Duniya Ke iss Bheed Mein Apne Aap Ko Hi Dhoondhte Rehta Hoon Main!!!!!

by khwaish on September 04, 2009, 11:17:10 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3259 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
   "Bure Waqt Aur Dard Ki Kaali Raat mein Hi Insaan,
         Zindagi ka Sabse Keemti Sabak Seekh Leta Hai"
                             -Jashn-

Yeh Ek Dialouge Mujhe Khaas taur par Itna pasand Aaya Ke Mujhse Raha na Gaya..Yeh Do Line Mere Zehan mein Yuh Baithi Ke Naa Jaane Kitni Der Tak Main Yeh Do line Mein Kho Kar Reh Gaya...Issi Soch par Kuch Likhne Ki Koshish Kar raha Hoon....

Kuch Ankahe Lafzo Ka Matlab Dhoondhta Rehta Hoon Main!!!
Zindagi Aakhir Kya Hai?? Kabhi-Kabhi yehi Sochte rehta Hoon Main!!!

Zaroorto Ke Hisaab Se Apni Soch Ko Badalta Raha!!
Kya Tha Aur Ab Kya Hoon!! Apne Aap Mein Hi Jhaankte Rehta Hoon Main!!

Ek Toote Hue Khilone Ki Tarah Hoon Main Jo Kisi Ka Mann Naa Behla Saka!!
Duniya Ke Iss Bheed Mein Apne Aap Ko Hi Dhoondhte Rehta Hoon Main!!!

Eh Dost!! Mujhe Ab Iss Khwaab Ki Duniya Se Naa Jagaa!!
Haqeeqat Ki Duniya Se Ab Har Waqt Darte Rehta Hoon Main!!!

Apne Wahi Hai Jo Bure Waqt Par Kaam Aa Sake!!!
Ab Rishto Ko Bhi Sirf Paiso Ke Hi Dum Se Hi Kyon Tolte Rehta Hoon Main!!!

Kaash Ke Sambhal Jaata Main Apne Aap Se, To Ek Brahm Hi Reh Jaata!!!!
Apne Zakhmo Ko Apne Hi Ashko Se Ab Dhote Rehta Hoon Main!!!

"Bure Waqt Aur Dard Ki Kaali Raat Mein Hi
Insaan Zindagi ka Sabse Keemti Sabak Seekh Leta Hai"

Mere Haath Mein Kuch Bhi to Nahi, par Phir Bhi Dekh Meri Himmat!!!
Waqt Se Bekhauff Hokar Ladte Rehta Hoon Main!!!!

Insaan Ka Aakhri Mukaam Sirf Do Gaz Zameen Hi Hai!!!
Maut Ko Gale Lagaane Se Pehle Naa Jaane Kitno Ka Dil Todhte Rehta Hoon Main!!

Main Woh Insaan Hoon,Jo Apne Aap Ko Aaene Mein Dekh kar Sharmsaar Ho jaaye!!
Par phir bhi Apne Aap Ko Bahut Kuch Samajthe Rehta Hoon Main!!

Sach Hai Ke "Khwaish" Deewana Hi Hai!!!!
Kuch Bikhre Hue Lafzo mein Khud Ki pehchaan Ko Hi Khojte Rehta Hoon Main!!!

                         ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tanhaai mein bhi karti hoon wafaa main apne sanam se. by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
Apne Des Me Ajnabi Hoon Main,. by Azeem Azaad in Shairy-E-Watan « 1 2  All »
Khwaab mein duniya khareedta hoon main by betukh_ bakbaki in Shayri-E-Dard
apne aks se b dur rehta hoon by soudagar in Shayri-E-Dard
Wo aate the shahar Aab-o-daanah dhoondhte dhoondhte by z_zafar05 in Ghazals
poppoetry
Guest
«Reply #1 on: September 04, 2009, 11:54:23 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Taarif k liye alfaaz nahi.....bahut khoob , bahut acche , behtrin , lajwaab....ye lafj bhi kam hai..... Clapping Smiley Clapping Smiley

Kaafi gehrai mein likhi hai aapne ye Ghajal khwaish ji...iss thread mein khuch likhe bina nahi rha ja sakta....abhi waqt ki kami hai...jald hi yha jarur khuch likhungi
Logged
sanprem
Guest
«Reply #2 on: September 04, 2009, 11:56:07 AM »
Reply with quote
Acche sabak sikhaye aapne
Zindagi ki keemat batayee aapne
Ehsaas dard ka kuch is tarah hua
jaise mere hi dil ki haalat sunayi aapne
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: September 04, 2009, 12:01:51 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Taarif k liye alfaaz nahi.....bahut khoob , bahut acche , behtrin , lajwaab....ye lafj bhi kam hai..... Clapping Smiley Clapping Smiley

Kaafi gehrai mein likhi hai aapne ye Ghajal khwaish ji...iss thread mein khuch likhe bina nahi rha ja sakta....abhi waqt ki kami hai...jald hi yha jarur khuch likhungi


Teh Dil Se Shukriya Pooja...Aapne Itna Kuch keh diya..Wahi bahut hai..Aur Rahi Baat Aapke Jawaab Ki, Besabri se Intezaar Hoga Apake Jawaab Ka..

Thankyou Soooooooooo much Pooja... icon_flower
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #4 on: September 04, 2009, 04:21:05 PM »
Reply with quote
Wakai bahoot Bahoot Khoob Khwaish ji..

Zindgai ki chupi ankahi baat jo kai baa r man mea dabi reh jaati hai,,, unn sab baaton ko bakoobi bayaan kiya hai.. Bahoot bahoot Khoob !

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: September 04, 2009, 05:09:34 PM »
Reply with quote
Acche sabak sikhaye aapne
Zindagi ki keemat batayee aapne
Ehsaas dard ka kuch is tarah hua
jaise mere hi dil ki haalat sunayi aapne

Bahut bahut Shukriya Sanprem Ji...

Bahut Hi Shayara Andaaz Mein Aapne Saraha Hai..Bahut Khoob..

Thanks A Lot For Appreciating!!! Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: September 04, 2009, 05:24:46 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley  bahoot khoob Khwaish ji!!! Khas kar yah do  line behad pasand aai


Eh Dost!! Mujhe Ab Iss Khwaab Ki Duniya Se Naa Jagaa!!
Haqeeqat Ki Duniya Se Ab Har Waqt Darte Rehta Hoon Main!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: September 05, 2009, 05:30:37 AM »
Reply with quote
Wakai bahoot Bahoot Khoob Khwaish ji..

Zindgai ki chupi ankahi baat jo kai baa r man mea dabi reh jaati hai,,, unn sab baaton ko bakoobi bayaan kiya hai.. Bahoot bahoot Khoob !



Bahut bahut Shukriya Sophi,Aapne iss Ehsaas Ko bakhoobi Samjha Aur Phir Saraha,Teh Dil se Shukriya Dost.. Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: September 06, 2009, 10:53:57 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot Khoob Khwaish Dost, ek baar phir aapne apne is kalaam main kuch duniya ki kadwi sachi baaton ki taraf roshni daali hai.....Bohot hi achcha likha hai..... Bohot hi Khoob Dost icon_thumleft

Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #9 on: September 06, 2009, 11:19:28 AM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Khwaish ji,really touching,mindblowing creation.excellent.
 Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #10 on: September 08, 2009, 11:37:55 AM »
Reply with quote
...kya gehraai jatayi hai bhai...mazaa aa gaya padhkar...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: September 09, 2009, 06:09:37 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley  bahoot khoob Khwaish ji!!! Khas kar yah do  line behad pasand aai


Eh Dost!! Mujhe Ab Iss Khwaab Ki Duniya Se Naa Jagaa!!
Haqeeqat Ki Duniya Se Ab Har Waqt Darte Rehta Hoon Main!!!


Teh Dil Se Shukriya Pooja.. icon_salut icon_salut

Aapka Yeh Andaaz humehsa Se Dil Ko bhaata Hai Jo Aap Humesha Likhte ho Ke Aapko Iss ghazal mein Sabse Acha Ashaar kaun Sa Laga..

bahut bahut Shukriya Pooja Jo Aapne Iss Ghazal Ko Padha Aur Saraha.. Usual Smile
Logged
aaina
Guest
«Reply #12 on: September 13, 2009, 01:39:29 AM »
Reply with quote
kya kehne hain khwaish bhut hi laajaab mashallah daad hazir hai dear
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: September 28, 2009, 03:57:31 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot Khoob Khwaish Dost, ek baar phir aapne apne is kalaam main kuch duniya ki kadwi sachi baaton ki taraf roshni daali hai.....Bohot hi achcha likha hai..... Bohot hi Khoob Dost icon_thumleft



Bhaut Bahut Shukriya Talat Dost!!! Aapne Humesha Se mera Hausla badhaya Hai..Thanks A Lot Dear!! Usual Smile
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #14 on: September 28, 2009, 04:02:42 PM »
Reply with quote
nice one khwaish ji  Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:30:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer