darecha khool ke dekho tumhare dar pe aayaa hoon

by khalidrawat on August 20, 2007, 10:38:10 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1217 times)
khalidrawat
Guest
Reply with quote
Khalid Jamil Rawat

Darecha khool ke dekho tumhare dar pe aaya hoon
Kahi.N se jism ko apne bilaakhir khench laya hoon

Kahin aisa na ho mar jaon main dekhe bina tujh ko
So apne saath ik tasweer tere le ke aayaa hoon

Main jis ke pair choota hoon main khud hi wo bulandi hoon
Main apni chaaoon main betha hoon apne zer-e-saya hoon

Zubaan bijli ki jis ko chat jaye wo shajer hoon main
Main khud ko khak he kerne lab-e-badal tak aaya hoon

Mujhe in aasmaanoon se nahin he koi bhi matlab
Mujhe he piyaar dharti se ke main dharti ka jaya hoon
Logged
Sahiba Zehra
Guest
«Reply #1 on: August 22, 2007, 08:07:58 AM »
Reply with quote
gud work Usual Smile

:D :D :D
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: September 02, 2007, 03:58:39 AM »
Reply with quote
Quote

Main jis ke pair choota hoon main khud hi wo bulandi hoon
Main apni chaaoon main betha hoon apne zer-e-saya hoon

Zubaan bijli ki jis ko chat jaye wo shajer hoon main
Main khud ko khak he kerne lab-e-badal tak aaya hoon


Very good lines...Khalid
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: October 31, 2007, 11:30:59 AM »
Reply with quote
Bahoot Acche Alwaaz Aapne Isme Peeroye Hain Khalid Rawat Ji.,
God Bless You
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #4 on: January 13, 2010, 12:08:34 PM »
Reply with quote
Khalid Jamil Rawat

Darecha khool ke dekho tumhare dar pe aaya hoon
Kahi.N se jism ko apne bilaakhir khench laya hoon

Kahin aisa na ho mar jaon main dekhe bina tujh ko
So apne saath ik tasweer tere le ke aayaa hoon

Main jis ke pair choota hoon main khud hi wo bulandi hoon
Main apni chaaoon main betha hoon apne zer-e-saya hoon

Zubaan bijli ki jis ko chat jaye wo shajer hoon main
Main khud ko khak he kerne lab-e-badal tak aaya hoon

Mujhe in aasmaanoon se nahin he koi bhi matlab
Mujhe he piyaar dharti se ke main dharti ka jaya hoon

Behad achhi aur shandaar ghazal likhi hai Khalid Sahab. Mubarakbaad.
Logged
drpandey
Guest
«Reply #5 on: January 21, 2010, 10:40:05 AM »
Reply with quote
Manzil mili, murad mili, martaba mila,
Sab kuchh mila mujhe jo tera naks-e-pa mila.
(N/M)
Vo jo hamko pasand karte hain,
Apni keemat buland karte hain.
(N/M)

Umda! Excellent.....!!!!!!!!!!!!Bahut khoob....
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Bored
Guest
«Reply #6 on: January 22, 2010, 10:15:50 AM »
Reply with quote
Kaheren Aisa Na Ho ke Mar Jaoon Mai Dekhey Bina Tujhey
So Apnay Sath Ek  Tasweer Teri Lekar Aya Hoon

Bahut Acchi Kahi hai
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:50:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer