Dil Ki Hasrat Kaa Paimaanaa ...!

by Radhika_2 on September 13, 2012, 06:41:57 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1135 times)
Radhika_2
Guest
Reply with quote
Dil Ki Hasrat Kaa Paimaanaa Abhi Baakii Hai
Ae Zindagi Tujhe Aazmaanaa Abhi Baakii Hai

Sunte HaiN Apne Dil Kii Dhadkan Roz Hum
Uss Ke Dil Ko Dhadkaanaa Abhi Baakii Hai

Intezaar Main Mere Woh Ab Bhii Wahi Hai
Jis'm Ko Rooh Banaanaa Abhi Baakii Hai

Rishte Kya Kya Nahi Khate Mujhse Mere
Har Ek Ko Nibhaanaa Abhi Baakii Hai

Khaab Ki Tarah AaKar BaiThe ParindoN Kaa
Pyaas Ke Saath Udh Jaanaa Abhi Baakii Hai

Sannaate Bahut Jee Ke Dekh Liye "Radhika"
Sunnaa Waqt Kaa Taraanaa Abhi Baakii Hai

[/color][/size][/font][/b]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hasrat by Talat in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 24 25 »
hasrat by neerajB in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hasrat... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
....~~Hasrat~~.... by HumTum in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Koi Ummidon Se Bharaa Nayaa Paimaanaa Laayaa Hai...........Touhid by Mohammad Touhid in Miscellaneous Shayri
mkv
Guest
«Reply #1 on: September 13, 2012, 06:45:19 AM »
Reply with quote
Bahut bahut umda ghazal kahee hai aapne raadhika jee
har ashaar..behad khoob
khoobsurat ehsaas.
bahut badhiya Applause Applause
Logged
Ritesh Modi
Guest
«Reply #2 on: September 13, 2012, 07:32:08 AM »
Reply with quote
Radhika ji kya baat hai...behad khoobsurat

tanhai ke iss dour mein,sunna sunana abhi baki hai,
dil ki dhadkano ka,geet gana koi baki hai,
unn jhukti nazron ki shaam se, unka salaam aana baki hai
kahani apni toh suna di, lekin paigaam sunana baki hai...
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #3 on: September 13, 2012, 07:34:43 AM »
Reply with quote
bahut khoob, dhero dad
Logged
khujli
Guest
«Reply #4 on: September 13, 2012, 08:37:22 AM »
Reply with quote
Dil Ki Hasrat Kaa Paimaanaa Abhi Baakii Hai
Ae Zindagi Tujhe Aazmaanaa Abhi Baakii Hai

Sunte HaiN Apne Dil Kii Dhadkan Roz Hum
Uss Ke Dil Ko Dhadkaanaa Abhi Baakii Hai

Intezaar Main Mere Woh Ab Bhii Wahi Hai
Jis'm Ko Rooh Banaanaa Abhi Baakii Hai

Rishte Kya Kya Nahi Khate Mujhse Mere
Har Ek Ko Nibhaanaa Abhi Baakii Hai

Khaab Ki Tarah AaKar BaiThe ParindoN Kaa
Pyaas Ke Saath Udh Jaanaa Abhi Baakii Hai

Sannaate Bahut Jee Ke Dekh Liye "Radhika"
Sunnaa Waqt Kaa Taraanaa Abhi Baakii Hai

[/color][/size][/font][/b]


 Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #5 on: September 13, 2012, 08:58:32 AM »
Reply with quote
Bohat Khub!!! Apne jazbaaton ko bohat aache se bayan kiya hai...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Mohabaat Kar Ke Ab Bas Ek Hi Chahat Baki Hai,
Unke Zindagi Mein Mere Aane Ki Izazat Baki Hai,
Ruh Ban Kar Bas Gaye Hai Woh Mere Jism Mein,
Aankhon Se Jo Ho Woh Mulaqat Abhi Baki Hai..!!
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #6 on: September 13, 2012, 10:46:12 AM »
Reply with quote
good composition
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #7 on: September 13, 2012, 11:59:53 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob radhika ji.. Usual Smile
Logged
suman59
Guest
«Reply #8 on: September 13, 2012, 04:42:48 PM »
Reply with quote
Dil Ki Hasrat Kaa Paimaanaa Abhi Baakii Hai
Ae Zindagi Tujhe Aazmaanaa Abhi Baakii Hai

Sunte HaiN Apne Dil Kii Dhadkan Roz Hum
Uss Ke Dil Ko Dhadkaanaa Abhi Baakii Hai

Intezaar Main Mere Woh Ab Bhii Wahi Hai
Jis'm Ko Rooh Banaanaa Abhi Baakii Hai

Rishte Kya Kya Nahi Khate Mujhse Mere
Har Ek Ko Nibhaanaa Abhi Baakii Hai

Khaab Ki Tarah AaKar BaiThe ParindoN Kaa
Pyaas Ke Saath Udh Jaanaa Abhi Baakii Hai

Sannaate Bahut Jee Ke Dekh Liye "Radhika"
Sunnaa Waqt Kaa Taraanaa Abhi Baakii Hai

[/color][/size][/font][/b]
wah wah bahut khoob radhika jee Thumbs UP
Logged
Radhika_2
Guest
«Reply #9 on: September 14, 2012, 10:09:02 AM »
Reply with quote
Bahut bahut umda ghazal kahee hai aapne raadhika jee
har ashaar..behad khoob
khoobsurat ehsaas.
bahut badhiya Applause Applause
Ji Bhaut Bhaut Shukriya.
Logged
soudagar
Guest
«Reply #10 on: September 14, 2012, 10:21:43 AM »
Reply with quote
Umda aur lajawab kalaam aapki is rachna ke liye aapko dhero daad aur mubarakbaad......
Logged
soudagar
Guest
«Reply #11 on: September 14, 2012, 10:22:29 AM »
Reply with quote
Umda aur lajawab kalaam aapki is rachna ke liye aapko dhero daad aur mubarakbaad......
Logged
Radhika_2
Guest
«Reply #12 on: September 21, 2012, 10:43:01 AM »
Reply with quote
 
Radhika ji kya baat hai...behad khoobsurat

tanhai ke iss dour mein,sunna sunana abhi baki hai,
dil ki dhadkano ka,geet gana koi baki hai,
unn jhukti nazron ki shaam se, unka salaam aana baki hai
kahani apni toh suna di, lekin paigaam sunana baki hai...
Ji Shukriya.
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #13 on: September 21, 2012, 10:46:03 AM »
Reply with quote
Dil Ki Hasrat Kaa Paimaanaa Abhi Baakii Hai
Ae Zindagi Tujhe Aazmaanaa Abhi Baakii Hai

Sunte HaiN Apne Dil Kii Dhadkan Roz Hum
Uss Ke Dil Ko Dhadkaanaa Abhi Baakii Hai

Intezaar Main Mere Woh Ab Bhii Wahi Hai
Jis'm Ko Rooh Banaanaa Abhi Baakii Hai

Rishte Kya Kya Nahi Khate Mujhse Mere
Har Ek Ko Nibhaanaa Abhi Baakii Hai

Khaab Ki Tarah AaKar BaiThe ParindoN Kaa
Pyaas Ke Saath Udh Jaanaa Abhi Baakii Hai

Sannaate Bahut Jee Ke Dekh Liye "Radhika"
Sunnaa Waqt Kaa Taraanaa Abhi Baakii Hai

[/color][/size][/font][/b]

veriiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii naaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaice Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:41:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer