Dard hotaa hai! Haqeeqat hai! Saaqiyah aajaa!

by abdbundeli on July 18, 2009, 12:44:57 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1787 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Dard hotaa hai! Haqeeqat hai! Saaqiyah aajaa!
Aaj laachaar tabeeyat hai: saaqiyah aajaa!

Nazar na pheir, qasam hai tujhey usooloun kee;
Sukoon dey, ki, riwaayat hai: saaqiyah aajaa!

Lab hain beyaab, past jaan, sookhtaa hai galaa;
Maraz kee saaf kaifiyat hai: saaqiyah aajaa!

Kahaa hai: maykadey pahunch! Hun naatuwaan beyhad:
Aakhiree us kee hidaayat hai: saaqiyah aajaa!

Mein gayaa laakh baar; too kabhee naheen aayee!
Phir bhi tujhko hi shikaayat hai? Saaqiyah aajaa!!

Chaar qadmoun pai hun: taaqat bachaayegee kitnee?
Koun see is mein qifaayat hai? Saaqiyah aajaa!

Koun hai doosaraa, 'abd', jo maraaham laaye?
Qabool nazar-e-inaayat hai: saaqiyah aajaa!

                                      - abd bundeli

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dard hotaa hai jigar mein, to kabhi seeney mein! by abdbundeli in Kaifiyaat-ae-maye « 1 2  All »
Saanjh huyee, Ghayel ghar aajaa! by abdbundeli in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Poochh mat mujhsey magar, 'Dard kahaan hotaa hai?' by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
Ab kaho, kaisey kahain: dard kahaan hotaa hai? by abdbundeli in Ghazals
Ik dard chhupaanaa hotaa hai! by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
cara
Guest
«Reply #1 on: July 18, 2009, 03:59:00 PM »
Reply with quote
KYA BAAT HAI ..ABD JI....

KOUN DEGA MERE DIL KO SAKUN,
KOUN DIL KI BUJAAYEGA AAG.
BEJAAN PADA HUN,SAAQIYA,
AA TU MERE PAAS.

NAGRON SE NAGREN MILA,
APNE HAATHON SE MUJHKO PILA.
AA BHAR DE DIL KE ZAKHMON KO,
AAKAR TU MARAAHAM LAGAA.

DE THODI RAWAANI MUJHKO,
KASM HAI TERI JAWAANI KI TUJHKO.
SAAQIYA BAHUT DARD HAI AAJ MUJHKO,
KI AAJ APNE BAHON MEIN SULA MUJHKO.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: July 18, 2009, 04:07:41 PM »
Reply with quote
KYA BAAT HAI ..ABD JI....

KOUN DEGA MERE DIL KO SAKUN,
KOUN DIL KI BUJAAYEGA AAG.
BEJAAN PADA HUN,SAAQIYA,
AA TU MERE PAAS.

NAGRON SE NAGREN MILA,
APNE HAATHON SE MUJHKO PILA.
AA BHAR DE DIL KE ZAKHMON KO,
AAKAR TU MARAAHAM LAGAA.

DE THODI RAWAANI MUJHKO,
KASM HAI TERI JAWAANI KI TUJHKO.
SAAQIYA BAHUT DARD HAI AAJ MUJHKO,
KI AAJ APNE BAHON MEIN SULA MUJHKO.

Thanks cara!

Wo aayegee: lamhey mein
Hongey sab dukh door!
Bhar-bhar jaam pilaayegee,
Sirf noor hee noor!!

           - abd bundeli
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #3 on: July 18, 2009, 04:44:20 PM »
Reply with quote
Kya classical ghazal hai
aisi ghazalen ab kahan likhi jaati hain
Daad kubool karen Bundeli saheb
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: July 18, 2009, 05:05:09 PM »
Reply with quote
Kya classical ghazal hai
aisi ghazalen ab kahan likhi jaati hain
Daad kubool karen Bundeli saheb
Sarvesh ji! Haardik dhanyawaad!
                   - abd bundeli
Logged
Deepati
Guest
«Reply #5 on: July 18, 2009, 05:45:59 PM »
Reply with quote
Abd Ji... Another one of your Beautiful Creation! Bahut Bahut Bahut Khoob! Applause


Cara Ji... Aapne bhi bahut achha likha hai! Applause
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #6 on: July 18, 2009, 08:11:44 PM »
Reply with quote
kiya rabth hai abd je wah bhot khob ,bhot piyar sai lafz bunnay hain app nay ,nice creation keep it up
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: July 18, 2009, 09:18:08 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Abd Ji
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: July 19, 2009, 06:03:35 AM »
Reply with quote
Abd Ji... Another one of your Beautiful Creation! Bahut Bahut Bahut Khoob! Applause


Cara Ji... Aapne bhi bahut achha likha hai! Applause
Deepati ji, bahut-bahut shukruyah!
                        - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: July 19, 2009, 06:05:36 AM »
Reply with quote
kiya rabth hai abd je wah bhot khob ,bhot piyar sai lafz bunnay hain app nay ,nice creation keep it up
Thanks a lot chitralsony ji!
               - abd bundeli
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: July 19, 2009, 06:05:51 AM »
Reply with quote
Dard hotaa hai! Haqeeqat hai! Saaqiyah aajaa!
Aaj laachaar tabeeyat hai: saaqiyah aajaa!

Nazar na pheir, qasam hai tujhey usooloun kee;
Sukoon dey, ki, riwaayat hai: saaqiyah aajaa!

Lab hain beyaab, past jaan, sookhtaa hai galaa;
Maraz kee saaf kaifiyat hai: saaqiyah aajaa!

Kahaa hai: maykadey pahunch! Hun naatuwaan beyhad:
Aakhiree us kee hidaayat hai: saaqiyah aajaa!

Mein gayaa laakh baar; too kabhee naheen aayee!
Phir bhi tujhko hi shikaayat hai? Saaqiyah aajaa!!

Chaar qadmoun pai hun: taaqat bachaayegee kitnee?
Koun see is mein qifaayat hai? Saaqiyah aajaa!

Koun hai doosaraa, 'abd', jo maraaham laaye?
Qabool nazar-e-inaayat hai: saaqiyah aajaa!

                                      - abd bundeli



Bahut khoob Uncle ji...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: July 19, 2009, 06:06:12 AM »
Reply with quote
wah kaya baat hai bahoot khoob Abd ji...

Cara ji apne bhi bahoot acha sath diya hai....

Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: July 19, 2009, 06:07:27 AM »
Reply with quote
KYA BAAT HAI ..ABD JI....

KOUN DEGA MERE DIL KO SAKUN,
KOUN DIL KI BUJAAYEGA AAG.
BEJAAN PADA HUN,SAAQIYA,
AA TU MERE PAAS.

NAGRON SE NAGREN MILA,
APNE HAATHON SE MUJHKO PILA.
AA BHAR DE DIL KE ZAKHMON KO,
AAKAR TU MARAAHAM LAGAA.

DE THODI RAWAANI MUJHKO,
KASM HAI TERI JAWAANI KI TUJHKO.
SAAQIYA BAHUT DARD HAI AAJ MUJHKO,
KI AAJ APNE BAHON MEIN SULA MUJHKO.


Wah lovely...... lines.. cara
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #13 on: July 19, 2009, 06:08:09 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Abd Ji
Thanks Rajesh ji! Mujhey khushee hai ki aapko meyree gazaleyn pasand aa raheen hain!
                          - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #14 on: July 19, 2009, 06:09:31 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Uncle ji...
Thanks Roja!
        - abd bundeli
       
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:28:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer