dil mein.......sana afroz

by sana Afroz on December 01, 2014, 09:14:29 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1787 times)
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
Reply with quote
Dil pe jazbat Ki bisaaton ka,
khel Sara  hai unki ghaaton  ka...

koi marham to koi dard baney,
farq hota hai baaton baaton ka.

mur ke dekhenge bhi to kis kis ko,
ye to rastaa hai aatey jaaton ka.

meri baaton ka jab yaqeen nahin,
kya milegaa   suboot  waadon ka.

misl e bismil tarapne lagtey hain,
Jab chaley teer unki baaton ka.

ab 'sana' kya jawaaz pesh karein,
ashq se tar tamaam raaton ka...
Logged
khujli
Guest
«Reply #1 on: December 01, 2014, 09:33:20 AM »
Reply with quote
Dil Mein paltey huye jazbaaton boss!!!!!!!!!! jazbaat khud ek plural hai  Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile :)ka,
ye  Sara   khel hai ehsaason ka...

koi marham to koi dard baney,
farq hota hai baaton baaton ka.

mur ke dekhenge bhi to kis kis ko,
ye to rastaa hai aatey jaaton ka.

meri baaton ka jab yaqeen nahin,
kya milegaa   suboot  waadon ka.

misl e bismil tarapne lagta hai,
Jo chaley teer unki baaton ka.

ab 'sana' kya jawaaz pesh karein,
ashq se tar tamaam raaton ka...



 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
NakulG
Maqbool Shayar
****

Rau: 63
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
5 days, 23 hours and 55 minutes.
Posts: 804
Member Since: Apr 2014


View Profile WWW
«Reply #2 on: December 01, 2014, 10:14:22 AM »
Reply with quote
ApplauseApplauseApplause
bahut khoob
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: December 01, 2014, 11:05:07 AM »
Reply with quote

Sana Afroz saahibaa Aadaab ... !

Mashaa Allaah kia kahne jee waah waah waah koi jawaab nahi is umdaa aur last jawaab kalaam ka ... behad khoob aur aala tareeN ashaar kahe hai aapne ...
Har sher hazaaroN dili daad ka mushtahiq hai ...

Kia kahne jee bahut la jawaab kalaam aapne bazm ki nazar kii hai ... aap jaisi umdaa fankaara is bazm meiN hai humari khushnaseebi hai ...
Is umdaa aur laa jawaab kalaam par humaari hazaaroN dili daad kabul kijiye...

Likhte rahiye ... bazm meiN aate rahiye ...
Shaad O aabaad rahiye ...

Khuda hafez ...





Dil Mein paltey huye jazbaaton ka,
ye  Sara   khel hai ehsaason ka...

Behad umdaa aur khoob matla kahaa hai jee daad..


koi marham to koi dard baney,
farq hota hai baaton baaton ka.



Kia kahne jee waah bahut khoob behad sahiN kaha hai daad...


mur ke dekhenge bhi to kis kis ko,
ye to rastaa hai aatey jaaton ka.



Walaah kia umdaa sher kaha hai jee waqai sher kaha hai bilkul shayraana aur behad laa jawaab...


meri baaton ka jab yaqeen nahin,
kya milegaa   suboot  waadon ka.



Bahut khoob jee bahut sahiN ...


misl e bismil tarapne lagta hai,
Jo chaley teer unki baaton ka.



Achacha sher hai daad ...


ab 'sana' kya jawaab pesh karein,
ashq se tar tamaam raaton ka...


Behad khoobsurat maqta bhi huaa hai daad jee ...



Logged
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
«Reply #4 on: December 01, 2014, 11:16:33 AM »
Reply with quote

Sana Afroz saahibaa Aadaab ... !

Mashaa Allaah kia kahne jee waah waah waah koi jawaab nahi is umdaa aur last jawaab kalaam ka ... behad khoob aur aala tareeN ashaar kahe hai aapne ...
Har sher hazaaroN dili daad ka mushtahiq hai ...

Kia kahne jee bahut la jawaab kalaam aapne bazm ki nazar kii hai ... aap jaisi umdaa fankaara is bazm meiN hai humari khushnaseebi hai ...
Is umdaa aur laa jawaab kalaam par humaari hazaaroN dili daad kabul kijiye...

Likhte rahiye ... bazm meiN aate rahiye ...
Shaad O aabaad rahiye ...

Khuda hafez ...





bahut bahut shukriya !!!!! Hausla afzai ka!!!
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #5 on: December 01, 2014, 01:31:13 PM »
Reply with quote
wah wah bahut khoob ....choti bhr me ache sher nikale hain ....aapne mubarak baad

misl bismil tadapne lagte hain
jub chale teer unki baaton ka ....

yun kar len ....bahut umda sher nikale hain aapne ..dad hazir hai
Logged
Ram Krishan Rastogi
Umda Shayar
*

Rau: 69
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
30 days, 21 hours and 9 minutes.

Posts: 4988
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #6 on: December 01, 2014, 01:57:26 PM »
Reply with quote
Madam, Sana Sahiba, Aadab, bahut khoob "Gagar me saagr" bhar diya hae . R.K,Rastogi
Logged
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
«Reply #7 on: December 01, 2014, 02:24:13 PM »
Reply with quote
S
Madam, Sana Sahiba, Aadab, bahut khoob "Gagar me saagr" bhar diya hae . R.K,Rastogi


shukriya !!!!
Logged
vb
Guest
«Reply #8 on: December 01, 2014, 02:49:18 PM »
Reply with quote
Mohtarma sana Afroz sahiba! salam

buhat khoobsurat ghazal hay... hamaari taraf se bharpoor dad qabool kejay...

ager munasib lagay tu esay ker lejay..

"khel sara hay ye khayaalon ka"

khayaal ki jama "kahayalat" tu tasleem ki jaa sakti hay.. lekin "khayaalat" ki jama "khayaalaton" hamaray khayal se durst nahi..

ek baar phir bharpoor daad k sath...

dua ga
Logged
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
«Reply #9 on: December 01, 2014, 03:33:56 PM »
Reply with quote
Shu
Mohtarma sana Afroz sahiba! salam

buhat khoobsurat ghazal hay... hamaari taraf se bharpoor dad qabool kejay...

ager munasib lagay tu esay ker lejay..

"khel sara hay ye khayaalon ka"

khayaal ki jama "kahayalat" tu tasleem ki jaa sakti hay.. lekin "khayaalat" ki jama "khayaalaton" hamaray khayal se durst nahi..

ek baar phir bharpoor daad k sath...

dua ga
kriya !!!!
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #10 on: December 01, 2014, 05:22:40 PM »
Reply with quote
 
Reply with quote  

Dil pe jazbat Ki bisaaton ka,
khel Sara  hai unki ghaaton  ka...

koi marham to koi dard baney,
farq hota hai baaton baaton ka.

mur ke dekhenge bhi to kis kis ko,
ye to rastaa hai aatey jaaton ka.

meri baaton ka jab yaqeen nahin,
kya milegaa   suboot  waadon ka.

misl e bismil tarapne lagtey hain,
Jab chaley teer unki baaton ka.


ab 'sana' kya jawaaz pesh karein,
ashq se tar tamaam raaton ka...

Sana Sahiba saari kee saari ghazal bahut khoobsurat hai, lekin mujhe do sher nihaayat pasand aaye. Zuban teer chalaa saktee hai, shamsheer se bhi vaar kar saktee hai. Ek sher neeche likh rahaa hoon.
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower

Chatar chatar kuch naa kaho lagaa le lagaam zuban ko apnee...
Vachan karwaa kabhi naa kaho thaam shamsheer-e-zuban ko apnee!
Surindar.N


Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #11 on: December 01, 2014, 05:27:38 PM »
Reply with quote
Dil pe jazbat Ki bisaaton ka,
khel Sara  hai unki ghaaton  ka...

koi marham to koi dard baney,
farq hota hai baaton baaton ka.

mur ke dekhenge bhi to kis kis ko,
ye to rastaa hai aatey jaaton ka.

meri baaton ka jab yaqeen nahin,
kya milegaa   suboot  waadon ka.

misl e bismil tarapne lagtey hain,
Jab chaley teer unki baaton ka.

ab 'sana' kya jawaaz pesh karein,
ashq se tar tamaam raaton ka...

Sana Afroz........
Waaaaaaaaah Kiya Baaat hai, bahut umda ghazal kahi hai, meri mubarakbaad qubool farmyein...........
 Syed Mohd Mahzar
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #12 on: December 01, 2014, 06:46:56 PM »
Reply with quote
waaaaaaah bahut khoob Sanaj jee, aati rahiye.
Logged
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
«Reply #13 on: December 01, 2014, 07:54:13 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya !!!! Aap sab ka...aise hi hausla afzaii multi rahi to kuch aur nikhar jayegi qalam..
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #14 on: December 02, 2014, 08:06:57 AM »
Reply with quote
koi marham to koi dard baney,
farq hota hai baaton baaton ka

Bahut Khub Sana Sis Applause


Shad o Aabaad Rahiye


Shihab
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:22:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer