Dear JHL,
her Gazal Ya Nazam mien aik khial hota hay, uss khial ko aik paband (Ju poetry k asool usatza nay fix kiay hien) tareeqay say kehna yani Qafia aur radif ki pabandi, Beher (sequence) ki pabandi aik achi poetry (Ghazal, Nazam, Hico, Azad Nazam, Muarah Nazam, Hijve, Mosadas, Geet, Bhajan, Boli, Tapa, Mahia, Sofi Kalam ya Mersiaa)mien dhel jati hay. Geet, Gazal, Nazam every type apni particular shape mien he ho to khuch hoti hay..
Aap k khial aur soch attractive hay bus technique sahi nahi... isi liay advice kia tha k aap achay poets ko perhien... Reading hamien technique say aagah kerti hay aur khiyal tu hamaray pass hay.. aur aap k pass tu kafi acha hay.
Technique seekhnay k liay tu Badshah Zafar nay Galib ku ustad rakha tha. Uss waqat print media itna strong and organized na tha mager ub hay. Reading sub say bara ustad hay. so iss say faida uthana hum pay lazim hay ager hum qavi kehlawana chahtay hie. uumeed hay apnay bhai k mashwaray ku qabool kerein gay. Aap khud apnay kalam kay bayaan mien behtari mehsoos kerien gay..
Koi b complete nai hota hum maan ki go-od say mernay tuq student he rehtay hien so seekhna hamara haq aur majboori b hay.. Keep it up my dear u have good and powerful thoughts. Socity ka hum pay yahi haq hay k hum behter banien aur usay behter say behter banaien aur uss ki farhim kerda saholat (liabrary) say istafade kerien (ub usataz k pass waqat nahi un k pass hay tu phir hamary pass nahi. Keep it up I love to hear and view your poetry on this wast media (Yoindia)..
Pooja ji,
aap deikhien g k JHL ji apnay (ooper)irshad kerda sheron ku khud he behter aur shandar bana k dobara phir peesh kerien gay... phir un ka maza aur do-chand ho jaay ga...
Edited by iAdmin________
Uro tum jin hawaon mien
Hawaien wo tumhari hon
chalo tum jin rahon pay
wo sub rahien tumhari hon
kabhi ju aankh bher aay
tu aansoo phool bun jaien
kabhi ju aah jagay tu
wo lamhay bhol bun jaien
Kabi ju bhool ker betho
mafi khud chali aay
kabi ju lafz rothien tu
kahani khud bani aay
kabi ju jism totay tu
tumhien dilber muasir ho
kabi ju khab totay tu
tumhein humsir muasir ho
kabi ju zindagi ki jheel per
sookhay ka mosam ho
kabi ju omer ki tehni say patay
toot ker bikhrien
baharin oud k aaien
baharin tot k aaien
baharien wo tumhari hon
Wo sib subhien tumhari hon
wo sub shamien tumhari hon
Thanks
Sajid Hadayat
(+92 333 4123 685)