Chiryaa Dana Kahan Se Laati Hai ( Qadeertoopchi )

by qadeer_junaid on June 18, 2010, 11:28:59 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1970 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
Reply with quote
Ahle Bazm Aadab O tasleemath , Eak Tawil Arse ke baad Fir se Khuch Kahene Ki Koshish ki hai , Apni Qimti Aara se Nawazen ,,  



Yaad unki to yun satati hai
Jaan jati hai jaan aati hai

Rakh ke pesh-e-nazar sawalon ko
Zindagi raat bhar rulati hai

Aaj choora hai mauth ne chokar
Hai duaa maa.N ki Jo bachati hai

Bhooki beti ne mujh se ye pucha
Chiryaa daanaa kahan se laati hai

Narm bistar tume Mubarak ho
Jhunparee aankh bhar sulati hai


Qadeertoopchi
Logged
taheer_khaja
Guest
«Reply #1 on: June 18, 2010, 11:41:18 AM »
Reply with quote
qadeer shab bahut kuhoob Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: June 18, 2010, 11:56:14 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Qadeer Ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: June 18, 2010, 12:09:03 PM »
Reply with quote
Mashallah Bohat Achchi Ghazal Hai Qadeer Bhai,.
Har Ashaar Dil Ke Kareeb Raha, Bohat Achchi Peshkash Hai,.
Yunhi Likhte Rahiye,.
Khush Rahe,.

Azeem
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: June 18, 2010, 12:51:02 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Aur Bahut Khoob Qadeer Bhai..

Bahut Hi gehre Jazabaat Pesh Kiye Hai Aapne,Koi lafz Nahi Hai Mere Paas, Jo iss Ghazal Ki tareef mein Kuch keh Sake..Ghazal Likh Dena Asaan Hai par Itne Gehre Ehsaaso Ko Ek Ghazal mein Kalamband Karna Bahut Mushkil..

"Bookhi Beti Ne mujhse Pucha
Chidiya Daana Kaha Se Laati Hai"...

Iss Ashaar Ne Aankhein Hi Nam Kardi..

Bahut Ache Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #5 on: June 18, 2010, 05:03:32 PM »
Reply with quote
QADEER SAHEB EK LAMBE ARSE KE BAAD AAP KO DEKH KAR HAIRANI OR KHUSHI SAATH SAATH HUI.ITANI SANJEEDAGI KE SAATH LIKHI HUI YE PESHKASH MANN KE KAI KONO KO EK SAATH BHIGO GAI.ISI BAARISH ME BHEEGTE HUE APNE SE KIYA QOUL BHI BHOOL BAITHI.EK EK LAFZ DARD KI BUKKAL ODHE HUE SEENE ME NASHTAR SA CHUBHA JATA HAI.ANTARMANN SE VEDNA KE KAI SWAR EK SAATH FOOT PADE.
HAR SHER QABILE TAREEF HAI.AHSAS KIS TARAH ALFAZ KE AANSOO ROTE HAIN.AAP KI LIKHI YE GAZAL IS BAAT KI MISAAL HAI.KUCH BHI KAHNA SOORAJ KO DIYA DIKHANE JAISA HAI.......
EESHWAR AAP KO KHUSH RAKHE......
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #6 on: June 18, 2010, 05:50:15 PM »
Reply with quote
Ahle Bazm Aadab O tasleemath , Eak Tawil Arse ke baad Fir se Khuch Kahene Ki Koshish ki hai , Apni Qimti Aara se Nawazen ,, 



Yaad unki to yun satati hai
Jaan jati hai jaan aati hai

Rakh ke pesh-e-nazar sawalon ko
Zindagi raat bhar rulati hai

Aaj choora hai mauth ne chokar
Hai duaa maa.N ki Jo bachati hai

Bhooki beti ne mujh se ye pucha
Chiryaa daanaa kahan se laati hai

Narm bistar tume Mubarak ho
Jhunparee aankh bhar sulati hai


Qadeertoopchi

BAHUT KHUB KHAS TOR SE

BHOOKI BETI----
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #7 on: June 18, 2010, 07:06:45 PM »
Reply with quote
Ahle Bazm Aadab O tasleemath , Eak Tawil Arse ke baad Fir se Khuch Kahene Ki Koshish ki hai , Apni Qimti Aara se Nawazen ,, 



Yaad unki to yun satati hai
Jaan jati hai jaan aati hai

Rakh ke pesh-e-nazar sawalon ko
Zindagi raat bhar rulati hai

Aaj choora hai mauth ne chokar
Hai duaa maa.N ki Jo bachati hai

Bhooki beti ne mujh se ye pucha
Chiryaa daanaa kahan se laati hai

Narm bistar tume Mubarak ho
Jhunparee aankh bhar sulati hai


Qadeertoopchi

BHOOKHI BETI NE MUJH SE......QADEER SAHAB MAIN AAP KO ISS LINE KEY LIYE KOI DAAD NAHIN DE SAKTA....YEH DO LINE ITNI ANMOL HAIN...MERI AAKHEN NUM HO GAYI......INN DO LINES KO MAIN CHERISH KAR KEY RAKHOON GAA........!!! MAIN AAKEY ISS NAZM KAA KOI JAWAB NAHIN DEY SAKTA.....SIMPLY OUTSTAAAAANDING HAI...ALLAH AAP KO AUR BHI BEHTREEN NAZAM AUR GHAZAL LIKHNEY KI SALAAHIYAT ATAA KAREY AAMIN..........DOA MEIN ISS NACHEEZ KO YAAD RAKHEN
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: June 18, 2010, 09:30:46 PM »
Reply with quote
Qadeer saab...wakei apki yeh peshkash behad khubsoorat hai...koi lavz nahin tariff karne ke liye..
Bahaut sari duaein apke saath hai...for me, ur like an inspiration...hamesha kuch seekhne milta hai apko parr kar...

Khush rahiyega
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: June 19, 2010, 02:03:52 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut bahut sundar peshkash hai aapki ye.... bahut khoobsurti se aapne ek ek shabd joda hai... bahut hi umda...!!!
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #10 on: June 19, 2010, 02:49:01 AM »
Reply with quote
Wah wah Abdul Qadeer Bhai bahut ba-wazn, aala meyar ki ghazal aapne khai hai. Takhayyul ko badi maharat ke saath ash-aar mein munakkash kiya hai. Taghazzaul se bharpoor is takhleeq ke liye main aapko daad deta hun.
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #11 on: June 19, 2010, 03:19:39 AM »
Reply with quote
QADEER BHAI......shabd nahi daad ke liye.........bahoooooooooot hi behtreen peshkash....... Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #12 on: June 20, 2010, 05:49:32 AM »
Reply with quote
qadeer shab bahut kuhoob Applause

Karam Nawazi Ke liye Shukarguzaar hon Tahir Khawja Saheb ,,


Duwa go

Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #13 on: June 20, 2010, 09:26:27 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Qadeer Ji


Zarra Nawazi hai apki rajesh saheb .. allah apko khush rakhe ..

Apka bhai

Qadeertoopchi
Logged
Qadeer.Toopchi
Guest
«Reply #14 on: June 20, 2010, 04:57:01 PM »
Reply with quote
Mashallah Bohat Achchi Ghazal Hai Qadeer Bhai,.
Har Ashaar Dil Ke Kareeb Raha, Bohat Achchi Peshkash Hai,.
Yunhi Likhte Rahiye,.
Khush Rahe,.

Azeem


bhai azeem salamwalekum ,


tumne hamesha mujhe himmat o hausla diya hai ,apke alfazon se apna pann saaf chalakta hai ,umid hai ke aage bhi issi tarhan inayath bani rahegi ,, allah tumhe khush rakhe mere bhai ,,apke ghar ghar me sub ko salam o duwa darja ba darja ba darja ,,



apka bhai


Qadeertoopchi
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:01:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer