Eik Ghazal

by A K Khan on September 16, 2004, 12:54:29 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 5007 times)
A K Khan
Guest
Reply with quote
Mohtram dosto
Aadab,
Aaj pehli martba aap ke is bazm maiN Hazri de raha hoon aur eik GHAZAL aap ki khidmat maiN pesh kar raha hooN aap se guzarish he ke apni raye aur khayallat se zaroor nawazaiN

Duago
AZHAR

Chura laya hooN khud ko apna saya chor aaya hooN
MaiN us ke aaine maiN apna chehra chr aaya hooN

Basa le aankh maiN ya aag maiN is ko jala dale
MaiN us ki dairy main eik sapna chor aaya hooN

Ab aage dekhna he zindagi kya shakl deti he
MaiN chalte chaak per khud ko udhoora chor aaya hooN

Tu mera haq na de mehnat ke badle bheek hi dede
MaiN apne ghar maiN sab bachooN ko bhooka chor aaya hooN

isi dar se ke istarha na mer jaye ana meri
MaiN apne aakhri dushman ko zinda chor aaya hooN

ye laghzish ho gae kul mekade say be khayali mein
Kisi ka gham utha laya hoon apna chor aaya hooN

meray bachoon ko aapis mein yehi to bantna ho ga
MaiN pechay nafratooN ka jo asasa chor aaya hooN


shukriya.
AZHAR
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ghazal by khalidrawat in Ghazals
ghazal by khalidrawat in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ghazal.....GHazal..........Ghazal by Ghulam Haider in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
ghazal mein unka zikar * ghazal * by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
waheed
Guest
«Reply #1 on: September 16, 2004, 01:12:03 PM »
Reply with quote
too nice azhar brother

tu chod aaya jo chehra mere aaine mein
maine use sambhal ke rakha hai seene mein
 
basa liya aankh mein na jalaya maine
tune jo choda ek sapna meri dairy mein

zindagi khushiyaan de mere yaar ko
usne chalte chaak per adhoora choda mujh ko

maine haq diya teri mehnat ka  jo kuch tha mere tijori mein
tu khilaana apne bacchaon ko muje rehne de aas mein


i hav to write more but i hav no tim bye
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: September 16, 2004, 03:29:20 PM »
Reply with quote
wah bahoot hi touching gazal hai Azharji. bahoot khoob.
Waheed nice answer.

Tu mera haq na de mehnat ke badle bheek hi dede
MaiN apne ghar maiN sab bachooN ko bhooka chor aaya hooN

isi dar se ke istarha na mer jaye ana meri
MaiN apne aakhri dushman ko zinda chor aaya hooN

very touching wordings.....Hope to see more from you!!!
Logged
waheed
Guest
«Reply #3 on: September 17, 2004, 11:31:23 AM »
Reply with quote
thanks pooja ji
Logged
A K Khan
Guest
«Reply #4 on: September 19, 2004, 10:04:32 AM »
Reply with quote
Bohat Shukria Junab Waheed Sahib
Aap to junab bohat achay shair bhi hain aap ne jis tarah meri ghazal ko pasand kia he aur for" munzoom jawab diya he us ke liye aap ka shukr guzar hooN
Duago
AZHAR
Logged
A K Khan
Guest
«Reply #5 on: September 19, 2004, 10:30:52 AM »
Reply with quote
Pooja ji

aap  ki  pasand  k  liye  AZHAR  aap  ka  mashkoor  hai
 
Hamesha khush  rahiyee  :D
Duago
AZHAR
Logged
waheed
Guest
«Reply #6 on: September 19, 2004, 01:29:57 PM »
Reply with quote
shukriyaaaaaaaaaa azhar
Logged
A K Khan
Guest
«Reply #7 on: September 20, 2004, 06:49:22 AM »
Reply with quote
Aap ka bhi onceagain shukria Waheed
Logged
muneeb
Guest
«Reply #8 on: September 20, 2004, 03:46:08 PM »
Reply with quote
Saab ke shairi bohat achi hai saab na kiya khoob kaha hai nice ...


baishumar batoon ki talkhion say bahter hai
aik hi shikait ho
baishumaar ratoon ki baikali say bahter hai aik hi aziat ho
baishumaar zatoon ki kujravi say bahter hay
aik hi muhabbat ho
Logged
A K Khan
Guest
«Reply #9 on: September 21, 2004, 09:41:58 AM »
Reply with quote



Kya Baat he junab munib sahib
Bohat acha intekhab pesh kia he aap ne
dad ke liye shukr guzar hooN

AZHAR



Logged
muneeb
Guest
«Reply #10 on: September 21, 2004, 10:11:14 AM »
Reply with quote
Jee Azhar aap ka bhi bohat shukeriya ka aap ko hamare shair passand hai thank you


Lehar Aati hai aur kinary say palat jati hai,Yaad aati hai aur dil mein simat jati hai,Lehar aur Yaad mein faraq sirf itna hai k Lehar bewaqat aur Yaad her waqat aati hai................
Logged
muneeb
Guest
«Reply #11 on: September 23, 2004, 08:15:44 PM »
Reply with quote
Tumhare Naam Karta Hoon
Mein Apna Ajj Apna Kaal Tumhare Naam Karta Hoon
Mein Is Jeevan Ka Har Pal Tumhare Naam Karta Hoon
Mera Guzra Hua Kaal To Mere Mazi Ka Hisah Hai
Mein Apna Ajj Apna Kaal Tumhare Naam Karta Hoon
Khizain, Sardian, Garmi, Baharein, Barishein, Jara
Mein Har Mosaam Ka Har Har Pal Tumhare Naam Karta Hoon
Tumhare Dukh, Udasi, Gham, Sabhi Ranj-o-Alam Lekar
Mein Yah Khushion Bhari Chagal Tumhare Naam Karta Hoon
Sitare Asmaan Ke Sab Tumhari Mang Mein Bhar Kar
Shaab-e-Tera Ka Sab Kajol Tumhare Naam Karta Hoon
Tumhare Bin Yah Har Aik Pal Mujahy Bechain Rakhta Hai
Mein Apna Dil Hai Jo Bekal, Tumhare Naam Karta Hoon
Barasta Bheegta Mosaam Hai Kamzori Meri Lakin
Mein Yah Sawan, Ghatta, Badal Tumhare Naam Karta Hoon.
Logged
nishita
Guest
«Reply #12 on: September 24, 2004, 07:37:59 AM »
Reply with quote
very nice azhar
Logged
waheed
Guest
«Reply #13 on: September 24, 2004, 02:13:28 PM »
Reply with quote
nice evry 1
  dekhna  qismat  ki aap  apne  pe  rashk  aajaaye hai
        maiN use; dekhooN, bhalaa kab mujhse dekha jaaye hai

        [ rashk = envy ]

2.      haath dho dil se yahee garmee gar andeshe meiN hai
        aabgeena  tundee-e-sahbaa   se  pighla  jaaye  hai

        [ andesha = suspicion, aabgeena = a crystal glass,
          tundee = heat, sahbaa = red wine ]

3.      GHair ko yaarab ! woh kyoNkar mana'a-e-gustaaKHee kare ?
        gar haya  bhee  usko  aatee  hai  to sharma  jaaye hai

4.      shauq ko ye lat ke hardam  naala KheeNche jaayiye
        dil ki woh haalat ki dam lene se ghabra jaaye hai

5.      door chashm-e-bad ! teree bazm-e-tarab se waah-waah
        naGHma ho  jaata hai waaN  gar naala mera jaaye hai

        [ bad = wicked, tarab = joy, naala = lamentation ]

6.      GHarche hai tarz-e-taGHaaful, pardaadaar-e-raaz-e-ishq
        par ham  'eise  khoye jaate  haiN ki woh paa jaaye hai

        [ taGHaaful = negligence, pardaadar = one who puts on a veil ]

7.      uskee bazm_aaraaiyaaN sunkar dil-e-raNjoor yaaN
        misl-e-naqsh-e-muddaa-e-GHair baiTHa jaaye  hai

        [ aaraaiyaaN = decorations, raNjoor = sad/distressed, misl = record,
          naqsh = copy/print ]

8.      hoke aashiq woh  paree_ruKH aur naazuk ban gaya
        rang khulta jaaye hai, jitna ki uData jaaye hai

        [ paree_ruKH = angel faced ]

9.      naqsh  ko uske  musawwir  par bhee  kya-kya  naaz hai
        kheeNchta hai jis qadar, utana hee khiNchta jaaye hai

        [ naqsh = copy/print, musawwir = painter ]

10.     saaya meraa mujhse  misl-e-dood bhaage hai 'Asad'
        paas mujh aatish_bazaaN ke kisse Thahra jaaye hai

        [ misl-e-dood = like smoke ]
 
mera nahi hai this frm( gg)
Logged
A K Khan
Guest
«Reply #14 on: September 25, 2004, 03:16:40 PM »
Reply with quote
Muneeb ji
Bohat shukria aap ki choice bohat achi he Eik khubsurat ghazal share kernaY ka shukria isi forum per meri eik aur ghazal (Kisi ki bewafaii )bhi mojood he us ke baray maiN aap ki raye ka intezar rahe ga doosre dostoN se bhi us ghazal per apne khayalaat ke izhaar ki dawat he

Hamesha khush rahiye
Duago
AZHAR
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:28:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer