Dil ki hasrat...........( Ghayel )

by Sajid_Ghayel on September 16, 2010, 10:16:07 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2300 times)
Sajid_Ghayel
Guest
Reply with quote
Ek nayee aag phir lagi hai abhi
Dil ki hasrat koi jali hai abhi

Kaun kehta hai door woh humse
Ek sadaa phir wahi suni hai abhi

Humse mayoos woh bhi rehte hai
Jinse rishta koi nahi hai abhi

Waqt_e_sajda khayaal aaya hai
Dil me khwaish koi buri hai abhi

Logh khud me dafan bhi hote hai
Dil me chahat kaiee dabi hai abhi

Jaisi marzi teri guzari hai
Jaisi kal thi zindagi hai abhi

Teri surat hai chand si lekin
Teri seerat kaha bhali hai abhi

Sajid Ghayel
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Banke Ghayel hamesha.........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Ghayel na yaha hota........(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Ghayel ne dillagi karli.........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Ek Kahani Ghayel ki zubani........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Mujhe ghayel karne wala.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
thinkhattk
Guest
«Reply #1 on: September 16, 2010, 10:19:49 AM »
Reply with quote
wah sajid ji kya likha he aapne....too good....

 Clapping Smiley  Applause  Applause  Applause  Applause
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #2 on: September 16, 2010, 10:30:48 AM »
Reply with quote
too good sajid bhaii....daad dher sarii kubool karen
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #3 on: September 16, 2010, 11:06:05 AM »
Reply with quote
bht bht khubb sajid ji ..aapki nazm k kya kehne...
maza aagaya padhke ji...kuch hamari ungliyan bhi chal di keyboard par...
 Applause Applause Applause Applause

kuch kuch tabiyat khili hai abhi
kisiki mujhpe nazar padi hai abhi

khla the kai khwaab aankhon me meri
unke pure hone ki chaah jagi hai abhi

mastani bayaar ne chede hain sur naye
lehron ne bhi nai taan chhedi hai abhi

kuch to surmai rang khile the jeewan me
unme ishq ka ek aur rang judgaya hai abhi...
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #4 on: September 16, 2010, 11:07:25 AM »
Reply with quote
bahut khoob anu jiii too good
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #5 on: September 16, 2010, 12:50:02 PM »
Reply with quote
Kaun kehta hai door woh humse
Ek sadaa phir wahi suni hai abhi

Humse mayoos woh bhi rehte hai
Jinse rishta koi nahi hai abhi

Kaun kehta hai door woh humse
Ek sadaa phir wahi suni hai abhi



Good One...... Sajid Bhai !

Very Nice Creation...

dil se daad hazir hai...

aise hi behtar kalaam ke saath aate rahen aage bhi... khush rahen...

duaaon ke saath...
Logged
aiina
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 10 hours and 29 minutes.

''aiina707''

Posts: 72
Member Since: Aug 2010


View Profile
«Reply #6 on: September 16, 2010, 12:55:43 PM »
Reply with quote
wah... kya pashkash .. bahut khoob nareshji
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #7 on: September 16, 2010, 01:16:16 PM »
Reply with quote


   Aap to humesha hi achha likhte hai to aaj bhi achha hi likha hai,5th sher kaafi achha or sachha laga mujhe. Usual Smile hello2
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: September 16, 2010, 01:27:22 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Sajid Bhai..

Lajwaab Peshaksh!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Ache Anuji Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #9 on: September 16, 2010, 04:18:40 PM »
Reply with quote
Janab Ghayal Sahab Aadaab!

Behad umdaa aur nayi koshish se bazm ko nawaza hai janab..... aapki is gazal ne hume ..... Koi faryaad tere dil meiN dabi ho jaise " wali gazal ko rubaru kar diya ...

Chaliye aapki gazal pe aate hai..... Usual Smile           



Ek nayee aag phir lagi hai abhi
Dil ki hasrat koi jali hai abhi

Kia baat hai janab bahut khoob... Daad..achcha matala kaha hai daad         


Kaun kehta hai door woh humse
Ek sadaa phir wahi suni hai abhi

sher ka mafoom achcha hai janab... daad par sher aur bhi behtar ho sakta hai humari nazar mein ...           


Humse mayoos woh bhi rehte hai
Jinse rishta koi nahi hai abhi

Kia baat hai janab... sher durust farmaya hai aapne.....Daad           


Waqt_e_sajda khayaal aaya hai
Dil me khwaish koi buri hai abhi

ha hahah a Achcha sher hai.. Daad janab kafi bold ho gaye aap toH Winking Par sher behad gehara raha hai daad         


Logh khud me dafan bhi hote hai
Dil me chahat kaiee dabi hai abhi

sher meiN hume rabta thik nahi laga ...           


Jaisi marzi teri guzari hai
Jaisi kal thi zindagi hai abhi

Is sher meiN tabte ki behad kami nazar ayi hume sher aur bhi behtar ho sakta hai daad.... Usual Smile         


Teri surat hai chand si lekin
Teri seerat kaha bhali hai abhi

Waah janab behad umda tanz kiya hai daad daad daad ....... is sher ne dil ke zakham ko kharoch diya hai... sad5         


Sajid Ghayel

Aik behad achchi koshish per dil se daad hazir hai janab.......
Likhate rahiye...
Khush rahiye....
Khuda Hafez..... Usual Smile         

Logged
cara
Guest
«Reply #10 on: September 17, 2010, 02:16:38 AM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI        SAJID GHAYEL JI......


DIL KI HASRAT THA JISKI ME KABHI
DIL KI NAFRAT BAN GAYA USKI ABHI

IK PAL BHI JISKO GAWARA NA THA BIN MERE KABHI
BAHUT DOOR CHALA GAYA HAI WO DEKHO MUJHSE ABHI..
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: September 17, 2010, 08:48:30 AM »
Reply with quote
Ek nayee aag phir lagi hai abhi
Dil ki hasrat koi jali hai abhi

Kaun kehta hai door woh humse
Ek sadaa phir wahi suni hai abhi

Humse mayoos woh bhi rehte hai
Jinse rishta koi nahi hai abhi

Waqt_e_sajda khayaal aaya hai
Dil me khwaish koi buri hai abhi

Logh khud me dafan bhi hote hai
Dil me chahat kaiee dabi hai abhi

Jaisi marzi teri guzari hai
Jaisi kal thi zindagi hai abhi

Teri surat hai chand si lekin
Teri seerat kaha bhali hai abhi

Sajid Ghayel

Bahut hi behatreen peshkash hai Ghayel Ji
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #12 on: September 17, 2010, 11:57:23 AM »
Reply with quote
Janab Sajid Ghayal Saheb! Adab!

Kya zabardasht ghazal hai ye janab aapki. Matla to bahut hi zordaar hai aur baaqi k ashaar bhi kam nahin hain. Aapke ashaaron mein barjastagi hai aur kisi kisi sher mein to aisa lagta hai k wo sher bahut hi doob ke kaha gaya hai. Ye ghazal fikr ki tamaazat ko apne mein samete hue hai. Aisi fikr-angez ghazal k liye aap mubaarakbaad ke mustahaq haiN. Meri jaanib se hazaaron daad qubul kijiye. Aapki is ghazal ki zameen kuchh aisi dilkash hai k khaaksaar ne barjasta jo ash-aar kahe unhein aapki ghazal ki aqeedat mein pesh karne ki thaan li is ummeed k saath k aap is jasaarat ko qubul farmaayenge:
 
Mujhko lagta hai ye nayee hai abhi
Kya ghazal aapne kahi hai abhi

Haan ! tabiyat khili khili hai abhi
Us pe meri nazar paRi hai abhi

Khwaab palkon pe aa gaye pal mein
Bas nazar se nazar laRi hai abhi

Ghhup andhere mein dekhkar jugnu
Aik ummeed si jagi hai abhi

Faisla aaj aanewaala tha
Ik qayaamat thi jo tali hai abhi

Dil mein hasrat thi kal talak jiski
Dil ki nafrat wo ban gayee hai abhi

Tum ko paRhne ke baad hi GHAYEL
Tum se ulfat hi ho gayee hai abhi

(Waquif Ansari)

Ek nayee aag phir lagi hai abhi
Dil ki hasrat koi jali hai abhi

Kaun kehta hai door woh humse
Ek sadaa phir wahi suni hai abhi

Humse mayoos woh bhi rehte hai
Jinse rishta koi nahi hai abhi

Waqt_e_sajda khayaal aaya hai
Dil me khwaish koi buri hai abhi

Logh khud me dafan bhi hote hai
Dil me chahat kaiee dabi hai abhi

Jaisi marzi teri guzari hai
Jaisi kal thi zindagi hai abhi

Teri surat hai chand si lekin
Teri seerat kaha bhali hai abhi

Sajid Ghayel
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: September 17, 2010, 04:22:09 PM »
Reply with quote
Waah Sajid Bhai Jaan, Kya kehne Aapke, Har Baar Ki Taraah Zabardast,.

Mashallah
Logged
A.$.H
Guest
«Reply #14 on: September 17, 2010, 04:51:26 PM »
Reply with quote
BOhat Khuub Likha hai App ne Sajid Sahb
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:44:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer