Deedar-e-yaar (Ghazal)

by F.H.SIDDIQUI on May 02, 2011, 04:32:49 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3945 times)
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #15 on: June 08, 2011, 01:07:23 PM »
Reply with quote

Waah...waah Hasan Sahab..bahut khoob maza aa gaya
aapki ghazal padhkar..khas taut par pahala she'r

chaNd dekhe zamanz guzra hai
kaash deedaar-e-yaar ho jaaye

ye she'r padhkar bahut pahle padha hua ek she'r
yaad aa gaya..

unteesweeN ko rukh ke tere deed ho gayee
ab chaNd ho na ho apni to id ho gayee

Satish Shukla 'Raqeeb'

Tahe dil se hazaaron 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaar Ko Maine, Mujhe Yaar Ne Sone Na Diya,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Deedar-e-yaar by amit_prakash_meet in Shayri for Dard -e- Judai
Deedar-e-yaar by st. Jhumroo in Shayri for Khumar -e- Ishq
Deedar E Yaar,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #16 on: June 09, 2011, 10:24:25 AM »
Reply with quote
madhuwesh ji,Thanx for appreciating and nice comments.

 Thankyou !
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #17 on: June 09, 2011, 10:35:17 AM »
Reply with quote
Raqeeb saheb,Bahut bahut shukriya ghazal pasand karne aur ussi silsile ka eik khoobsurat she'r ataa karne ke liye.Ek  chaand par doosra chaand dekar aapne zer e tabsira mauzoo mei.n char chaand laga diye.Hasan 
Logged
Qais
Guest
«Reply #18 on: October 04, 2011, 09:51:55 AM »
Reply with quote
wah wah,Bahut khoob
Logged
sbechain
Guest
«Reply #19 on: October 04, 2011, 09:55:11 AM »
Reply with quote
Aap ko  Hum se Pyaar Ho Jaaye,
Zindagi Khush-gawaar Ho Jaaye

Chaa.nd Dekhe Zamana Guzra Hai,
Kaash  Deedar-e-Yaar Ho Jaaye

Wo Pa'ye Fa'tiha jo Aa Jaayei.n ,
Zinda  Meri  Mazaar Ho Jaaye

Unko Apna Samajh ke Choom Saku.n,
Kaash  Ye Akhtiyaar  Ho  Jaaye

Pal mei.n Badle Nizaam-e-Zeest Agar,
Hukm-e-Parwardigaar  Ho  Jaaye

Dil pe Lag Hee Gaya Hai Teer 'Hasan' ,
Ab Wo Nikle ki Paar Ho Jaaye

kya baat hai.! kya baat hai.!! .....zinda meri mazaar ho jaaye...waah HASAN sahab waah
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #20 on: October 04, 2011, 11:08:31 AM »
Reply with quote
bade pyaare aur saadgi se bharpoor ashaar wah.. hasan bhai wah..
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #21 on: October 04, 2011, 01:13:22 PM »
Reply with quote
Qais saheb,Is bhooli bisri ghazal ko padhne aur pasand karne ke liye bahut bahut shukriya.Khush rahiye.HASAN
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #22 on: October 04, 2011, 04:55:57 PM »
Reply with quote
Shebaji,Hausla afzai ke liye bahut bahut shukriya.Khush rahiye.HASAN
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #23 on: October 05, 2011, 04:58:55 AM »
Reply with quote
Dr.Saini saheb,Itne khoobsurat andaaz mein hausla afzai ke liye bahut bahut shukriya.HASAN
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #24 on: October 05, 2011, 09:00:37 AM »
Reply with quote
Shihab saheb,Aapki purkhuloos tahreer ka kis zubaan se shukriya adaa karoon.Aap ko meri adna si ghazal pasand aayi yeh jaan ke bahut khushi ho rahi hai. Lekin aapne jis inkisaari se kaam liya hai uske laaiq main nahiin. Urdu maadri aur mahboob zubaan hai aur mere watan Lucknow ki zubaan hai shaayed yahi taalluq tukbandi karte karte kisi aise sher ko janm de deta hai jo aap jaise mukhlis doston ko pasand aa jaaye.Aap ka zarf hai ki aap iss ka izhaar kar ke mera hausla badha dete hain.Bahut shukrguzaar hoon iske liye.Aap ne Waquif saheb ka zikr kar diya .Unki kami aajkal bahut mahsoos ho rahi hai.Mujhe YO pe aaye abhi 1 saal bhi nahiin huaa hai lekin waquif saheb ka main maddah ho gaya hoon.Unka kalaam aur unka khuloos donon hi aala hain.Khuda kare wo is bazm ko phir se apna waqt dein aur apne khoobsurat kalaam se nawaazein.Aap ke khuloos ka ek baar phir shukriya.Duago,HASAN
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #25 on: October 06, 2011, 06:37:23 AM »
Reply with quote
Azizam Shihab Mian,Aap ne Saheb ke saath khitaab na karne ko kahkar eik shafqat ka rishta banaa liya.Aapko meri dil se duaaein.HASAN
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:33:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer