Deedar-e-yaar (Ghazal)

by F.H.SIDDIQUI on May 02, 2011, 04:32:49 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3974 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote
Aap ko  Hum se Pyaar Ho Jaaye,
Zindagi Khush-gawaar Ho Jaaye

Chaa.nd Dekhe Zamana Guzra Hai,
Kaash  Deedar-e-Yaar Ho Jaaye

Wo Pa'ye Fa'tiha jo Aa Jaayei.n ,
Zinda  Meri  Mazaar Ho Jaaye

Unko Apna Samajh ke Choom Saku.n,
Kaash  Ye Akhtiyaar  Ho  Jaaye

Pal mei.n Badle Nizaam-e-Zeest Agar,
Hukm-e-Parwardigaar  Ho  Jaaye

Dil pe Lag Hee Gaya Hai Teer 'Hasan' ,
Ab Wo Nikle ki Paar Ho Jaaye
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaar Ko Maine, Mujhe Yaar Ne Sone Na Diya,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Deedar-e-yaar by amit_prakash_meet in Shayri for Dard -e- Judai
Deedar-e-yaar by st. Jhumroo in Shayri for Khumar -e- Ishq
Deedar E Yaar,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: May 02, 2011, 04:51:31 AM »
Reply with quote
Aadaab janab Siddiqui Sahaab!

Kia umdaa kalaam pesh ki hai behad khoob..
Pur asar aur purlutf kalaam par dil se daad
o mubarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Sabhi ashaar behad khoob rahe... Aate rahiye
Likhate rahiye...
Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez Usual Smile         

Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #2 on: May 02, 2011, 05:15:02 AM »
Reply with quote
Aap ko  Hum se Pyaar Ho Jaaye,
Zindagi Khush-gawaar Ho Jaaye

Chaa.nd Dekhe Zamana Guzra Hai,
Kaash  Deedar-e-Yaar Ho Jaaye

Wo Pa'ye Fa'tiha jo Aa Jaayei.n ,
Zinda  Meri  Mazaar Ho Jaaye

Unko Apna Samajh ke Choom Saku.n,
Kaash  Ye Akhtiyaar  Ho  Jaaye

Pal mei.n Badle Nizaam-e-Zeest Agar,
Hukm-e-Parwardigaar  Ho  Jaaye

Dil pe Lag Hee Gaya Hai Teer 'Hasan' ,
Ab Wo Nikle ki Paar Ho Jaaye


bahut khoob
Logged
asiqu
Guest
«Reply #3 on: May 02, 2011, 06:14:53 AM »
Reply with quote
Kya khub ..Kya Khub
Logged
SkykiTears
Guest
«Reply #4 on: May 02, 2011, 06:25:09 AM »
Reply with quote
Nice.. F.H Ji..

-SKY-
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #5 on: May 02, 2011, 01:32:34 PM »
Reply with quote
wah ………
umda ghazal
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: May 04, 2011, 08:31:08 AM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob Janaab!!!

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #7 on: May 04, 2011, 04:04:36 PM »
Reply with quote
Janab Parwaz Saheb,Adil Bechain Sb,asiqu ji,SKY ji,KB ji, Khwaish ji.Aap sab ki hausla afzai ke liye dil se mamnoon hoon...Hasan
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #8 on: June 05, 2011, 01:24:11 PM »
Reply with quote

BAHUT DAMDAAR GHAZAL JANAAB HASAN SB



 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #9 on: June 06, 2011, 09:25:45 AM »
Reply with quote
khamosh awaaz ji, bahut bahut shukriya.Hasan
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #10 on: June 06, 2011, 09:40:44 AM »
Reply with quote
siddiqui sahab aadab ,,

wah wah kya hi khoob ghazal kahi hai bhai .. wah wah ... dad behad o hisab .. allah apko khush rakhe ..


khadim

qadeertoopchi
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: June 07, 2011, 08:57:56 AM »
Reply with quote
Qadeer saheb,Itne Khoobsurat alfaaz mei.n daad aur nek khwahishat ke liye behad mamnoon hoo.n. Aayenda bhi apni garaa.nqadr rai se nawaazte rahiyega,ye guzaarish hai. Naacheez,FHSiddiqui
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #12 on: June 07, 2011, 10:51:41 AM »
Reply with quote
wah wah wah wahhhhh kitni nishaatangez ghazal kahi hai janab siddiqui saheb aapne, zindabaad, zindabaad, zindabaad, maza aa gaya ise paRhkar aur aapki ye ghazal dil ko baar baar paRhne pe uksaati hai. Shuru se aakhir tak mujassam husn hi husn hai aapke kalaam meiN. Aik munfarid aur laazawaal peshkash jiska har aik sher waqai teer-ba-hadaf hai. Ise kahte haiN sahrbayaani, zubaan-o-bayaan ki jaadugari. Is hassen-o-jameel ghazal ko paRhte hi barjasta dil se ye kuchh jumle nikal paRe:

Tum pe gar ikhtiyaar ho jaaye
Umr saari bahaar ho jaaye

Chal gaya hai tumhaari aaNkh se jo
Teer wo dil ke paar ho jaaye

Chaahta hooN k dil pe zakhm lage
AUR dil beqaraar ho jaaye

Muntazir hooN maiN jis tarah se mira
Muntazar mera yaar ho jaaye

Nihaayat dilkash, purlutf, murassa, munfarid ghazal k liye dili mubarakbaad k saath saath hazaroN daad qubul kijiye.

(waquif ansari)
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #13 on: June 08, 2011, 11:57:32 AM »
Reply with quote
Janaab Waquif Ansari Saheb,Iss gumshuda aur lagbhag faraamosh ki jaa chuki ghazal per aap ka tabsira - wo bhi itne khoobsoorat alfaaz mei.n jinka mai.n haqdaar nahee.n - paRh kar ThoRi der ko mai.n bhi apne ko shaair samajhne laga aur fart-e-musarrat se ye tukbandi ho rahi hai jo Jawaaban haazir hai:
 She'ri kaavish ko hukm-e-saad mile,
 Dil se  Maa.ngi  hui  Muraad  mile,
 Eik  Shaair  ko  eik  Shaair  se,
 Jab Zubaan-e-Ghazal mei.n Daad mile.
     Aap ke khuloos ke liye tah-e-dil se shukriya .
                                        F.H.Siddiqui
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #14 on: June 08, 2011, 12:14:34 PM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob F.H.Siddiqui ji.very touching n great creation.excellent Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 01:55:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.151 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer