faisal314
Guest
|
|
|
YADOON KAY DEEP
Yadoun kay deep jo jela jatey hain Wo janey waley kia laut key bhee aatey hain? Na hotey hoye kisee rishtey kay bhee Ek unjaan Bendhan say henstoun ko rula jatay hain.
Ishq chourta nahee kisee kam ka, pher bhee najaney kyon, Chaheny waley dou jism tou ek jaan ho jatey hain.
Ghem chupaney key kousesh tou bahut kertey hain hum laeken, Ziker un ka chernay per, aansoo jo roudaad suna jatay hain.
Kab tek jekrain gee yeh khandan-o-nesal key zengeerain ? Baat berhaney ko tou risthey insaneyat kay he kafee ho jatay hain.
Keb say guzaar rahain hain gin gin her ek lemha, sunah hay apney kouchey key teraf aaj mehboob aatey hain.
Furset naseeb hotee hay bamuradoun ko KHAKI Yeh bewafa, yadain he itnee chour jatey hain.
_________________________________________________ ______________________ HAAL-E-DIL MET POUCHEYEH
Haal-e-dil met poucheyeh, Haal-e-dil met poucheyeh zakhm na kuraydeyeh,Haal-e-dil met poucheyeh Ab wo na raha hay apna bus itna jaan lejeyeh, shiraret na aur koi soujeyeh, Haal-e-dil met poucheyeh. _________________________________________________ ______________________
ACHEE BAAT NAHEE
Nata na jourtay tou kuch aur baat thee Youn un ka tourena jour ker , achee baat nahee.
Raha ho mehver terey kouchey kay jo sham-o-saher Aisay deewaney ko tera dedaar na hona , achee baat nahee.
Waqt key heyra pheyree ney kia kia rang dikhlayey hum ko Youn nesheybee main un ka sath chour jana , achee baat nahee.
Pehlee nezar main howa tha gireftar-e-mohabat yeh Youn dil-e-baykheta ka tout jana , achee baat nahee.
Sheb-o-roaz jin kay jelway hotey they aankhoun main beraajeman Youn aeks kay perday say un ka ho ker guzer jana , achee baat nahee.
Gin gin jo guzartay hain waqt-e-deedaar-e-yaar main lemha her ek Youn waqt ka phir theyher jana , achee baat nahee.
Legta hay mazak sehnay key aadet nahee un ko werna Youn mehfil say un ka cheley jana , achee baat nahee.
Bahut khefa rehtay hain, najaney kyon wo akser hum say Youn baat baat pay baatain sunana , achee baat nahee.
Maloom hay kay ies dard key nahee miley gee ab devaa Youn phir ies ka dil main theyher jana , achee baat nahee.
Choot tou bahut legee hay per doujay ghemoun kay leyey Youn duniya say rouht jana , achee baat nahee.
Leghta hay mazakh sehnay key aadet nahee un key werna Youn mehfil say un ka chelay jana , achee baat nahee.
Bahut khefa rehtay hain wo ekser hum say Youn baat baat pay baatain sunana , achee baat nahee.
Maloom na tha kay itnay nazuk mezaj hain hum Youn zikr pay un kay aankhoun ka num hona , achee baat nahee.
Kuch they beemaree say nidhal tou kuch zekhmee sa tha dil bhee Youn na mezaj pursee ko un ka aana , achee baat nahee.
Humaree haar nay bekhayree jo muskerahet un kay cheray per Youn haar kay jeet jana , achee baat nahee.
Jeb say tum gayee ho setatee hain yaadain tumharee Youn mur ker kheber na laena , achee baat nahee.
Mana kay ishq nakaam nahee apna laeken KHAKI Youn her baat main acha hona , achee baat nahee. _________________________________________________ ______________________
MUTAFERIQ
Suna hay hum layek nahee un kay pyar kay hum Kabhi kabhi zinda rektee hay nefrat paney key umeed he.
Hum tou dil-o-demag kia, rouh-o-jaan tek ker chukay un kay hewalay, Wapsi main kuch pyar na sahee , nefrat tou detey jayain gay.
Wo khush -o- khurram rahain , humaree tou dua hey yahee, Sath sath apney hum , ghem un kay bhee letey jayeen gay.
Suna hay kafi ibn-ul-waqt hain sanam humaray, Souchtay hain kaheen nezrain tou na phair jaeen gay.
Baat maeyat uthney tek key houtey tou shayed ker letay berdasth, Humara tou jinaza bhee un key gelee say guzra.
Kitnay bhouley hain wo , aata nahee tereeka nefrat kernay ka bhee, Kabhi Kabhi daekh ker humhain dheeray say muskera daetain hain wo _________________________________________________ ______________________
AAJ OUS GUMSHUDA KO DHOUNDENA HAY
Aaj ous gumshuda ko dhoundena hay
Kabhi kaheen mujh say jo kho geya tha Lakh dhoundenay pay jo na mil seka tha Tedbeeroon say kaam jeb chel na seka tha Mukedar main shayed apnay wo na likha tha
Aaj ous gumshuda ko dhoundena hay
Ejeb felsefa hay zamanay waloon ka bhee Koi telaash-e-neelam main hay tou, pether kisay dhoundena hay Ies zulmet qeday main sumbhaletay hoye khud ko bhee Ek band gelee main rah mujh ko dhoundena hay
Aaj ous gumshuda ko dhoundena hay.
Bazi main ishq key reng daekay najaney kaisay kaisay Haar key bhee jeet jatay they hum ekser kaisay kaisay Pana ousay manind-e-roshnee main undhera dhoundna hay Rekh leya hay bheram apna kay ousay dhoundena hay
Aaj ous gumshuda ko dhoundena hay
Kash bedelta na rang zemana aesay aesay Khaila hay apnay jezbaat say yeh kaisay kaisay Ab tou Dil kay samunder ka sahil dhoundena hay Waqt key bedlee mian chupp geya jo menzer dhoundena hay
Aaj ous gumshuda ko dhoundena hay. _________________________________________________ ______________________
ZERA SA
Cheshm hain Aabdeeda, Main bhee houn rengeeda zera sa Kia khoub tha jo setemger nay khayal kia hota zera sa Bhulayain kaisay jatey jatey mur ker ous ka daekhna Yadoun kay silsilay main hay numayaan wo menzer zera sa.
Dherek jata tha jis kay leye ho kay yeh bay dherek sa Kirci kirci ker jata hay ies ko nezer na ous ka aana zera sa Kyun kahain tenha apnay aap ko hum ies daeyar main KHAKI Howa tha wo bhee tou kabhi hemara zera sa. _________________________________________________ ______________________
INTEZAR-E-YAAR
Acha leghta tha humhain Desht-e-intezar mian terpana jin ko Youn Jeldee un ka aana, ek maujeza sa ho geya tha.
Ket na raheen theen gheryaan jo intezar-e-yaar main Lemha koi teher kay manind-e-sedee sa ho geya tha.
Mebhout khera tha main, nezrain teher see gayeen theen Jelwa-e-husn main un kay kuch zaida he khou geya tha.
Ber rahey they humaree janeb wo dheeray dheeray say jo Muterenam chal say un key dil ek neghma sa ho geya tha.
Ejeb haal-e-dil tha, kay khetka sa ek legha tha Baad-e-mulaqat yeh kuch pursakoon sa ho geya tha.
Tha un ka aana, ya aamed-e-behar thee Jezbaat kay gulshen main gul ek naeya sa khil gaeya tha.
Sembhaal na sekay hum tekraoo-e-nazar pay khud ko Gehraeyoun main un key aankhoun ke main girta chela geya tha.
Kuch youn chupa na sakay they wo bhee haal-e-dil ko Kay ek rang sa un kay cheray per aa kay guzer geya tha.
Gung hoi youn zoubaan thee kay kuch kehnay say kasir hum Bus dekhnay main un ko ek ersa sa guzer geya tha.
Pass aa rukay tou kuch housh sa aaya hum ko Haerat-o-sektay key wadee say main kuch nikel sa geya tha.
Youn rounuma hotay maujezaat nay bedal dalee thee souch jo Tedbeer key batoon wala, tekdeer key pehloo main tik sa geya tha.
Wadeyeh dil main kuch ejeb sa tha menzar ab Ehsaas-e-kurbet say un kay dil bagh bagh sa ho geya tha.
Youn tebdeelee pay apnee sebhee dost they haeraan KHAKI Chaha jo youn kisee ko hota tou, pouchthey na yeh kaisay ho geya tha. _________________________________________________ ______________________
HEMARA NAHEE HAY
Chaha sarey zamaney ko chour ker hum nain jis ko Wo yaar-o-dildaar ab hemara nahin hay.
Kerain tou kerain dil-e-beytaab kou kaisay kaboo ies pay ekhteyar jo raha ab hemara nahin hay.
Met pouchou naam un ka, baar baar ab hum say Suna hay naam betanay ka haq bhee ab hemara nahee hay.
Jezbaat say hemaray khail gaye wo ies zamanay key terha Kash semejh patey key dil lagee khail hemara nahee hay.
Aey dil-e-sadaa kyun hay khush in nizaroun say aaseman kay Chand tou kia,ies ka ek tara bhee hemara nahee hay.
Doobay rehtay hain ose key yadoun kay samunder main hum Dil pay tha keb, ab souch pay bhee ekteyar hemara nahee hay.
Bay gher honay ka tou tanah met day aey setemger Mana key koucha tera hay yeh, hemara nahee hay.
Pehlee nezar main hum chah gaye tum ko jana bus Pesay pusht kisee mensoobay kay hath hemara nahee hay.
Dil-e-nachaar ko pash pash keyay yeh keh chel deyay Legaya tha tumhee nain, ies main kasoor hemara nahee hay.
Kabhi mauqa mila tou dikhla dain gay un ko Rewaan nes nes main hain yadain tumharee,Khoun hemara nahee hay
Pouch ker haal ekser jelatay hain, zemanay waley Jantay hoye bhee kay ab haal kuch acha hemara nahee hay.
Apnee tenhaee ko ab koi aur rafeeq, bhee chaheyey Ies bheray shaer mian kyun koi hemara nahee hay.
Chandeni main jis key bhaet ker, likhta houn main nazem apnee Hum semejhtay hain aiesa laeken wo chand bhee hemara nahee hay.
Ejeb rang hain duniya waloon key, kya kahain Kabhi legta hay wo tumhara tou kabhi hemara nahee hay.
Met yaad ker ous ko, baar baar aye dil-e-sadaa Semejh lay jo hemara tha kabhi ab wo hemara nahee hay.
Kehna tou aasaan hay, laeken emel paera ho kaisay dil yeh Yadoon kay samunder ka sahil jo hemara nahee hay.
Chela geya wo jis say pehchanta tha main apnay aap ko Ies bastee main guzara ab yaqenen hemara nahee hay.
Pestee main na they hum, shayed wohi kuch bulend they Pounchnay ko un ta dest-e-deraaz jo hemara nahee hay.
Ies muamelay main baaz peras kia kertay hum un say hum Un kay shayaan-e-shan shayed undaaz-e-guftagoo hemara nahee hay.
Bahout souch semejh kerna faisalah yeh zindagi ka humaree Ghem aur seh jayey wo ab jiger hemara nahee hay.
Haeret ka samunder hay rawaeya un ka bhee keya betayain Shayed acha leghta unhain mehfil main aana hemara nahee hay.
Ous key roshni say faiz yaab ho rahay hain bay faiz saray Koi betlayey tou wo diya kyun hemara nahee hay.
Mausem tou bahout daekhay hain ies duniya main laeken Najanay kyun pyar ka wo mausem suhana hemara nahee hay.
Dayer ker diya muqedma pyar ka un key edalet main Koi sabout tou kyun koi gevwa hemara nahee hay.
Nefrat kay naezay say kertay hain wo waar baar baar Kyun unhain kuch bhee kheyal hemara nahee hay.
Mausem-e-behar tha jeb lega kay aaya hay mausem wo baykerar sa Pher bhee gulshan-e-mohabbat main khilaa koi gul hemara nahee hay.
Rou daetay hain zalim zamanay key leyey hum ekser Kisee cheshm-e-ter main kyun koi aansoo hemara nahee hay.
Kaantay bahout hain ous rah peh, jis peh chel niklay hain hum Bagh-e-duniya main kyun koi baghbaan hemara nahee hay.
Besa rekha hay hum nain tou dil main sirf un ko Un key yadoun key busti main kyun gher hemara nahee hay.
Kheyal rehta hay unheen ka, her waqt humhain Souch main koi aur nukta kyun hemara nahee hay.
Guzar dee jin kay naam say zindagee hum nay Hay kis ka najanay wo ism tou hemara nahee hay.
Baydherak najanay wo keh laetay hain kaisay Rishta koi ab tumhara hemara nahee hay.
Zekhm-e-dil tou bahut gehray hain enhain janchay kaun Aey bewefa ghaoo kuch aur lega, peechay hetna hemara nahee hay.
Gila kertay hain ekser kay hum nay kabhi yaad na keya Waesay bhoulnay ka tou un ko koi khayal hemara nahee hay.
Ghem-o-alam kay sath miltee hain dastanain khusi-o-rahat key bhee Beta najanay kyun ghem yeh hemara nahee hay.
Sila-e-wefa main ab umeed kerain kia ies zamanay say aur hum Suna hay fehrist main wafadaroun key he, naam likha hemara nahee hay.
Bay naam say ous rishtay key yaad aatee hay baar baar Betaoo na kyun wo bandhan raha ab hemara nahee hay.
Umer ka ek hisa bitaya jis kay sath hum nay wo raha yaar-e-namedar bhee ab hemara nahee hay.
Guzer jatay hain unjaan benay dheeray say wo Rishta haye aashnayee ka bhee ab hemara nahee hay.
Payeh tou dost bahut ies deyar main laeken Howa ous kay jaisa doust koi hemara nahee hay.
Janay kia howa hay kabhi cheltay cheltay rukh sa jata hay yeh Dil tou kabhi pehlay, youn dherka hemara nahee hay.
Bus ek kheyal say un kay, cheray pay aa jatee hay muskurahet see Hayraan hain kay pehlay tou howa kuch haal iesa hemara nahee hay.
Chout iyesee lagayee zalem nain ab betayain kia Guzer jana mushkal sahee, namumkin hemara nahee hay.
Mayous nahee hain hum , baymurad bhee nahee gerchay Dasht-e-mohabbat main koi gul bhee tou khila hemara nahee hay.
Dil pay choutain tou bahut theen , zakhm ab dikhlayain kia Gehrayee ho jis key wesat-e-nezr main , iesa zakhm hemara nahee hay.
Najanay kyun war kertay hain ek neya saroaz wo edawet ka un say tou koi silsila hemara nahee hay.
Bewafayee ko ous key bhula daetay hain ekser yehe souch Bena jora apna shayed aasemaan pay hemara nahee hay.
Dard kay hed say berhnay per keh daetay hain, ek ghazal KHAKI Waisay tou misra-o-nazm say koi rishta hemara nahee hay.
|