Chiryaa Dana Kahan Se Laati Hai ( Qadeertoopchi )

by qadeer_junaid on June 18, 2010, 11:28:59 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1951 times)
nazar ghouri
Guest
«Reply #15 on: June 21, 2010, 01:05:53 AM »
Reply with quote
wah A.Qadeer bhai kya khoob ghazal kahi hai aap ne ..har shair umda likha hai aap ne janab.hazaro daad is paishkash pe ..ek umda aur nayaab taqleeq bazm ko ata ki hai aap ne,,hamesha ki tarha...
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #16 on: June 21, 2010, 01:16:58 AM »
Reply with quote

   Waah! Applause Applause Applause Applause
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #17 on: June 21, 2010, 07:50:48 AM »
Reply with quote
Wah wah Qadeer ji,bahut khoob.dil ko chu gayi aapke gazal.great and mindblowing creation.excellent Hats off to you! Both Thumbs Up Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #18 on: June 21, 2010, 09:11:08 AM »
Reply with quote
Wah wah wah! kamaal aur is qadar kamaal-e-fun, kamaal hai. Aik aik sher taghazzul se purnoor hai. Aik behtreen peshkash, aik laa-jawaab peshkash. Aik munfarid, murassa aur me-aari ghazal k liye aap mubarakbaad k mustahaq haiN. HazaroN daad qubul kijiye aur isi tarah apne jawaahir-paaroN se nawaazte rahiye.

(Waquif Ansari)

Ahle Bazm Aadab O tasleemath , Eak Tawil Arse ke baad Fir se Khuch Kahene Ki Koshish ki hai , Apni Qimti Aara se Nawazen ,, 



Yaad unki to yun satati hai
Jaan jati hai jaan aati hai

Rakh ke pesh-e-nazar sawalon ko
Zindagi raat bhar rulati hai

Aaj choora hai mauth ne chokar
Hai duaa maa.N ki Jo bachati hai

Bhooki beti ne mujh se ye pucha
Chiryaa daanaa kahan se laati hai

Narm bistar tume Mubarak ho
Jhunparee aankh bhar sulati hai


Qadeertoopchi
Logged
Qadeer.toopchi
Guest
«Reply #19 on: June 21, 2010, 01:27:15 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Aur Bahut Khoob Qadeer Bhai..

Bahut Hi gehre Jazabaat Pesh Kiye Hai Aapne,Koi lafz Nahi Hai Mere Paas, Jo iss Ghazal Ki tareef mein Kuch keh Sake..Ghazal Likh Dena Asaan Hai par Itne Gehre Ehsaaso Ko Ek Ghazal mein Kalamband Karna Bahut Mushkil..

"Bookhi Beti Ne mujhse Pucha
Chidiya Daana Kaha Se Laati Hai"...

Iss Ashaar Ne Aankhein Hi Nam Kardi..

Bahut Ache Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Khawish Bhai , Apka Ki mahubbath ka behad shukriya , apne hamesha se Hausla Afza-e- ki hai , Umid hai aage bhi ye inayath banaye rakhenge .. Allah apko khush rakhe ..


Apka bhai

Qadeertoopchi
Logged
Qadeer.toopchi
Guest
«Reply #20 on: June 21, 2010, 01:31:56 PM »
Reply with quote
QADEER SAHEB EK LAMBE ARSE KE BAAD AAP KO DEKH KAR HAIRANI OR KHUSHI SAATH SAATH HUI.ITANI SANJEEDAGI KE SAATH LIKHI HUI YE PESHKASH MANN KE KAI KONO KO EK SAATH BHIGO GAI.ISI BAARISH ME BHEEGTE HUE APNE SE KIYA QOUL BHI BHOOL BAITHI.EK EK LAFZ DARD KI BUKKAL ODHE HUE SEENE ME NASHTAR SA CHUBHA JATA HAI.ANTARMANN SE VEDNA KE KAI SWAR EK SAATH FOOT PADE.
HAR SHER QABILE TAREEF HAI.AHSAS KIS TARAH ALFAZ KE AANSOO ROTE HAIN.AAP KI LIKHI YE GAZAL IS BAAT KI MISAAL HAI.KUCH BHI KAHNA SOORAJ KO DIYA DIKHANE JAISA HAI.......
EESHWAR AAP KO KHUSH RAKHE......


Mamta Saheba Aadab o Tasleemat ,

Apke Alfaz Apki Faraq dili ko bayan kar rahe hain , Ap jaisi Sukhan-shinaas se dad pa kar hausla badne laga hai , Ap ne jis andaz me Ghazal pazira-i- ki hai , maano jaise apne ghazal jila diya , Alfazon ke ahesas tak pahonchne ke liye behad mashkoor o mumnoo hon , Ap ke in Pyaar bhare alfazon ke Owaiz sirf duwauan ke khuch nahi de sakta ,, Allah apko hamesha khush rakhe , Zindagi ki har wo khushi apko naseeb ho jiski apne tammanna ki , Khush rahiye hamesha ..


Khadim

Qadeertoopchi
Logged
Qadeer.Toopchi
Guest
«Reply #21 on: June 21, 2010, 01:34:32 PM »
Reply with quote
Qadeer saab...wakei apki yeh peshkash behad khubsoorat hai...koi lavz nahin tariff karne ke liye..
Bahaut sari duaein apke saath hai...for me, ur like an inspiration...hamesha kuch seekhne milta hai apko parr kar...

Khush rahiyega


Bhai raheem sub apki mahubbath hai jo is tarhan nawazte ho , Apki Is inayath ka shukriya , Dad ke liye mashkoor hon ,, allah tumhe khush rakhe ..


Apka bhai

Qadeertoopchi
Logged
Qadeer.toopchi
Guest
«Reply #22 on: June 21, 2010, 01:36:01 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut bahut sundar peshkash hai aapki ye.... bahut khoobsurti se aapne ek ek shabd joda hai... bahut hi umda...!!!


Kalskar Saheb Aadab ,,

Apko Ghazal pasand aai Meri mahenath Kamiyab rahi , Apki Inayath ka shukriya bhai , Allah apko khush rakhe ,, Inayath banaye rakhen..


Apka bhai

Qadeertoopchi
Logged
Qadeer.Toopchi
Guest
«Reply #23 on: June 21, 2010, 01:38:39 PM »
Reply with quote
Wah wah Abdul Qadeer Bhai bahut ba-wazn, aala meyar ki ghazal aapne khai hai. Takhayyul ko badi maharat ke saath ash-aar mein munakkash kiya hai. Taghazzaul se bharpoor is takhleeq ke liye main aapko daad deta hun.


Riyaz Bhai , Salamwalekum

Ap Jaise Ilm daan ko Meri eak adna si Koshish Pasand aaye Isse Badi baath kya hosakti hai , Apki dad milna Mere Liya Faqr ki baath hai , Apki inayath shukriya , Umeed hai aage bhi karam Nawazi ke ye silsila Rahega .. Allah apko khush rakhe ..


Khadim

Qadeertoopchi
Logged
Qadeer.Toopchi
Guest
«Reply #24 on: June 21, 2010, 01:40:32 PM »
Reply with quote
QADEER BHAI......shabd nahi daad ke liye.........bahoooooooooot hi behtreen peshkash....... Applause Applause Applause Applause Applause

Sanjeev Bhai Aadab ,

Eak taweel arse ke baad Apki dad paakar Dil baagh baagh howa , Bhai kahan ho aaj kal Zara dhyan den doston ki taraf bhi , Qair apki inayath ka shukriya bhai , Allah apko khush rakhe ..


Duwa go

Qadeertoopchi
Logged
Qadeer.Toopchi
Guest
«Reply #25 on: June 21, 2010, 01:42:22 PM »
Reply with quote
Aadab Qadeer Bahi...
Umeed Karta Hun Aap Khairiyat Se Honge.!
Aur Kaise Tareef Karun Samajh Nahi Aa Raha
Bade Hi Khoobsurat Andaaz Ke Saath Saaf Saaf
Lafzon Mein Aapne Bahut Hi Pyaari Baaten Likhi Hain
Aapki Is Tahreer Ko Parhke Dil Baagh Baagh Ho Gaya
Aagahz Se Lekar Anjaam Tak Behtareen Ashaar Rahe
Ek Muqammal Ghazal Mehfil Ko Ata Ki Hai Aapne.

Hazaaron Dad Hazir Hain. Kabul Farmaayen...!

ALLAH Pak Aapko Khush Rakhe...Ameen.


~Shihab`



Bhai shihab Mai bilkul Qairiyath se hon , Umid hai apki Qairiyath se honge , Apki Mahubbaton ka shukriya hamesha se hi tumne mujhe hausla diya hai , Allah tumhe khush rakhe bhai ..


Apka bhai

Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #26 on: June 22, 2010, 10:26:50 AM »
Reply with quote
Wah wah wah! kamaal aur is qadar kamaal-e-fun, kamaal hai. Aik aik sher taghazzul se purnoor hai. Aik behtreen peshkash, aik laa-jawaab peshkash. Aik munfarid, murassa aur me-aari ghazal k liye aap mubarakbaad k mustahaq haiN. HazaroN daad qubul kijiye aur isi tarah apne jawaahir-paaroN se nawaazte rahiye.

(Waquif Ansari)


Janab A mann Waquif Ansari Saheb Aadab o Tasleemat

Ab jaise saheb a Sukhan ki Dad mere Liya kissi tabaruk se kamm nahi , Apke Alfaz apki Faraq dili bayan kar rahe hain , Apka Badatpan hain jo is adna si koshish ko nawaza apne , Apki maujodgi bazm ki khushnaseebi hai , Ap jaise Ilm Daan ki sarparasti Mujh jaise talib a ilm ke liye Mufeed sabit hogi ,, Allah apko Hamesha khush rakhe ..


Talib Ilm

Qadeertoopchi
Logged
aaina
Guest
«Reply #27 on: June 22, 2010, 11:08:04 PM »
Reply with quote
Qadeer bhai Assalaam o aalikum mashaaAllah kya baat hai bhut hi khoob ghazal kahi hai aapne kuch ashaar jo bhut ziyda dil ke qareeb rahe.............

yaad unki to yuN sataati hai
jaan aati hai jaan jaati hai

kya bala ka matla kaha hai sahab aha maza aa gaya yaar paDkar waah bhut hi acha laga sahab mujhay

aaj choDa hai mout ne choo kar
hai dua maa ki jo bachaati hai
kya succhi baat kahi hai sahab khoob bhut khoob

bhooki beti ne mujhse ye poocha
chirya daana kahaN se laati hai

kya kaha jaaye aapke is sher ke baare mai bhut badi baat keh gaye sahab waah gazab hai sahab gazab hai waah

is khoobsurat ghazal ki takhleeq ke liyN daad hazir hai qubool keejiye


aslam
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #28 on: June 26, 2010, 07:42:17 PM »
Reply with quote
Qadeer bhai Assalaam o aalikum mashaaAllah kya baat hai bhut hi khoob ghazal kahi hai aapne kuch ashaar jo bhut ziyda dil ke qareeb rahe.............

yaad unki to yuN sataati hai
jaan aati hai jaan jaati hai

kya bala ka matla kaha hai sahab aha maza aa gaya yaar paDkar waah bhut hi acha laga sahab mujhay

aaj choDa hai mout ne choo kar
hai dua maa ki jo bachaati hai
kya succhi baat kahi hai sahab khoob bhut khoob

bhooki beti ne mujhse ye poocha
chirya daana kahaN se laati hai

kya kaha jaaye aapke is sher ke baare mai bhut badi baat keh gaye sahab waah gazab hai sahab gazab hai waah

is khoobsurat ghazal ki takhleeq ke liyN daad hazir hai qubool keejiye


aslam

ASLAM BHAI walekum salam


takhir ke liye mazrath khaw hon , ghazal ki pazirai ke liye behad mashkoor o mumnoo hon , apki mahubbath hai bhai jo is tarhan se nawazte ho ,, umid hai ke aage bhi issi tarhan hausla badate rahenge .. allah apko hamesha khush rakhe...


apka bhai


qadeertoopchi
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 09:25:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer