muneeb
Guest
|
|
|
Jab se dekha hai maine yeh chehra tera Chehra aur koi bhaya nahin Jab se dil mein basi hai tu jaaneman Khayalon mein bhi koi aaya nahin Aankhon aankhon mein raten gujar jathi hai Yaad ka kya hai yeh har pehar aathi hai Bhool gaye khud ko hum toh tumhare liye Ek pal bhi tumhe par bhulaya nahin Jab se dekha hai maine yeh chehra tera Chehra aur koi bhaya nahin Jab se dil mein basi hai tu janeman Khayalon mein bhi koi aaya nahin...
Mera ek sapna hai Ki main ek sapna dekhun Sapne mein tu mere saath ho Mere hathon mein tera haath ho Samandar kinare sookhi ret par baithe Doobte suraj ko niharte hue Jab tumhari julfon ko Shokh havayen yun hi chhed de Toh tumhari bikhri huyi laton ko Main chupke se sanvaar dun Mera ek sapna hai Ki main ek sapna dekhun.
Hum ne unko chaha Par chah kar bhi na Bata sake apne dil ka haal Hum bayaan to kar dete Par unhein yeh yekin kaise dilaye
Mere jeene ke liye tera armaan hi kafi hai. Dil ke kalam se likhi yeh dastaan hi kafi hai. Tir-e-talwaar ki tujhe kya zaroorat aye nazneen, qatl karne ke liye teri muskaan hi kafi hai.
Yeh baadal aur kuch nahi, teri aankhon ki kaajal hain Yeh bijli aur kuch nahi, teri aaneki aahat hain Yeh mausam aur kuch nahi, teri aanchal ki khushboo hain Is dil mein aur kuch nahi, tujhe paane ki chaahat hain.
Aakhen kholu toh chehra tumhara ho Band karu toh sapna tumhara ho Maar bhi jau toh koi gam nahi Agar kafan na mila toh aanchal tumhara ho ..
Mann ke jharokon se jab bhi dekhta hoon main usey Dil yeh kehta hai pyaar hai us se mujhe Usne mere dil par na jane kya jadoo kar dala Mere zindagi ko ek pal main hi badal dala Ab to bus ek hi tammana hai usse pane ki Usey apani zindagi ka hissa banane ki.
Ek ahsaas sa jagta hai Halka sa nasha cha jaata hai Meetha meetha sa gam leke Jeene ka mazaa aa jata hai Saamne ho jab woh (Sneha) Deedar bas hota hai Kuch suna jaata hai Naa kuch kaha jaata hai Yaadein aati hain Madhosh kar jaati hain Aansuon ke saath phir Hosh aa jaata hai.
Main jis se karta hoon pyaar Woh karti nahin apane pyaar ka izhaar Sochta hoon kah daalon us se apane dil ki baat Par darta hoon shayad naa samajhe woh mere dil ke jasbat Shayad uske dil main bhi pyaar hai Shayad woh bhi utni hi bekerar hai Mujhe us din ka intzaar hai Jis din woh keh de ki 'mujhe tumse aur sirf tumse pyaar hai'.
Tujhse pyar kiya toh kya gunnah kiya, Tujhe dil diya toh kya galat kiya, Woh kaun si kammi reh gayi mujhme Jis se mein tujhe apna na baana saka, Woh kaun sa gunaah meine kiya, Tu mujhe bas mera gunaah batade, Toh phir maut ko bhi khushi khushi kabool karlenge, Yaha tak ki apni rooh bhi tere havale kardenge.
mujhse hui bas yeh khata maine tujhe chaha sanam chup chup ke rootha raha tune diye kaise yeh ghum o bekhabar be raham karle chaahe jitne sitam na chaahat kabhi hogi kam mujhe in aasoon ki kasam maine kiya hai tujhse sachcha pyaar maine kiya hai tujhse sachcha pyaar..
|