal,achhe alfaaz se labrez,
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #9 on: September 04, 2013, 02:02:58 PM »
Reply with quote
padh kar zuban pe taale pad gaye aur ham tareef karne se khasir rah gaye, bas itna kahenge ke ham me itni jurrat nahi ke suraj ko diya dikha den.....
Mere Chehre Ki Chamak Bhi Tere Badaulat Hai..!!!
Kaun Kehta Hai Teri Yaad Sirf Gham Deti Hai

Chalo Kuch Din ke Khaatir Ajnabi Ho Jaaye Hum
Suuna Hai Judai Mohabbat Ko Phir Janam Deti Hai
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
aqsh
Guest
«Reply #10 on: September 04, 2013, 02:23:26 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Peshkash toh achchi lagi khwaish ji..par kya karoon kuch likhe bina rah nahi paayi.. bura lage toh muaaf kijiyega...


Phir se jeene ki ummeed, kisi dard ka marham nahin hota
Waqt jo guzar gaya ,un lamhon ka dobara janam nahin hota

Kuch yaadein aisi hoti hai, jo ta umar saath reh jaati hain
Pal bhar ke liye bhi door ho, aisa koi mausam nahin hota

Bahut kuch khona padhta hai, do dilon ko qareeb aane mein
Bichadkar phir ajnabi banne ka faislaa, ek dam nahin hota

Muhabbat mein khone aur paane ki, baatein kyun kare
Do meethe bol ki saugaat se, kabhi pyaar kam nahin hota

Haath ke chootne se koi rishte, nahin toota karte “Aqsh”
Ahd e wafa ko nibha sake, har kisi mein dam nahin hota


Logged
NeelamJ
Guest
«Reply #11 on: September 04, 2013, 02:31:25 PM »
Reply with quote
Ghazab ki creation hai, bahut hi behtreen
Logged
Bhupinder Kaur
Guest
«Reply #12 on: September 04, 2013, 02:44:12 PM »
Reply with quote

Main vaari java, aapke likhne k andaz par..................
Haye kitni khooburat hai yeh ghazal, ke iski shaan mei, main lafz kahan se lauon....
Hor ki likhaan...
"JI"Khush kitha hai......................

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: September 04, 2013, 06:09:22 PM »
Reply with quote
waah waah khwahish ji ,kamaal ker dia aap ne ,....dil main kya rooh mein uter gaye ye sare lafz,....
woh kehte hain na ke
jo mere guman main lafz they woh teri zubaan pr aa gaye,,
maashaallah allah kare zor e qalam our zyadaa,,


Laaiba Ji Aapka Tahe Dil Se Bahut Bahut Shukriya...

Behad Khushi Hoti hai Jab Koi Aapka Likha Iss Kadar Pasand karta Hai..Bas Yuhi Humesha Apna Waqt Dete Rahiyega...Thanksssss A Million For Your Valuable Time & Heart-Felt Comments..... icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: September 04, 2013, 06:10:25 PM »
Reply with quote
Wow!So nuce.bahut khoob likha hai aapne. Applause Applause Applause Applause Applause Applause


Thanyou Sooooo Much Ravinder Ji icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:54:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.142 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer