Dilon ka aazmaana baaqi hai...........................................Aqsh.

by aqsh on October 21, 2013, 12:11:16 PM
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 3210 times)
aqsh
Guest
«Reply #30 on: October 22, 2013, 01:38:20 PM »
Reply with quote
Roomaaniyat se bhare khoobsurat aashaar par dheron daad Aqsh ji ...
thnxxxxxxxx a lotttttttt zarra ji....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Baaqi hai by bekarar in Ghazals « 1 2 3  All »
BAAQI HAI ------A.B by adil bechain in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
BAAQI HAI -2..(K_A) by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri
***Jaroor Aazmaana*** by AVTAR RAYAT in Pain in Love : Punjabi poetry
dilon se dilon ke riste kabhi tuta nahi karte by sunildehgawani in Miscellaneous Shayri
aqsh
Guest
«Reply #31 on: October 22, 2013, 01:39:01 PM »
Reply with quote
Bahat khoob aqsh jee bahat daad.
thnxxxxxxx a lotttttt khalander ji...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #32 on: October 22, 2013, 01:45:02 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah waah waah kyaa kehne Aqsh ji, bahut pyaari rachnaa, bahut bahut khoob likhaa hai aapne, jitni taarif ki jaaye kam hai, mohabbat mein likhnaa to koi aapse seekhe, thodi training humko bhi de dijiye, hum bhi kuch kuch aap jaisaa likhnaa seekh len, sach mein bahut bahut pasand aayi humko aapki yeh rachnaa...


mere aane kaa kuch pal aur intezaar kar lo
kuch der tum chaand kaa hi deedaar kar lo

jaantaa hoon main baithi ho aaine ke saamne
jee bhar ke tum aaj baith shringaar kar lo

guzar jaayenge bache kuch lamhe tanhaayi ke
dekh aaine ko kuch pal khud se pyaar kar lo

meri deewaangi kaa asar hogaa dheere dheere
ishq mein bikharne ko khud ko tayyaar kar lo

naa rahe baaki tamannaa koi dil mein tumhaare
mujhse poori apni khwaahishein hazaar kar lo

rok lo khud ko kuch der aur ki aajaaun main
mere aajaane par saari haddon ko paar kar lo

'Hriday' to banaa ki hai mohabbat ki khaatir
baahon mein leke tum bhi thodaa pyaar kar lo


*****HRIDAY*****



Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Just awesomeeeeee reply hriday ji... aur kyun mera mazak udha rahe ho... mai jo bhi likhti hoon aap hi ki den hai hriday ji  Usual Smile Usual Smile.. aap ki poetries padhkar aur aapke saath jugalbandi ke baad hi toh likhna seekha hai maine..aur muhabbat mein jitni khoobsurati se aap likhte ho mai abhi bhi nahi likh paati.. jawab nahi aapka.. mai toh bas koshish hi karti hoon.. aaj bhi ek choti si koshish hi kee hai...



Banakar tumhe apna aaina mai  shringaar kar loon
Bas isi bahaane se jee bharkar tumhara deedar kar loon

Waqt ko guzarne na doon lamhon ko qaid kar loon
Khud ko tumhari aankhon mein dekh kar pyaar kar loon

Zara sa Kam hone na doon apni is deewangi ki hadd ko
Tumhare ishq o junoon se apne dil ko bimaar kar loon

Tumhe paakar poori meri sabhi khwaishen ho jaayengi
Pal bhar bhi door na hona minnatein sau baar kar loon

Ab toh jaise be kaabu se jazbaat hone lage hain “Aqsh”
Maujon ko kinaaron se takraane ke liye taiyaar kar loon


Logged
sbechain
Guest
«Reply #33 on: October 22, 2013, 03:22:46 PM »
Reply with quote
Na hi haya yaad rahi na hi parda yaad raha
Woh aane wale hai bas itna hi yaad raha

itni utaawli ho gai ki sab kuch bhool gai hota hai hota hai Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Paigaam bheja hai, bas unka aana baaki hai
Muhabbat meiN diloN ka, aazmaana baaki hai
kaise aazmaao gi mujhe bhi baad mein bataa na icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Machalte hue armaanoN ko, kuch aaraam mile
Betaab se mere is dil ko, behlaana baaki hai
acha mohabbat ko tum ne ek bahlaane wala khilauna samjha hai badi wo ho tum Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Banakar apna gawah ,chaand aur sitaroN ko
Wafa ke rang se raat ko, sajaana baaki hai
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Tadap deedar ki, lamhoN meiN mit jaayegi
NigahoN ka nigahoN se, takraana baaki hai
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Hoti rahe barsaat, pyaar bhare is mausam ki
Khamosh se laboN par, abhi afsaana baaki hai
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Muhabbat ke chaman ko, guloN se saja lo “Aqsh”
Ke hawa ka aakar unhe, ab mehkaana baaki hai

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


bahut khoob icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #34 on: October 22, 2013, 08:19:03 PM »
Reply with quote
Ise aap chhoti si koshish kehte hain? to kamaal kisko kahenge? chaliye naa aap achchaa likhte hain, naa hum, hum dono ek dusre ke saath achchaa likhte hain.. Usual Smile... hehehehehehe.. sach mein aapke saath likhne mein alag hi mazaa aataa hai, bahut kam logon ke saath yun taalmel baithtaa hai, aur aap to jugalbandi mein kamaal hain, bahut bahut khoob ji, sach mein bahut bahut pyaaraa jawaab likhaa hai aapne...!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
ab kuch likh hi dete hain hum iske jawaab mein... ummeed hai aapko achchi lagegi....!!!



a
aake mere kareeb mere baahon mein thahar lenaa
doob meri aankhon mein tum jaanaa sanwar lenaa

main jism ki garmi se apne tumko paagal kardun
sakht meri baahon mein tum tootke bikhar lenaa

bheege se lab tumhaare chhoo lun labon se apne
mere labon ko labse apne kaske tum pakad lenaa

mujhko mehkaa denaa apni hi khushboo se jaanaa
hosh naa ho pal bhar kaa, kuch aisaa kar lenaa

apni zulfon ko tum, mere chehre par khol denaa
sawere ko zulfon se tum shaam jaisaa kar lenaa

raahon mein chalte chalte ladkhadaa jaao kabhi
sambhalne ke liye tum, haath meraa pakad lenaa

jab mujhse khafaa ho ke jaane lago duur mujhse
bas ek baar mudke jaanaa dekh meraa ghar lenaa

baahen failaa apni tum ko main khadaa milungaa
tum daud ke khudko meri baahon mein bhar lenaa

doon itni mohabbat, ki kuch naa fir baaki rahe
mere hi dil mein tum, dekh saaraa shahar lenaa

gehri meri aankhon ko mohabbat kitni hai tumse
dekhne ke liye isi mein nange paaon utar lenaa

'Hriday' dhadaktaa hai tumhaare liye hi jaanaa
chhoo kar mere seene ko, mehsoos tum kar lenaa


*****HRIDAY*****



Logged
aqsh
Guest
«Reply #35 on: October 22, 2013, 08:37:26 PM »
Reply with quote
Ise aap chhoti si koshish kehte hain? to kamaal kisko kahenge? chaliye naa aap achchaa likhte hain, naa hum, hum dono ek dusre ke saath achchaa likhte hain.. Usual Smile... hehehehehehe.. sach mein aapke saath likhne mein alag hi mazaa aataa hai, bahut kam logon ke saath yun taalmel baithtaa hai, aur aap to jugalbandi mein kamaal hain, bahut bahut khoob ji, sach mein bahut bahut pyaaraa jawaab likhaa hai aapne...!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
ab kuch likh hi dete hain hum iske jawaab mein... ummeed hai aapko achchi lagegi....!!!



a
ake mere kareeb mere baahon mein thahar lenaa
doob meri aankhon mein tum jaanaa sanwar lenaa

main jism ki garmi se apne tumko paagal kardun
sakht meri baahon mein tum tootke bikhar lenaa

bheege se lab tumhaare chhoo lun labon se apne
mere labon ko labse apne kaske tum pakad lenaa

mujhko mehkaa denaa apni hi khushboo se jaanaa
hosh naa ho pal bhar kaa, kuch aisaa kar lenaa

apni zulfon ko tum, mere chehre par khol denaa
sawere ko zulfon se tum shaam jaisaa kar lenaa

raahon mein chalte chalte ladkhadaa jaao kabhi
sambhalne ke liye tum, haath meraa pakad lenaa

jab mujhse khafaa ho ke jaane lago duur mujhse
bas ek baar mudke jaanaa dekh meraa ghar lenaa

baahen failaa apni tum ko main khadaa milungaa
tum daud ke khudko meri baahon mein bhar lenaa

doon itni mohabbat, ki kuch naa fir baaki rahe
mere hi dil mein tum, dekh saaraa shahar lenaa

gehri meri aankhon ko mohabbat kitni hai tumse
dekhne ke liye isi mein nange paaon utar lenaa

'Hriday' dhadaktaa hai tumhaare liye hi jaanaa
chhoo kar mere seene ko, mehsoos tum kar lenaa


*****HRIDAY*****




Ufffff uffffffff uffffffff... aapki ghazal padhkar khamosh si ho gayi hriday ji....bin badal aur mausam ke pyaar ki barsaat... zabardasttttttttt reply tha.. iske reply mein mai aapko kisi aur ki ghazal share karti hoon.... kyunki aapke ghazal ka reply agar mai karna chahoon toh mai bhi kuch aisa hi likhoongi...jis tarah is shayar ne likha hai...dil se padhiyega meri fav ghazal hai..Yeh ghazal thodi too much hai... par isse achcha jawab ho nahi sakta.. Is it SO! Winking Winking Usual Smile

Teri Chaandni Me Nahaaon Main Aur Her Taraf Andhera Ho
Ek Chaadar Me Lipten Do Badan, Ek Tera Ho Ek Mera Ho

Tere Makhmali Badan Me, Khushbuon Ke Chaman Me,
Sadiyon Tak Wo Raat Chale, Sadiyon Duur Sawera Ho
Ek Chadar Me Lipten Do Badan, Ek Tera Ho Ek Mera Ho,

Tere Hothon Ko Jab Sil Doon Main, Apne Hothon Ke Dhage Se
Ek Sannate Me Khamoshi Se, Teri Bhaahon Ne Mujhko Ghera Ho
Ek Chadar Me Lipten Do Badan, Ek Tera Ho Ek Mera Ho

Dono Lipten Ek Dooje Me, Ik Gaanth Si Lag Jaaye Badano Me
Mere Jism Me Ghar Miljaye Tujhe, Tere Jism Me Mera Basera Ho
Ek Chadar Me Lipten Do Badan, Ek Tera Ho Ek Mera Ho

Ajmal Kehta Hai Kuch Aisa Ho, Tu Ban Jaye Main, Main Ban Jaun Tu
Bistar Per Tere Mere Siwa, Sirf Junoon Or Khamoshi Ka Dera Ho
Ek Chadar Me Lipten Do Badan, Ek Tera Ho Ek Mera Ho

NOT MINE.
Logged
aqsh
Guest
«Reply #36 on: October 22, 2013, 09:35:01 PM »
Reply with quote


bahut khoob icon_flower icon_flower icon_flower!

Sheba ji bahut bahut shukriya...
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #37 on: October 22, 2013, 10:52:16 PM »
Reply with quote
Paigaam bheja hai, bas unka aana baaki hai
Muhabbat meiN diloN ka, aazmaana baaki hai

Machalte hue armaanoN ko, kuch aaraam mile
Betaab se mere is dil ko, behlaana baaki hai

Banakar apna gawah ,chaand aur sitaroN ko
Wafa ke rang se raat ko, sajaana baaki hai

Tadap deedar ki, lamhoN meiN mit jaayegi
NigahoN ka nigahoN se, takraana baaki hai

Hoti rahe barsaat, pyaar bhare is mausam ki
Khamosh se laboN par, abhi afsaana baaki hai

Muhabbat ke chaman ko, guloN se saja lo “Aqsh”
Ke hawa ka aakar unhe, ab mehkaana baaki hai
  Applause Applause Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause Applause
bahut khooob aqsh ji daaaaaaaaaaaaaaaaaaad
ek RAU ke saath koubool kijiye
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #38 on: October 22, 2013, 11:27:39 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaaa Aqsh ji meraa jawaab pasand karne ke liye, main aapkaa tahe dil se shukriyaa adaa kartaa hoon, aapne jo jawaab share kiyaa hai woh sahi mein too  much hai magar hai bahut masssttt, sach, rongte khade ho gaye, kuch bijli si daud gayi jism mein, nashaa hi nashaa saa mehsoos hone lagaa, kuch likhaa hai maine iske jawaab mein, mehsoos kijiye iski aag ... tongue3


jaagte  rahenge  hum, tujhe  bhi  sone   naa denge
shabnami  is  raat ki hum  subah  hone  naa  denge

hoti   rahegi  baarish   raat   bhar   jam  kar  aaj  to
magar aag do jismon ki kam hum hone naa denge

tere  labon  ko  apne  labon mein  hum  qaid karke
baarish ki  boondon  ko  unhe  bhigone  naa denge

tadap ke jab mere ishq  mein  tu   ronaa  chaahegi
hai qasam  tere sar ki  hum  tujhe rone  na  denge

karenge   ungliyon  kaa jaadu jism   par hum  tere
tu  chaahe  bhi  agar, hosh  mein  hone  naa denge

sailaab mein mohabbat ke hum tujh ko  doobo ke
tere jism ko khud  se hum judaa  hone naa  denge


*****HRIDAY*****




Logged
aqsh
Guest
«Reply #39 on: October 23, 2013, 01:53:46 PM »
Reply with quote
Paigaam bheja hai, bas unka aana baaki hai
Muhabbat meiN diloN ka, aazmaana baaki hai

Machalte hue armaanoN ko, kuch aaraam mile
Betaab se mere is dil ko, behlaana baaki hai

Banakar apna gawah ,chaand aur sitaroN ko
Wafa ke rang se raat ko, sajaana baaki hai

Tadap deedar ki, lamhoN meiN mit jaayegi
NigahoN ka nigahoN se, takraana baaki hai

Hoti rahe barsaat, pyaar bhare is mausam ki
Khamosh se laboN par, abhi afsaana baaki hai

Muhabbat ke chaman ko, guloN se saja lo “Aqsh”
Ke hawa ka aakar unhe, ab mehkaana baaki hai
  Applause Applause Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause Applause
bahut khooob aqsh ji daaaaaaaaaaaaaaaaaaad
ek RAU ke saath koubool kijiye
thnxxxxx a lot suru ji aur rau ke liye bhi bahut bahut shukriya aapka...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #40 on: October 23, 2013, 01:57:50 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaaa Aqsh ji meraa jawaab pasand karne ke liye, main aapkaa tahe dil se shukriyaa adaa kartaa hoon, aapne jo jawaab share kiyaa hai woh sahi mein too  much hai magar hai bahut masssttt, sach, rongte khade ho gaye, kuch bijli si daud gayi jism mein, nashaa hi nashaa saa mehsoos hone lagaa, kuch likhaa hai maine iske jawaab mein, mehsoos kijiye iski aag ... tongue3


jaagte  rahenge  hum, tujhe  bhi  sone   naa denge
shabnami  is  raat ki hum  subah  hone  naa  denge

hoti   rahegi  baarish   raat   bhar   jam  kar  aaj  to
magar aag do jismon ki kam hum hone naa denge

tere  labon  ko  apne  labon mein  hum  qaid karke
baarish ki  boondon  ko  unhe  bhigone  naa denge

tadap ke jab mere ishq  mein  tu   ronaa  chaahegi
hai qasam  tere sar ki  hum  tujhe rone  na  denge

karenge   ungliyon  kaa jaadu jism   par hum  tere
tu  chaahe  bhi  agar, hosh  mein  hone  naa denge

sailaab mein mohabbat ke hum tujh ko  doobo ke
tere jism ko khud  se hum judaa  hone naa  denge


*****HRIDAY*****





Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Ufffffffff marr gayi mai hriday ji... aapne kaha ki mehsoos kijiye iski aag ko.. par mujhe toh laga jaise ki kisi ne thanda paani mujhpar daal diya ho..hahahahahaha....kuch der ke liye haath pair thande se ho gaye...aur laga ki iska jawab bhi us jaisa hi hona chahiye... likhne ke baad mujhe laga ki mera jawaab bhi 2 much toh nahin hua... phir bhi post karti hoon.. aur aapse bhi kahoongi mehsoos kijiye is aag ko.hahahahahaha...


tum mere har ek pal ko apni mulaqaat bana do
din ko din na rahne do behki behki si raat bana do

tumhe dekhkar haya se meri nazrein na jhuke kabhi
badhti jaaye kashish darmiyan aise halaath bana do

mere surkh labon ki laali kabhi kam na hone paaye
tum apne labon ko mere labon ki saugaat bana do

apne ungliyon ki jumbish se kuch aise taraasho mujhe
nikharta  rahe mera husn din ba din woh baat bana do

tumse door rahkar meri tadap pal pal badhti hi rahe
baanhon mein bikhar jaaon bekaabu mere jazbaat bana do

Logged
nashwani
Guest
«Reply #41 on: October 24, 2013, 01:04:10 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

waah aqsh jee behad umda ghazal rahi..

Bas dil ko chhoo gaya har aashar..

Dhero daad apko..happy9
Logged
aqsh
Guest
«Reply #42 on: October 24, 2013, 02:32:06 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

waah aqsh jee behad umda ghazal rahi..

Bas dil ko chhoo gaya har aashar..

Dhero daad apko..happy9

Thnxxxxx a lotttttt Ashwani...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #43 on: October 25, 2013, 02:11:43 AM »
Reply with quote
waah ji waah kyaa kehne, bahut khoob likhaa hai aapne, bahut bahut khoob...!!!
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

humse nazren churaake yun naa sharmaayaa kijiye
jab bhi aayen saamne seene se lag jaayaa kijiye

aadat nahi sharaab ki to kaise jaam pee len hum
jaam apne husn kaa, thodi thodi pilaayaa kijiye

beqaaboo ho jaate hain, hum dekh aapkaa chehraa
dekhke hamaari taraf yun naa muskuraayaa kijiye

hulchul saa mach jaataa hai dil ke har kone mein
jaadu adaaon kaa dheere dheere chalaayaa kijiye
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #44 on: October 26, 2013, 01:31:32 PM »
Reply with quote
Na hi haya yaad rahi na hi parda yaad raha
Woh aane wale hai bas itna hi yaad raha


gud... Ak song yaad aa gayaa...... Wo aaye to aaya mujhe yaad gali me aaj chaand nikla

Paigaam bheja hai, bas unka aana baaki hai
Muhabbat meiN diloN ka, aazmaana baaki hai

bahuuut khooob

Machalte hue armaanoN ko, kuch aaraam mile
Betaab se mere is dil ko, behlaana baaki hai

Applause Applause

Banakar apna gawah ,chaand aur sitaroN ko
Wafa ke rang se raat ko, sajaana baaki hai

nice

Tadap deedar ki, lamhoN meiN mit jaayegi
NigahoN ka nigahoN se, takraana baaki hai

ye kuch ulta nahi ho gayaa..... Ye to kuch aesi aag hoti hai ki jitna bujhaya jata hai utni badakti hai....

Hoti rahe barsaat, pyaar bhare is mausam ki
Khamosh se laboN par, abhi afsaana baaki hai

nice

Muhabbat ke chaman ko, guloN se saja lo “Aqsh”
Ke hawa ka aakar unhe, ab mehkaana baaki hai


Umda peshkas

Logged
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:26:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.154 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer