DUPATTAA............................................................SAINI

by sksaini4 on May 03, 2015, 08:31:26 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1210 times)
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
Reply with quote
Dupattaa sar se fislaa jaa rahaa hai.
Ki maano din nikaltaa jaa rahaa hai.

RaqeeboN ke sitam se tang aakar.
Ik aashiq paa pataktaa jaa rahaa hai.

Udee hai neend aankhoN se hamaaree.
Asar ulfat kaa hotaa jaa rahaa hai

Qalam kaa hai sipaahee jab sukhanwar.
To phir kyooN aab khotaa jaa rahaa hai.

Kashish esee hai un angaadiyoN meN.
Hamaaraa dam hee niklaa jaa rahaa hai.

Parindaa aasmaaN meN ud chalaa hai.
Shikaaree haath maltaa jaa rahaa hai.

Naqaab ab to hataa deejegaa apnee.
Hayaa kaa bojh badhtaa jaa rahaa hai.

Gham-e-furqat rahegaa aur kab tak.
Milan kaa waqt taltaa jaa rahaa hai.

Too'saini'chhod de badkaariyaaN ab.
Teraa kirdaar girtaa jaa rahaa hai.

Dr.Surendra Saini

दुपट्टा सर से फिसला जा रहा है |
कि मानों दिन निकलता जा रहा है ||

रक़ीबों के सितम से तंग आ कर |
इक आशिक़ पा पटकता जा रहा है ||

उडी है नींद आँखों से हमारी |
असर उल्फ़त का होता जा रहा है ||

क़लम का है सिपाही जब सुखनवर |
तो फिर क्यूँ आब खोता जा रहा है ||

कशिश एसी है उन अंगड़ाइयों में |
हमारा दम ही निकला जा रहा है ||

परिंदा आसमां में उड़ चला है |
शिकारी हाथ मलता जा रहा है ||

नक़ाब अब तो हटा दीजेगा अपनी |
हया का बोझ बढ़ता जा रहा है ||

ग़म-ए-फ़ुरक़त रहेगा और कब तक |
मिलन का वक़्त टलता जा रहा है ||

तू 'सैनी'छोड़ दे बदकारियाँ अब |
तेरा किरदार गिरता जा रहा है ||

डा०सुरेन्द्र सैनी  


  
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #1 on: May 03, 2015, 09:13:42 AM »
Reply with quote
behtreen peshkash saini sir ji dheroooooooooo daaaaaaaaaaaaddddddddddd
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #2 on: May 03, 2015, 11:22:13 AM »
Reply with quote
Kya baat hai,Waah
Bahut Khoob.
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #3 on: May 03, 2015, 02:40:32 PM »
Reply with quote
Dupattaa sar se fislaa jaa rahaa hai.
Ki maano din nikaltaa jaa rahaa hai.

RaqeeboN ke sitam se tang aakar.
Ik aashiq paa pataktaa jaa rahaa hai.

Udee hai neend aankhoN se hamaaree.
Asar ulfat kaa hotaa jaa rahaa hai

Qalam kaa hai sipaahee jab sukhanwar.
To phir kyooN aab khotaa jaa rahaa hai.

Kashish esee hai un angaadiyoN meN.
Hamaaraa dam hee niklaa jaa rahaa hai.

Parindaa aasmaaN meN ud chalaa hai.
Shikaaree haath maltaa jaa rahaa hai.

Naqaab ab to hataa deejegaa apnee.
Hayaa kaa bojh badhtaa jaa rahaa hai.

Gham-e-furqat rahegaa aur kab tak.
Milan kaa waqt taltaa jaa rahaa hai.

Too'saini'chhod de badkaariyaaN ab.
Teraa kirdaar girtaa jaa rahaa hai.

Dr.Surendra Saini

दुपट्टा सर से फिसला जा रहा है |
कि मानों दिन निकलता जा रहा है ||

रक़ीबों के सितम से तंग आ कर |
इक आशिक़ पा पटकता जा रहा है ||

उडी है नींद आँखों से हमारी |
असर उल्फ़त का होता जा रहा है ||

क़लम का है सिपाही जब सुखनवर |
तो फिर क्यूँ आब खोता जा रहा है ||

कशिश एसी है उन अंगड़ाइयों में |
हमारा दम ही निकला जा रहा है ||

परिंदा आसमां में उड़ चला है |
शिकारी हाथ मलता जा रहा है ||

नक़ाब अब तो हटा दीजेगा अपनी |
हया का बोझ बढ़ता जा रहा है ||

ग़म-फ़ुरक़त रहेगा और कब तक |
मिलन का वक़्त टलता जा रहा है ||

तू 'सैनी'छोड़ दे बदकारियाँ अब |
तेरा किरदार गिरता जा रहा है ||

डा०सुरेन्द्र सैनी 


 


with rau excellent splendid,sir
Logged
Ram Krishan Rastogi
Umda Shayar
*

Rau: 69
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
30 days, 21 hours and 9 minutes.

Posts: 4988
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #4 on: May 03, 2015, 05:37:14 PM »
Reply with quote
श्री सैनी जी ,गजल की दुनिया में आपका किरदार बढ़ रहा |बहुत ही अच्छी पेशकश है एक राऊ कबूल करने की कृपा करे -आर के रस्तोगी  Applause Applause Applause icon_flower icon_flower
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #5 on: May 03, 2015, 05:47:21 PM »
Reply with quote
waaaah waaaaaah bahooot  khooooob
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #6 on: May 03, 2015, 09:08:54 PM »
Reply with quote
bahut hee umdah peshkash hai Janaab Saini Sahib, dheroN daad Rau ke saath.
     icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Rajigujral
Khususi Shayar
*****

Rau: 17
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 59 minutes.
Posts: 1703
Member Since: Apr 2014


View Profile
«Reply #7 on: May 04, 2015, 05:14:49 AM »
Reply with quote
Wah wah.Bahut khub
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #8 on: May 04, 2015, 09:52:49 AM »
Reply with quote
shukriya jeet ji
Logged
khujli
Guest
«Reply #9 on: May 04, 2015, 10:17:06 AM »
Reply with quote
Dupattaa sar se fislaa jaa rahaa hai.
Ki maano din nikaltaa jaa rahaa hai.

RaqeeboN ke sitam se tang aakar.
Ik aashiq paa pataktaa jaa rahaa hai.

Udee hai neend aankhoN se hamaaree.
Asar ulfat kaa hotaa jaa rahaa hai

Qalam kaa hai sipaahee jab sukhanwar.
To phir kyooN aab khotaa jaa rahaa hai.

Kashish esee hai un angaadiyoN meN.
Hamaaraa dam hee niklaa jaa rahaa hai.

Parindaa aasmaaN meN ud chalaa hai.
Shikaaree haath maltaa jaa rahaa hai.

Naqaab ab to hataa deejegaa apnee.
Hayaa kaa bojh badhtaa jaa rahaa hai.

Gham-e-furqat rahegaa aur kab tak.
Milan kaa waqt taltaa jaa rahaa hai.

Too'saini'chhod de badkaariyaaN ab.
Teraa kirdaar girtaa jaa rahaa hai.

Dr.Surendra Saini

दुपट्टा सर से फिसला जा रहा है |
कि मानों दिन निकलता जा रहा है ||

रक़ीबों के सितम से तंग आ कर |
इक आशिक़ पा पटकता जा रहा है ||

उडी है नींद आँखों से हमारी |
असर उल्फ़त का होता जा रहा है ||

क़लम का है सिपाही जब सुखनवर |
तो फिर क्यूँ आब खोता जा रहा है ||

कशिश एसी है उन अंगड़ाइयों में |
हमारा दम ही निकला जा रहा है ||

परिंदा आसमां में उड़ चला है |
शिकारी हाथ मलता जा रहा है ||

नक़ाब अब तो हटा दीजेगा अपनी |
हया का बोझ बढ़ता जा रहा है ||

ग़म-फ़ुरक़त रहेगा और कब तक |
मिलन का वक़्त टलता जा रहा है ||

तू 'सैनी'छोड़ दे बदकारियाँ अब |
तेरा किरदार गिरता जा रहा है ||

डा०सुरेन्द्र सैनी 


 



 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


boss!!!!!!!!!!!!!!!!

RAU IZ DUE


 Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
khujli
Guest
«Reply #10 on: May 05, 2015, 04:58:31 AM »
Reply with quote


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


boss!!!!!!!!!!!!!!!!

RAU IZ DUE


 Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile


boss!!!!!!!!!!!!!!

AAP KAA RAU


 Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #11 on: May 05, 2015, 11:20:28 AM »
Reply with quote
shukriya ravinder ji
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #12 on: May 06, 2015, 07:04:45 AM »
Reply with quote
shukriya marhoom saheb
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #13 on: May 07, 2015, 05:18:48 AM »
Reply with quote
shukriya rastogee ji
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #14 on: May 07, 2015, 09:44:51 AM »
Reply with quote
dhanywad rajan ji
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:22:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.15 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer