"Bure Waqt Aur Dard Ki Kaali Raat mein Hi Insaan,
Zindagi ka Sabse Keemti Sabak Seekh Leta Hai"
-Jashn-
Yeh Ek Dialouge Mujhe Khaas taur par Itna pasand Aaya Ke Mujhse Raha na Gaya..Yeh Do Line Mere Zehan mein Yuh Baithi Ke Naa Jaane Kitni Der Tak Main Yeh Do line Mein Kho Kar Reh Gaya...Issi Soch par Kuch Likhne Ki Koshish Kar raha Hoon....
Kuch Ankahe Lafzo Ka Matlab Dhoondhta Rehta Hoon Main!!!
Zindagi Aakhir Kya Hai?? Kabhi-Kabhi yehi Sochte rehta Hoon Main!!!
Zaroorto Ke Hisaab Se Apni Soch Ko Badalta Raha!!
Kya Tha Aur Ab Kya Hoon!! Apne Aap Mein Hi Jhaankte Rehta Hoon Main!!
Ek Toote Hue Khilone Ki Tarah Hoon Main Jo Kisi Ka Mann Naa Behla Saka!!
Duniya Ke Iss Bheed Mein Apne Aap Ko Hi Dhoondhte Rehta Hoon Main!!!
Eh Dost!! Mujhe Ab Iss Khwaab Ki Duniya Se Naa Jagaa!!
Haqeeqat Ki Duniya Se Ab Har Waqt Darte Rehta Hoon Main!!!
Apne Wahi Hai Jo Bure Waqt Par Kaam Aa Sake!!!
Ab Rishto Ko Bhi Sirf Paiso Ke Hi Dum Se Hi Kyon Tolte Rehta Hoon Main!!!
Kaash Ke Sambhal Jaata Main Apne Aap Se, To Ek Brahm Hi Reh Jaata!!!!
Apne Zakhmo Ko Apne Hi Ashko Se Ab Dhote Rehta Hoon Main!!!
"Bure Waqt Aur Dard Ki Kaali Raat Mein Hi
Insaan Zindagi ka Sabse Keemti Sabak Seekh Leta Hai"
Mere Haath Mein Kuch Bhi to Nahi, par Phir Bhi Dekh Meri Himmat!!!
Waqt Se Bekhauff Hokar Ladte Rehta Hoon Main!!!!
Insaan Ka Aakhri Mukaam Sirf Do Gaz Zameen Hi Hai!!!
Maut Ko Gale Lagaane Se Pehle Naa Jaane Kitno Ka Dil Todhte Rehta Hoon Main!!
Main Woh Insaan Hoon,Jo Apne Aap Ko Aaene Mein Dekh kar Sharmsaar Ho jaaye!!
Par phir bhi Apne Aap Ko Bahut Kuch Samajthe Rehta Hoon Main!!
Sach Hai Ke "Khwaish" Deewana Hi Hai!!!!
Kuch Bikhre Hue Lafzo mein Khud Ki pehchaan Ko Hi Khojte Rehta Hoon Main!!!
~~~~~Khwaish~~~~~
Really very beautiful as usual.
Har ek lafz sachhayi ki parchhayi sa lagta hai. .. . .