~~"CHEHRE SE PARDA UTHAO ZARA"~~ by Shally.

by k.shael on May 05, 2009, 08:15:40 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 6096 times)
k.shael
Guest
Reply with quote
Ye Meri pehli ghazal hai khumar-e-ishq me, umeed karti hoon aap sab pasandh karenge,


Khoye ho apni hi duniya me kabhi hamse nazar milao zara,
Tum bhi ho chand bhi hai wajood kiska hai asal batlao zara,

Kaatilana andaaj rakhti hai nazre tumhari khuda ki kasam,
Ho na jaaye diwana har koi, Inhe rehna salike se sikhao zara,

Reshmi badan pe makhmal ki kurti reham karo aashiqo par,
Aur kuch nahi to iss pyari moorat pe kajal ka tika lagao zara,

Kya zarurat mehfil me chiraagoo.n ki ae hasee.n jaan-e-mann,
Mehfil tumhari hai,ham tumhare hai chehre se parda uthao zara,

Wah Wah keh uthenge log iss mehfil ke teri har adaa ko dekhkar,
Dil hi dil me gungunate ho jise, uss tarane ko aaj labo pe lao zara,

Hichkichahat na u rakho kisi baat ki mehfil-e-yaar  me Shally,
Dil-phaink majnu nahi Aashiq hai tumhare duniya ko batlao zara.

Shally.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
chehre se parda hataalo zara... by sushiljain in Shayri for Khumar -e- Ishq
~~"JEHAR PILAATI HAI ZINDAGI"~~Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
~~"ANJAAM BAHUT DOOR HAI"~~by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
~~"KISI KE JAANE SE"~~by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
"" Hasi hai jiske chehre par "" by nirala in Shayri-E-Dard
_Vicky_
Guest
«Reply #1 on: May 05, 2009, 08:26:19 AM »
Reply with quote
Wow Kya Baat Hai Shally.. Aisa Laga Nahi Ki Yeh Tumhari Pahali Gazal Hai Khumar-e-Ishq Me..!! Har Lafz Mohabbat se Bhara Hai..!!

Ek Aahiq Ki Nazar se Likha Yeh Qalaam Waqai Bahut Khubsoorat aur Pyaar Bhara Hai..!! Really Beautiful Words.. Bahut Bahut Khoooob.. Applause Applause Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
salma786
Guest
«Reply #2 on: May 05, 2009, 08:34:13 AM »
Reply with quote
Waah bahoot bahoot khoob Shally sis....aap to maahir hai khumar-e-ishq me love4
Applause Applause Applause
Logged
fairy2633
Guest
«Reply #3 on: May 05, 2009, 08:36:23 AM »
Reply with quote
hmm....very nice...bahut pyaari lines hai shally.... Applause aapki ye pyaar bhari peshkash mujhe bahut pasand aayi... Usual Smile
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #4 on: May 05, 2009, 08:41:18 AM »
Reply with quote
Nawab ji,

Kya baat hai ! Bahut khoob Applause

Khumar se bharpoor ghazal ! Winking

Lage raho ! Usual Smile
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #5 on: May 05, 2009, 09:24:44 AM »
Reply with quote
Bahoot Khooob Shally ji
Very Nice
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: May 05, 2009, 09:35:42 AM »
Reply with quote
Waah Jitni Taareef Karoon Kam Hai Shally, Great Work,.
BohatDino BaadItni DamdaarIshq Waali Ghazal Pardhne Ko Mili,

Kisi Ki Nazar Na Lagaa,Yunhi Likhte Rehna,May Allah Bless You,.
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #7 on: May 05, 2009, 10:23:56 AM »
Reply with quote
Bahut behatareen Ghazal pesh ki hai aapne Shally Ji Khumar-e-ishq me
 Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley
Wonderful, Mind-blowing, Shally Ji

Aapki itni sunder peshkash per mujhe apni ghazal ke chand ashar yaad aa gaye

NAZAR JHUKI HAI MAGAR DIL ME BEKARARI HAI
HAYA KI AAD ME JAISE KOI SHIKARI HAI

HUM BHI KHAMOSHI KO SUN LENE KA FUN RAKHATE HAIN
ZINDAGI HUMNE BHI YUN HI NAHIN GUZARI HAI

BAND HOTON ME MUHABBAT KO CHHUPA LE LEKIN
SURKH CHEHARE SE ZIGAR KA BAYAN JAARI HAI

AANKH KE TEER SE ZAKHMI HUE ZIGAR KITANE
AISA LAGATA HAI KI AB TO HAMARI BAARI HAI

SARVESH RASTOGI
Logged
diya786
Guest
«Reply #8 on: May 05, 2009, 10:54:08 AM »
Reply with quote
Ye Meri pehli ghazal hai khumar-e-ishq me, umeed karti hoon aap sab pasandh karenge,


Khoye ho apni hi duniya me kabhi hamse nazar milao zara,
Tum bhi ho chand bhi hai wajood kiska hai asal batlao zara,

Kaatilana andaaj rakhti hai nazre tumhari khuda ki kasam,
Ho na jaaye diwana har koi, Inhe rehna salike se sikhao zara,

Reshmi badan pe makhmal ki kurti reham karo aashiqo par,
Aur kuch nahi to iss pyari moorat pe kajal ka tika lagao zara,

Kya zarurat mehfil me chiraagoo.n ki ae hasee.n jaan-e-mann,
Mehfil tumhari hai,ham tumhare hai chehre se parda uthao zara,

Wah Wah keh uthenge log iss mehfil ke teri har adaa ko dekhkar,
Dil hi dil me gungunate ho jise, uss tarane ko aaj labo pe lao zara,

Hichkichahat na u rakho kisi baat ki mehfil-e-yaar  me Shally,
Dil-phaink majnu nahi Aashiq hai tumhare duniya ko batlao zara.

Shally.


bahut khoob Shally
really nice post...
Applause Applause Applause
Logged
diya786
Guest
«Reply #9 on: May 05, 2009, 10:55:21 AM »
Reply with quote
Bahut behatareen Ghazal pesh ki hai aapne Shally Ji Khumar-e-ishq me
 Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley
Wonderful, Mind-blowing, Shally Ji

Aapki itni sunder peshkash per mujhe apni ghazal ke chand ashar yaad aa gaye

NAZAR JHUKI HAI MAGAR DIL ME BEKARARI HAI
HAYA KI AAD ME JAISE KOI SHIKARI HAI

HUM BHI KHAMOSHI KO SUN LENE KA FUN RAKHATE HAIN
ZINDAGI HUMNE BHI YUN HI NAHIN GUZARI HAI

BAND HOTON ME MUHABBAT KO CHHUPA LE LEKIN
SURKH CHEHARE SE ZIGAR KA BAYAN JAARI HAI

AANKH KE TEER SE ZAKHMI HUE ZIGAR KITANE
AISA LAGATA HAI KI AB TO HAMARI BAARI HAI

SARVESH RASTOGI


equally nice reply Sarvesh ji Applause Applause Applause
bahut khoob
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #10 on: May 05, 2009, 11:00:35 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Shally Ji
N Nice response Sarvesh Ji
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #11 on: May 05, 2009, 11:47:56 AM »
Reply with quote
subhan allah shally ajj tumne dil jeet liya ..ye apki makkamil ghazal kahe sakte hain wah ji wah har ashar eak dusre ko dara raha hai kya rawani di hai janab ..subhan allah karoodo dad qubool kijiyega ...aaj apko pad kar khas taur per mujhe behad khushi howi ...allah tumhe khush rakhe !! ameen..

Qadeer
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #12 on: May 05, 2009, 11:56:34 AM »
Reply with quote
shally, main kya kahoon, alfaaz hee nahi hain yaar! ishq kee shiddat iss tarhaan se lafzon me utaarna, bahot kum logon se hota hai. tumne tho, Subhan-Allah waah!

sarvesh ji, equally same. kya kahe koi inn nazmon k agay?...


Hay, na ahaen bharo iss tarhaan se k meri jaan jaatee hai,
Parde se dahka rehne do ye husn tumhaara, k humaaree aankh ko bhi sharm aatee hai.

Chand par lehaf tehra nahi ka bhi, usski roshnee me sub jhalakta hai,
Na dehko unn teekhee nazron se, k dil aur bhi taez dhadrakta hai.

Tum tasweer ho chaman kee, ya hooron kee baadee kee mailka, muhje pata nahi.
Har koi hai fida tum par, main b aashique bana, iss me meri khata nahi...



Logged
honeyrose
Guest
«Reply #13 on: May 05, 2009, 12:20:28 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Wah shally beautifull creation by you g88 lines
bohat khoob...
Winking
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #14 on: May 05, 2009, 12:21:09 PM »
Reply with quote
 
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Wah shally beautifull creation by you g88 lines
bohat khoob...
Winking
 
Hum karenge wafa tumse har ghadi
Shikaayat ka mauka na denge tumhe kabhi

Haste haste guzaarenge ye zindagi ka har lamha
Kabhi roothne ka mauka na denge tumhe kabhi

Aankhon mein kajal banke sajna hai humen
Tumare dil mein dhadkan banke dhadkenge har ghadi

 
 
 
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 04:03:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer