Rayees Figar
Guest
|
GHAZAL
Naya tum ishq mein paida koi dastoor mat karna. jubaN se naam lekar tum mujhe mash-hoor mat karna. Ana wo tod de apni sharafat chhor de apni. kisi muflis ko itna bhee kabhi majboor mat karna. Bisaat inkee nahi beshak shab-e-daijoor ke aage. Magar nanhe chiragoN ko kabhee benoor mat karna. ye dunya haq pasandoN ko kabhee jeene nahi degi. Yahan paida koee Sukrat ya Mansoor mat karna. Bina soche utha to aaina tumne liya lekin. Agar sach aaina bole to chaknachoor mat karna.
Rayees Figar
[shab-e-daijoor = andheri raat]
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
deepika_divya
Guest
|
|
«Reply #1 on: October 03, 2010, 11:33:36 AM » |
|
Kya baat hai.. Bahoot Bahoot Umda Rayees ji..
aap tho aate hi cha gaye... Bahoot khoob!!
Welcome to yoindia !!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
Rau: 19
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle
Posts: 5603 Member Since: Jun 2010
|
|
«Reply #2 on: October 03, 2010, 12:02:03 PM » |
|
wahhhhhhh Rayees ji kya khubb gazal kahi hai aapne...bht achchi shuruat ji.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waquif ansari
Guest
|
|
«Reply #3 on: October 03, 2010, 12:07:23 PM » |
|
Janab Rayees Figar Saheb, Aapka yoindia par hum tahedil se isteqbaal karte haiN. Bahut nafees aur balandpaya ghazal aap ne yahan post ki hai. Ghazal ke sabhi ashaar baRe hi maanakhez hain. Aap ke naam se Dilawar Figar yaad aa gaye jo k aik bahut baRe tanzomizaah shaayir the. Kaafi sadhi hui murassa ghazal hai ye aapki. Aisi khoobsurat ghazal k liye aap mubarakbaad k mustahaq hain aur hazaaron daad k bhi, so ise qubul kijiye aur apni aamad se hameiN bahrawar farmaate rahiye. (Waquif Ansari) GHAZAL
Naya tum ishq mein paida koi dastoor mat karna. jubaN se naam lekar tum mujhe mash-hoor mat karna. Ana wo tod de apni sharafat chhor de apni. kisi muflis ko itna bhee kabhi majboor mat karna. Bisaat inkee nahi beshak shab-e-daijoor ke aage. Magar nanhe chiragoN ko kabhee benoor mat karna. ye dunya haq pasandoN ko kabhee jeene nahi degi. Yahan paida koee Sukrat ya Mansoor mat karna. Bina soche utha to aaina tumne liya lekin. Agar sach aaina bole to chaknachoor mat karna.
Rayees Figar
[shab-e-daijoor = andheri raat]
|
|
|
Logged
|
|
|
|
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
Rau: 166
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:272 days, 6 hours and 11 minutes.
Posts: 11814 Member Since: Sep 2006
|
|
«Reply #4 on: October 03, 2010, 12:09:09 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #7 on: October 04, 2010, 12:22:38 PM » |
|
Janab Rayees Figaar Sahab aapka Yoindia family mein swaagat hai. Aapne apne first attempt mein hi kamaal ki ghazal pesh ki jo aapki aala sukhanwari aur ilm-e-shayari ka pataa deti hai . Waise to tamaam ashaar behtreen hain lekin meri nazar mein 2nd sher hasil-e-ghazal hai.
Is behad khoobsurat, murassa, munfarid, taghazzul se bharpoor, nafees, purasar peshkash ke liye aap dad-o-tehseen ke haqdaar hain. Guzarish hai ke aate rahiye aur apni takhliqaat se hamein mehzooz karte rahiye.
(Riyaz Ashna)
|
|
|
Logged
|
|
|
|
skn1944
Guest
|
|
«Reply #8 on: October 04, 2010, 06:54:53 PM » |
|
Ishq me koi aisa dastoor nahi hota, Ishq ke karan koi aashiq mash-hoor nahi hota. Ishq me bhi sharafat chhodi nahi jaati, Aashiq ke raste me koi rukavat nahi aati. Ishq se to pyar ke chirag jalte hain, Andhere zindgi se humari door hote hain. Ishq per daale agar koi manhoos buri nazar, To wallah aaine bhi ro kar chaknachoor hote hain.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rayees Figar
Guest
|
|
«Reply #9 on: October 06, 2010, 03:53:44 AM » |
|
GHAZAL
Naya tum ishq mein paida koi dastoor mat karna. jubaN se naam lekar tum mujhe mash-hoor mat karna. Ana wo tod de apni sharafat chhor de apni. kisi muflis ko itna bhee kabhi majboor mat karna. Bisaat inkee nahi beshak shab-e-daijoor ke aage. Magar nanhe chiragoN ko kabhee benoor mat karna. ye dunya haq pasandoN ko kabhee jeene nahi degi. Yahan paida koee Sukrat ya Mansoor mat karna. Bina soche utha to aaina tumne liya lekin. Agar sach aaina bole to chaknachoor mat karna.
Rayees Figar
[shab-e-daijoor = andheri raat]
Janab Rayees Figar Saheb,
Aapka yoindia par hum tahedil se isteqbaal karte haiN. Bahut nafees aur balandpaya ghazal aap ne yahan post ki hai. Ghazal ke sabhi ashaar baRe hi maanakhez hain. Aap ke naam se Dilawar Figar yaad aa gaye jo k aik bahut baRe tanzomizaah shaayir the. Kaafi sadhi hui murassa ghazal hai ye aapki. Aisi khoobsurat ghazal k liye aap mubarakbaad k mustahaq hain aur hazaaron daad k bhi, so ise qubul kijiye aur apni aamad se hameiN bahrawar farmaate rahiye.
(Waquif Ansari)
Janab Waquif Ansari sb.assalamo-alaikum Apne meri ghazal parhi saraha aur meri hosla afzaee ki behad mamnoon hoon.main abhi naya hoon aapka kalam bhi parhoonga insha allah.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rayees Figar
Guest
|
|
«Reply #10 on: October 06, 2010, 04:49:15 AM » |
|
GHAZAL
Aks mera na too dikha mujhko Meri nazron mein mat gira mujhko Mujhko rahne de mera jaisa hi Apne jaisa na too bana mujhko Ek sookha hua shajar hoon main Itna zyada bhi mat jhuka mujhko Bhool jaaun na main udaan apni Chor kuchh der tak khula mujhko Main hoon khusbu mujhe bikharna hai Ae hawa door tak udaa mujhko Ek paisa faqeer ne lekar Bakhsh dee dher si duaa mujhko Hindu muslim to phir banaana tu Pahle insaan to banaa mujhko
Rayees 'Figaar'
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Rayees Figar
Guest
|
|
«Reply #11 on: October 06, 2010, 04:50:36 AM » |
|
Ghazal Unke chehre pe barhami dekhi. Zindgi ik jagha thami dekhi. Dharkane dil ki ruk gayin shayad. Dard me aaj kuch kami dekhi. Chand qatre gire thai aankho se. Khusk dharti me bhi nami dekhi. Rat bhar aasma bhi roya hai Ghass aangan ki shabnami dekhi. Bhar gaya lo "figaar" zakhme dil. Barf sehraon me jami dekhi. Rayees "figaar"
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Yaash
Guest
|
|
«Reply #12 on: October 06, 2010, 07:06:54 AM » |
|
Waqai Mein Kabeel e Tareef Hai Aapki Peshkash Par Janaab Aapki Ek Baat Dil Ko Badi Hi Khatiki Yun Kisi Ke Comment Ko An Dekha Karna Achhi Baat Nahi Chahe Kam Lafzon Mein Hi Kyun Na Ho Likha Par Kisi Ne Aapko Dilse Comment Diya Hoga...Aur Mera Maan Na Hai Dil Se Wah Bhi Nikle Woh Bhi Bohat Hota Hai Khair. Soch Apni Apni...
Shad o Aabad Rahen.
Yaash.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
AbhiTamrakar
Guest
|
|
«Reply #13 on: October 06, 2010, 07:16:05 AM » |
|
aji rayees sahab bas wah wah bolne ko jee karta he 2nd or 4th sher gajab dha gaya...
behetreen peshkash~
|
|
|
Logged
|
|
|
|
shah_a
Guest
|
|
«Reply #14 on: October 07, 2010, 06:18:39 PM » |
|
bahot khub..........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|