Doobne wala tha lekin ubhar gaya hoon main

by Syed Mohd Mahzar on April 17, 2013, 06:40:33 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1768 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #15 on: April 18, 2013, 02:08:53 PM »
Reply with quote
bahut khoob , mahzar sahib.badi achchi ghazal se nawaza hai.
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #16 on: April 18, 2013, 02:14:18 PM »
Reply with quote
bahut khoob , mahzar sahib.badi achchi ghazal se nawaza hai.
F.H.SIDDIQUI SAHEB,

              ZARRANAWAZI HAI AAPKI, BAHUT BAHUT SHUKRIYA
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #17 on: April 18, 2013, 02:21:45 PM »
Reply with quote
Lage hain kitne hi pahrey, magar gaya hoon main
teri gali me to shaam o sahar gaya hoon main

apni aaghosh me dariya bhi mujhe le na saka
laash ki shakl me mar ke ubhar gaya hoon main

ameer kunbe ki bigri hui aulaad hoon main
thokrein waqt ki kha kar sudhar gaya hoon main

mujhko kahne na lage ab yeh zamana majnoo
junoon e ishq me wo kaam ker gaya hoon main

usne sahil se di awaaz pukaara mujhko
doobne wala tha lekin ubhar gaya hoon main

qadam qadam pe chubhan ban ke dil me uthti hai
tumhari yaad ko lekar jidhar gaya hoon main

koi aahat bhi jo mahsoos hui hai mujhko
raah chalte hue aksar thahar gaya hoon main

            ............S.M.Mahzar
[/color]


waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah 5th sher khaas raha Applause Applause Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #18 on: April 19, 2013, 12:10:10 AM »
Reply with quote
waah waah behad umda mahzar bhai
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #19 on: April 20, 2013, 06:11:55 PM »
Reply with quote

waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah 5th sher khaas raha Applause Applause Applause Applause
adil bechain saheb,
                      shukrguzaar hoon aapka ki aapko ghazal achchi lagi.........................
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #20 on: April 20, 2013, 06:14:57 PM »
Reply with quote
waah waah behad umda mahzar bhai
Dr.S.K.Saini Saheb,
                     Bahut shukrguzaar Hoon Aapka..........
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #21 on: April 27, 2013, 05:08:06 PM »
Reply with quote
Mazhar Sahaab Aadaab!



WaaH waaH waaH janab kia kahne behad khoob... badi hi umdaa aur behad khoob kalaam kahi hai aapne... gazab ke umdaa khayaaloN ko khoob ashaaroN meiN baNdha hai janab...Usual Smile


Is khoob kalaam par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye..
Likhate rahiye... bazm meiN aate rahiye...


Shaad O aabaad rahiye...
Khuda hafez.. Usual Smile





ameer kunbe ki bigri hui aulaad hoon main
thokrein waqt ki kha kar sudhar gaya hoon main

qadam qadam pe chubhan ban ke dil me uthti hai
tumhari yaad ko lekar jidhar gaya hoon main


            ............S.M.Mahzar
[/color]

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #22 on: April 27, 2013, 05:11:03 PM »
Reply with quote
Lage hain kitne hi pahrey, magar gaya hoon main
teri gali me to shaam o sahar gaya hoon main

apni aaghosh me dariya bhi mujhe le na saka
laash ki shakl me mar ke ubhar gaya hoon main

ameer kunbe ki bigri hui aulaad hoon main
thokrein waqt ki kha kar sudhar gaya hoon main

mujhko kahne na lage ab yeh zamana majnoo
junoon e ishq me wo kaam ker gaya hoon main

usne sahil se di awaaz pukaara mujhko
doobne wala tha lekin ubhar gaya hoon main

qadam qadam pe chubhan ban ke dil me uthti hai
tumhari yaad ko lekar jidhar gaya hoon main

koi aahat bhi jo mahsoos hui hai mujhko
raah chalte hue aksar thahar gaya hoon main

            ............S.M.Mahzar
[/color]

gr888888888888888,sir
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #23 on: April 27, 2013, 05:12:35 PM »
Reply with quote
 Rarwaaz Saheb,
             walaykumassalaam
   AApki nawazish hai, shukrguzar hoon ki aapne ghazal ko tareef ke qabil samjha..........
               Khudahafiz
Niyazmand
        S.M.Mahzar
        

Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #24 on: May 04, 2013, 12:46:57 AM »
Reply with quote
gr888888888888888,sir
marhoom bahyaat,
                   bahut bahut shukriya...................
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:41:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer