DIL BAHALTA NAHIN BAHLAANE SE *............. HASAN

by F.H.SIDDIQUI on June 02, 2014, 03:43:24 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 1900 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote

Bazm - e - YaraaN se , na Saghar se , na Paimaane se
" Dil kisi taur bahalta nahiN bahlaane se "

Laa nahiN sakte kabhie , uski Ataa kee Khushboo
Phool Kaghaz ke mahakte to haiN mahkaane se

Meri AnkhoN pe padi rahti WafaaoN ki naqaab
Gar jhalakta nahiN Khanjar tere Dastaane se

YooN bazaahir badi Mazloom nazar aati hai
Asliyat Shamma ki poochhe koi Parwaane se

Kis ki tasweer nigaahoN meiN liye phirte ho
Log poochhe haiN sawaal aap ke Deewaane se

YooN to jaldi nahi bharte haiN ye ghaao Dil ke
Dene lagte haiN zara Lutf yeh Sahlaane se

Log pur - maani nigaahoN se haiN dekhe Humko
Khil uthha hooN jo 'Hasan' yaar ke aa jaane se

-  HASAN SHAMSI  -

................
* May 1,2014 ko Facebook ke Shayar Group ke
Mushayere mein pesh ki gai Eik tarahi  Ghazal
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012

View Profile WWW
«Reply #1 on: June 02, 2014, 03:56:26 PM »
Reply with quote
Meri AnkhoN pe padi rahti WafaaoN ki naqaab
Gar jhalakta nahiN Khanjar tere Dastaane se

YooN bazaahir badi Mazloom nazar aati hai
Asliyat Shamma ki poochhe koi Parwaane se

YooN to jaldi nahi bharte haiN ye ghaao Dil ke
Dene lagte haiN zara Lutf yeh Sahlaane se

Log pur - maani nigaahoN se haiN dekhe Humko
Khil uthha hooN jo 'Hasan' yaar ke aa jaane se

waaah waaah Hasan sahab behad umda ghazal kahi hai apne
Dard ko naya rukh diya hai MashAllah

ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #2 on: June 02, 2014, 04:10:13 PM »
Reply with quote
वाह....वाह.....वाह....

बहुत ही बेहतरीन ग़ज़ल......

ढेरों ढेरों दाद और तहे दिल से मुबारकबाद.....

Meri AnkhoN pe padi rahti WafaaoN ki naqaab
Gar jhalakta nahiN Khanjar tere Dastaane se

 notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #3 on: June 02, 2014, 04:14:56 PM »
Reply with quote
Kis ki tasweer nigaahoN meiN liye phirte ho
Log poochhe haiN sawaal aap ke Deewaane se

YooN to jaldi nahi bharte haiN ye ghaao Dil ke
Dene lagte haiN zara Lutf yeh Sahlaane se
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
 Applause Applause Applause Applause Applause
bahut khob Hasan ji
dheron daaad
Logged
Bishwajeet Anand Bsu
Guest
«Reply #4 on: June 02, 2014, 04:16:22 PM »
Reply with quote
WAAH WAAH WAAH WAAH WAAH...
Bahut hi Umda Ghazal rahi ye SIR..........

YooN to jaldi nahi bharte haiN ye ghaao Dil ke
Dene lagte haiN zara Lutf yeh Sahlaane se

Behtareen ...hazaron daad qubool karein SIR or is SHE'R ke liye ek RAU qubool karein...
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #5 on: June 02, 2014, 04:29:04 PM »
Reply with quote
Wah Wah!!! Awesome!! La-Jawaab!!! Bohat Bohat Hi Khub!!! Pad kar dil khush ho gaya. Is ghazal mein mohabbat bhi hai aur dard bhi.

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

 love9 love9 love9 love9 love9 love9 love9 love9 love9 love9 love9 love9

 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011

View Profile
«Reply #6 on: June 02, 2014, 04:37:20 PM »
Reply with quote
wah wah
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012

View Profile WWW
«Reply #7 on: June 02, 2014, 05:54:45 PM »
Reply with quote
bohut khubb
Logged
NakulG
Maqbool Shayar
****

Rau: 63
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
5 days, 23 hours and 55 minutes.
Posts: 804
Member Since: Apr 2014

View Profile WWW
«Reply #8 on: June 02, 2014, 05:56:07 PM »
Reply with quote
YooN to jaldi nahi bharte haiN ye ghaao Dil ke
Dene lagte haiN zara Lutf yeh Sahlaane se

kya baat he sir..
Aapke shaer padh ke dil bag bag ho gaya!!

behatareen!! Rau kuchh der me!!
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #9 on: June 02, 2014, 06:10:08 PM »
Reply with quote

Bazm - e - YaraaN se , na Saghar se , na Paimaane se
" Dil kisi taur bahalta nahiN bahlaane se "

Laa nahiN sakte kabhie , uski Ataa kee Khushboo
Phool Kaghaz ke mahakte to haiN mahkaane se

Meri AnkhoN pe padi rahti WafaaoN ki naqaab
Gar jhalakta nahiN Khanjar tere Dastaane se

YooN bazaahir badi Mazloom nazar aati hai
Asliyat Shamma ki poochhe koi Parwaane se

Kis ki tasweer nigaahoN meiN liye phirte ho
Log poochhe haiN sawaal aap ke Deewaane se

YooN to jaldi nahi bharte haiN ye ghaao Dil ke
Dene lagte haiN zara Lutf yeh Sahlaane se

Log pur - maani nigaahoN se haiN dekhe Humko
Khil uthha hooN jo 'Hasan' yaar ke aa jaane se

-  HASAN SHAMSI  -

................
* May 1,2014 ko Facebook ke Shayar Group ke
Mushayere mein pesh ki gai Eik tarahi  Ghazal
YooN to jaldi nahi bharte haiN ye ghaao Dil ke
Dene lagte haiN zara Lutf yeh Sahlaane se

kya baat he sir..
Aapke shaer padh ke dil bag bag ho gaya!!

behatareen!! Rau kuchh der me!!
YooN to jaldi nahi bharte haiN ye ghaao Dil ke
Dene lagte haiN zara Lutf yeh Sahlaane se

kya baat he sir..
Aapke shaer padh ke dil bag bag ho gaya!!

behatareen!! Rau kuchh der me!!

naaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaice-FHS
Logged
mkv
Guest
«Reply #10 on: June 02, 2014, 09:08:56 PM »
Reply with quote
Kis ki tasweer nigaahoN meiN liye phirte ho
Log poochhe haiN sawaal aap ke Deewaane se

YooN to jaldi nahi bharte haiN ye ghaao Dil ke
Dene lagte haiN zara Lutf yeh Sahlaane se

Log pur - maani nigaahoN se haiN dekhe Humko
Khil uthha hooN jo 'Hasan' yaar ke aa jaane se

Bahut Umdah ghazal kahee hai aapne Sir
kmaal..dhamaal..kya kahne
Logged
Saman Firdaus
Guest
«Reply #11 on: June 02, 2014, 11:58:38 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Woww..!!!!! Bahot hi khoob kalam...
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #12 on: June 03, 2014, 12:15:23 AM »
Reply with quote
waah bahut umda ghazal Hasan sir, dheroN daad aur ek Rau.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #13 on: June 03, 2014, 09:18:56 AM »
Reply with quote
Meri AnkhoN pe padi rahti WafaaoN ki naqaab
Gar jhalakta nahiN Khanjar tere Dastaane se

YooN bazaahir badi Mazloom nazar aati hai
Asliyat Shamma ki poochhe koi Parwaane se

YooN to jaldi nahi bharte haiN ye ghaao Dil ke
Dene lagte haiN zara Lutf yeh Sahlaane se

Log pur - maani nigaahoN se haiN dekhe Humko
Khil uthha hooN jo 'Hasan' yaar ke aa jaane se

waaah waaah Hasan sahab behad umda ghazal kahi hai apne
Dard ko naya rukh diya hai MashAllah

ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
Bahut bahut shukria zarra nawai janab sahal saheb . salamat rahye.
Logged
NakulG
Maqbool Shayar
****

Rau: 63
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
5 days, 23 hours and 55 minutes.
Posts: 804
Member Since: Apr 2014

View Profile WWW
«Reply #14 on: June 03, 2014, 01:49:35 PM »
Reply with quote
Rau Hazir He Sir

YooN to jaldi nahi bharte haiN ye ghaao Dil ke
Dene lagte haiN zara Lutf yeh Sahlaane se

kya baat he sir..
Aapke shaer padh ke dil bag bag ho gaya!!

behatareen!! Rau kuchh der me!!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:35:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.375 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer