Dard Jab Had Se Badhega To Thehar Jaayega ..!!

by Talat on April 23, 2010, 02:27:14 PM
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Author  (Read 6151 times)
Talat
Guest
«Reply #45 on: May 06, 2010, 11:47:17 AM »
Reply with quote
Badi pyari ghazal likhi hai aapne Talat ji. Is baar kuchh naya rang naya style dekhne ko mila hai jo umda bhi hai aur purkashish bhi. Very nice creation. Marhaba.

Bohot bohot shukriya Riyaz Ji....aap ki zarra-nawazi hai...aap khud ek behtareen shayar hain...aur humesha aap ki ghazlon se seekhne ko milta hai....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tum jo thehar jao by innocent.devil20 in Shayri for Khumar -e- Ishq
"dard kuch aur badhega to................." by aaina in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
dard jab bad jaayega mera ~~ SAAHIL by -Saahil- in Shayri-E-Dard
benaam sa ye DARD thehar kyuN nahi jata...?? by ghayal_shayar in Urdu Poets
desh hamara zarur aage badhega....jyuthika.... by jyuthika in Shairy-E-Watan
Talat
Guest
«Reply #46 on: May 12, 2010, 10:38:17 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khub Talat Ji
Bahut Khoobsurat Peshkash Hai

Aur Khwaish Bhai Aapke To Kya Kehne
Aapto Hai Hi Lajawab....Bahut Khub


Khush Rahiye...

~Shihab~


Bohot bohot shukriya. Shihab Ji, aapko ye ghazal pasand aayi...
Logged
Talat
Guest
«Reply #47 on: May 12, 2010, 10:44:43 AM »
Reply with quote
Talat Diiii... Main To Aapki Yeh Gazal Padh kar Speechless Hoon... Mere Paas Lafz Nahi hain aapki Is Gazal Ki Taareef Ke Liye..!! icon_salut icon_salut

Behtreen-Lajawab-Khubsoorat Shayad Yeh Lafz Bhi Kam Padh jayenge.. Basssss Yeh Taaliyaan Hi Hain Mere paas aapki Gazal Ki Shaan Me..!!  icon_thumleft icon_thumleft

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Khwaish Bhai aapne bhi Bahut Hi Umda Likha hai Dost.. Bahut Bahut Khoooob..  Applause Applause Applause



**~** Mann **~**

Vicky ji, thanks so much....aapko ye ghazal itni pasand aayi aur aapki iss khoobsurat taareef ke liye bohot bohot shukriya......
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #48 on: May 15, 2010, 04:03:25 PM »
Reply with quote
Ghazal ki ek ek pankti kaabile taarif hai

Applause Applause Hats off to you!

Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #49 on: May 24, 2010, 10:27:04 AM »
Reply with quote
Talat Dost, Aapki Likhi Iss Khoobsurat Ghazal Padhkar Kuch likhne Ki gustaaki Kar Raha Hoon..

Ashq Na Bahana Guzre Hue Palon Par
Yeh To Ek Daur Hai Jo Guzar Jaayega...

Zakhm Dikhte Hai Abhi To koi Gham Naa Kar
Guzarte Waqt Mein Har Ek Zakhm Bhar Jaayega...

Aaj Dhalte Hue Chand Ko Dekhkar Afsos Kis Baat Ka,
Kal yehi Chaand Suraj Bankar Phir Ubhar Jaayega...

Jis Pathar Ko Raah Chalte Sirf Thokarein Hi Naseeb Ho,
Uss Pathar Ko Bhi Taraasho To Woh Bhi Nikhar Jaayega...

Aaj Ki Zindagi ko Jee Bhar Ke Jee "Khwaish"
Kal Naa Jaane Waqt Ki Kis Aandhi mein sab Bikhar Jaayega...

Aaj Apne Ghamon Par Bhi Muskurane Ka Hunar Rakh "Khwaish"
Kal Dekhna Gham Bhi Tujhe Dekh Kar Muskurayega...


aapne bhi bahut accha likha hai
Maan na padega

:Hatsoff: Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #50 on: May 31, 2010, 06:42:21 AM »
Reply with quote
Bahut khoob khwaish ji.......khoob likha aapne.....

Thankyou Soooooooooo Much Pooja.. icon_flower
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #51 on: June 09, 2010, 10:01:29 AM »
Reply with quote
Dear Celmira Saheba! Adab!
Air pur-lutf, me-aari, murassa ghazal se nawaaz kar is bazm meN chaar chaaNd laga diya hai aapne. Meri dua hai ke zore qalam aur ziyada.......Dher saari daad qubul kijiye.Isi radeef-qaafiye meiN do sher maiN apni ghazal ka yahaN pesh karne ki jasaarat kar raha hooN:

Waqt ke saath kahaN iska asar jaayega
Tees rah jaayegi ye zakhm to bhar jaayega

Usko chehra pas-e-chehra ho mubaarak lekin
Aaina ghaur se dekhega to Dar jaayega


Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #52 on: June 09, 2010, 01:12:46 PM »
Reply with quote
Dear Celmira Saheba! Adab!
Air pur-lutf, me-aari, murassa ghazal se nawaaz kar is bazm meN chaar chaaNd laga diya hai aapne. Meri dua hai ke zore qalam aur ziyada.......Dher saari daad qubul kijiye.Isi radeef-qaafiye meiN do sher maiN apni ghazal ka yahaN pesh karne ki jasaarat kar raha hooN:

Waqt ke saath kahaN iska asar jaayega
Tees rah jaayegi ye zakhm to bhar jaayega

Usko chehra pas-e-chehra ho mubaarak lekin
Aaina ghaur se dekhega to Dar jaayega


Wah Waqif Sahab Jawab nahi , KYa kahene , Sher kahe ke Ghazal sunne ko dil chahta hai , Kabhi Waqath ne ijazath di to karam kar den ,,Allah apko khush rakhe ..


Duwa go

Qadeertoopchi
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #53 on: June 09, 2010, 02:18:57 PM »
Reply with quote
celmira saheba bahot hi behtreen paishkash ,,waqif saheb ne jis andaz main daad o tehseen se nawaza hai waqie ap mustahiq hain,bahot hi umda,waqif saheb ne jo do shair paish kiye hain bahut hi umda hain aur mein qadeer bhai ki baat se ittefaaq rakhta hoon ke waqif saheb ko waqt ijazat dein to ghazal se nawaz dein.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #54 on: June 10, 2010, 10:04:24 AM »
Reply with quote
Janab Nazar Ghouri Saheb! AOA!
Bandah itni taareef k qaabil nahiN hai, haaN aapki khwahish kisi din zaroor poori karooNga. Apni nawazishoN se nawaazte rahiye aur khaaksaar ko duaoN meiN bhi shaamil rakhiye.

(Waquif Ansari)

celmira saheba bahot hi behtreen paishkash ,,waqif saheb ne jis andaz main daad o tehseen se nawaza hai waqie ap mustahiq hain,bahot hi umda,waqif saheb ne jo do shair paish kiye hain bahut hi umda hain aur mein qadeer bhai ki baat se ittefaaq rakhta hoon ke waqif saheb ko waqt ijazat dein to ghazal se nawaz dein.
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:41:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer