Dil ka rishta

by hminhas on October 10, 2008, 04:36:14 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2219 times)
hminhas
Guest
Reply with quote
dil ki baat hai dil main rehe tu acha hai
hume aap se peyar hai peyar rehe tu acha hai

na tun jano ke main kon ho na main ke tum kon
yeh bandhan yunhi bandha rehe tu acha hai

zendgi ke anjane sufer main anjane raste per
mere humsufer tum hi humsufer rahu tu acha hai

sannso ki door tak dil ki dharkan see
tumhara naam gunjta hai gunjta rehe tu acha hai

dil ke rishte dil se hain
dil ki dharkan dharakti rehe tu acha hai

mana ke tum pass nahi ho dur bhi kab ho
duri ka yeh alam yunhi rahe  tu acha hai

Written By "HMinhas"
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Rishta by Pooja in Critics and Review only Forum
Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai by jaffartaufique in Shayri for Khumar -e- Ishq
*** RISHTA*** by ALONE BAD in Shayri-E-Dard
Rishta... by Aryaan in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
~~~Dil Ka Rishta~~~ by Ravinder in Shayri for Khumar -e- Ishq
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: October 11, 2008, 07:29:06 AM »
Reply with quote
JO BATEEIN NA SACH HOTI HAIN AUR NA JHOOTH
UNHE DUNIYA KEHTI HAIN GHAYEL KA KHAYAL ACHCHA HAIN

                                  -SG-
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: October 11, 2008, 05:58:33 PM »
Reply with quote
aap kalam uthao aur likhte raho aisi ghazalein,
hum jaise padte rahe aisi ghazalein to acha hai...

log duniya main lavz ka hi sahara leve apni baat kehne ke liye,
yeh dua hai aur yeh sach hojave to acha hai....



well done
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: October 11, 2008, 06:02:24 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob hminhas  Applause Applause

Nice replies Sajid Ji, Heart  icon_thumleft
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: October 11, 2008, 06:19:52 PM »
Reply with quote
pate ghir ke apne dard ka ehsaas dete rahe,
aur hum unko dekh kar lavzon ki barish kare toh acha hai...

zindagi main woh hi humari banjae yeh dua hai,
lekin unko humse bhi acha humsafar mile toh acha hai...

hum apke pyar ke layak toh nahin hai,
par apki ek dhadkan ek ehsaas miljaye toh acha hai...

un dhadkan ko hum kam fasle se mehsoos kare toh kya lamha banjaega,
aur woh lamha humari maut ka lamha banjae toh acha hai...

ap logon se bahaut tariff suni hai humne,
ab hum apni aukad pe ajaye toh acha hai...
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: October 11, 2008, 06:43:22 PM »
Reply with quote
Khushi baant ta hai jo ghum apne sab chupa ke
Muskurahat uske lab tak bhi aaye to achcha hai

Sabke liye dil main mohabbat liye wo phirta hai
Mohabbat uske liye tohfa ban ke aaye to achcha hai
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: October 11, 2008, 09:49:55 PM »
Reply with quote
superb celmira and prateek
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: October 13, 2008, 07:57:31 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Prateek Ji  Applause Applause

Shukriya Heart   Usual Smile
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #8 on: October 13, 2008, 09:28:53 AM »
Reply with quote
 Applause Applause

Bohat khoob likha hai doston... Thumbs UP
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #9 on: October 13, 2008, 12:19:15 PM »
Reply with quote
logho se teri tareef to bohat hum sun chuke
aa kabhi hum bhi aazmaye tu kitna achcha hain
Khushi baant ta hai jo ghum apne sab chupa ke
Muskurahat uske lab tak bhi aaye to achcha hai

Sabke liye dil main mohabbat liye wo phirta hai
Mohabbat uske liye tohfa ban ke aaye to achcha hai

Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #10 on: October 13, 2008, 08:52:40 PM »
Reply with quote
Shukriya celmira ji aur dead heart ji.
maine upar likhi panktiyon ko delete kar usey behtar roop dene ka prayas kiya hey.shaayad pasand aa jaaye...


kismaton ne tode he ub ke kuch is tarah hauslon ke bharam
nayi ummed koi mun mein na jug  jaaye to accha hein.

sheersh par bethey huey logon se jub nazdikyaan hui
khyaal  mein bhee bulandi hume choo na paaye to accha hein.

laton mein uljhana chaaha teri hathon mein ulajh gaya
zulfon ko ub tu na hi bikhraaye sanam to accha hein.

raah seedhi chale to thokrein hazaaron kar lagi
aah nikle magar meri chaah na badle to accha hein.

nahi bun-ni mujhe ub aur mukkamal shabdon ki maala
do baaten pyaar se kehni aa jaaye to accha hein.

tamaasha bun gaya tera tamaacha woh is kadar pada
palat ke vaar karna mujh ko nahi aata yeh accha hein.

maana mumkin nahi  hota patthar ka pighal  jaana
pur woh patthar neev ka bun jaaye to accha hein.

teri duniya mein e parvar yakayak subkuch badal gaya
ub to jo hein nahi bura, maanu wo hi accha hein!





Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: October 14, 2008, 06:51:02 PM »
Reply with quote
Applause Applause

Bohat khoob likha hai doston... Thumbs UP


Thanks Sis  icon_flower

logho se teri tareef to bohat hum sun chuke
aa kabhi hum bhi aazmaye tu kitna achcha hain

Hum to sirf ye jaante hain:

Parakhna mat, parakhne main, koi apna nahin rehta
Kisi bhi aaeene main der tak chehra nahin rehta (NM)
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: October 14, 2008, 06:51:52 PM »
Reply with quote
Shukriya celmira ji aur dead heart ji.
maine upar likhi panktiyon ko delete kar usey behtar roop dene ka prayas kiya hey.shaayad pasand aa jaaye...


kismaton ne tode he ub ke kuch is tarah hauslon ke bharam
nayi ummed koi mun mein na jug  jaaye to accha hein.

sheersh par bethey huey logon se jub nazdikyaan hui
khyaal  mein bhee bulandi hume choo na paaye to accha hein.

laton mein uljhana chaaha teri hathon mein ulajh gaya
zulfon ko ub tu na hi bikhraaye sanam to accha hein.

raah seedhi chale to thokrein hazaaron kar lagi
aah nikle magar meri chaah na badle to accha hein.

nahi bun-ni mujhe ub aur mukkamal shabdon ki maala
do baaten pyaar se kehni aa jaaye to accha hein.

tamaasha bun gaya tera tamaacha woh is kadar pada
palat ke vaar karna mujh ko nahi aata yeh accha hein.

maana mumkin nahi  hota patthar ka pighal  jaana
pur woh patthar neev ka bun jaaye to accha hein.

teri duniya mein e parvar yakayak subkuch badal gaya
ub to jo hein nahi bura, maanu wo hi accha hein!







Pehle se bhi badhiya Prateek Ji  Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: October 14, 2008, 07:00:07 PM »
Reply with quote
Shukriya celmira ji aur dead heart ji.
maine upar likhi panktiyon ko delete kar usey behtar roop dene ka prayas kiya hey.shaayad pasand aa jaaye...


kismaton ne tode he ub ke kuch is tarah hauslon ke bharam
nayi ummed koi mun mein na jug  jaaye to accha hein.

sheersh par bethey huey logon se jub nazdikyaan hui
khyaal  mein bhee bulandi hume choo na paaye to accha hein.

laton mein uljhana chaaha teri hathon mein ulajh gaya
zulfon ko ub tu na hi bikhraaye sanam to accha hein.

raah seedhi chale to thokrein hazaaron kar lagi
aah nikle magar meri chaah na badle to accha hein.

nahi bun-ni mujhe ub aur mukkamal shabdon ki maala
do baaten pyaar se kehni aa jaaye to accha hein.

tamaasha bun gaya tera tamaacha woh is kadar pada
palat ke vaar karna mujh ko nahi aata yeh accha hein.

maana mumkin nahi  hota patthar ka pighal  jaana
pur woh patthar neev ka bun jaaye to accha hein.

teri duniya mein e parvar yakayak subkuch badal gaya
ub to jo hein nahi bura, maanu wo hi accha hein!







Bahut Bahut Khoob Prateekji.. Applause Applause Applause

"Raah seedhi chale to thokrein hazaaron kar lagi
aah nikli par meri chaah na badle to accha hein..

nahi bu-ni muje aur mukamal  shabdo ki maala
do baatein pyaar se kehni aa jaaye to accha ein.."

wah wah..bahut hi acha likha hai prateekji aapne Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #14 on: October 14, 2008, 07:08:06 PM »
Reply with quote
celmira ji aur khwaish ji,

bahut dino ke baad kuch likha hein aur us pur do shresht rachnakaaron ki sammeksha ki mohar mujhe romanchit karne ke liye ati harshdayak hein.bahut aabhaar.

Prateek
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:11:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer