Deykh lo saamney: saaraa jahaan tumhaaraa hai!!

by abdbundeli on September 23, 2010, 02:07:16 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1051 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Zameen hee naheen, yeh aasmaan tumhaaraa hai!
Deykh lo saamney: saaraa jahaan tumhaaraa hai!!

Pheyr kar deykhiye, jaateen hon jahaan tak nazareyn!
Koun rokeygaa, kyounki, kahkashaan tumhaaraa hai!!

Tamaam husn-o-nazaarey hain tumhaarey, mahboob!
Jawon talak yeh samaan shaadamaan tumhaaraa hai!!

Gunchey-gunchey mein hain raanaaiyaan tumhaaree hee!
Baag-e-gulbun hi naheen, baagbaan tumhaaraa hai!!

Mouj-e-daryaa pai raks-e-rooh deykhiyegaa naheen?
Lahar rahaa wo chaand khushnumaan, tumhaaraa hai!

Zarrey-zarrey mein muskuraa rahey ho tum kab sey?
Sabz khaakon mein rawaan gulfishaan tumhaaraa hai!

Log aatey hain, guzaratey hain, guzar jaatey hain:
Mujhko lagtaa hai, ki, har kaarbaan tumhaaraa hai!

Rahbaree kartey huye tum zaroor they moujood:
Kyounki, qadamon kaa padaa har nishaan tumhaaraa hai!

Umra ney, go ki, kar diyaa hai yeh daaman mailaa;
Koun kahtaa hai, daag-e-badnumaan tumhaaraa hai?

Log to zar mein bhi, syaahi talaashtey hain; magar,
Paak ho tum, ki, 'abd' raazdaan tumhaaraa hai!

                               - abd bundeli
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #1 on: September 23, 2010, 08:30:21 PM »
Reply with quote
Bohat Khoobsurat rahi yeh peshkash bhaiyya....

Kya hua jo ek chat nahi muyassar Ghayel
Mano Abd ki to sara jahaa.N tumhara hai...

SG
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: September 24, 2010, 10:59:03 AM »
Reply with quote
Bohat Khoobsurat rahi yeh peshkash bhaiyya....

Kya hua jo ek chat nahi muyassar Ghayel
Mano Abd ki to sara jahaa.N tumhara hai...

SG

Thanks, Sajid ji! Aur, kyaa hi khoob chutkee lee ha miyaan!! Waah bhai waah!

Miyaan, yahaan to ziyaadah sey ziyaadah sou saal hee rahnaa hai; par uskey ba'ad hazaaroun saal (taahashra) jahaan rahnaa hai, wahaan gaz X 2gaz kee chhat bhaley hee milee rah saktee hai, par na to bijlee-khaaney-peeney kaa koyee intazaam wahaan mileygaa aur na mahboob kaa makhmalee aagosh hee! Isliye beyhtaree isee mein hai ki chhat-wat kee ziyaadah a'adat na daalee jaaye! Kyoun kaisee rahee?
Sapariwaar khoob khush rahiye!                                

Leejiye aasmaan chhat hai, zameen hai bistar:
Baat bas yeh hai, ki, kyaa oudhhnaa-bichhaanaa hai!
Ham to sahrey mein utar kar WAHAAN sey aaye they:
Bas isee khaak mein rahnaa hai, aur jaanaa hai!!

                          - abd bundeli  
           
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #3 on: September 24, 2010, 11:12:10 AM »
Reply with quote
wah ji wah..kya bat kahi heee...eisa lagta he mehboob ko yahi kehena hogaa....gustakhi maaf kijiye ek chhoti si koshish he meri...

mana ke ham tumhare he DIL, SATH O JIGAR se
mere rukh ko fir bhi na dekho sanam tirchi nazar se~
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: September 29, 2010, 04:55:59 AM »
Reply with quote
wah ji wah..kya bat kahi heee...eisa lagta he mehboob ko yahi kehena hogaa....gustakhi maaf kijiye ek chhoti si koshish he meri...
mana ke ham tumhare he DIL, SATH O JIGAR se
mere rukh ko fir bhi na dekho sanam tirchi nazar se~

Thanks Abhi ji!

Nigah, nigaah hai: tirchhee ho wah , ki, ho seedhee!
Baat itnee-see hai, bas, unkee nazar ham pai rahey!
Zeest to daryaa hai: shaadaab rahey beyhtar hai;
Fir wo sailaab mein bahkey, ki, ladkhadaa key bahey!!

                  - abd bundeli


Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:50:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer