Eik Ghazal

by A K Khan on September 16, 2004, 12:54:29 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 4949 times)
muneeb
Guest
«Reply #15 on: September 27, 2004, 07:39:22 AM »
Reply with quote
Veerane Mein Chup Ker Roona Acha Lagta Hai
Hum Deewane Hoo Jain Gay Aisa Lagta hai

Bazaroon Ki Roonak Din Din Bharti Jati hai
Shaam Dhalay Har Ghar Ka Aagan Suna Lahta Hai

Kaisi Aahat Shaid Koi Milne Aaya Hai
koi nahi koi nahi
Koi Nahi Hai Aa Dil Tuj Ko Dukha Lagta hai

Dour Andarey Se Koi Gham Baatain Kerta Hai
Jis Ka Chehra
Jis Ka Chehra Apne Chehrey Jaisa Lagta Hai

Veerane Mein Chup Ker Roona Acha Lagta Hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ghazal by khalidrawat in Ghazals
ghazal by khalidrawat in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ghazal.....GHazal..........Ghazal by Ghulam Haider in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
ghazal mein unka zikar * ghazal * by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
waheed
Guest
«Reply #16 on: September 28, 2004, 02:35:57 PM »
Reply with quote
1.      ishq mujhko  naheeN, wehshat hee sahee
        meree wehshat, teree shohrat hee sahee

        [ wehshat = solitude, shohrat = fame ]

2.      qata`a   keeje  na  ta`alluq   ham   se
        kuchch naheeN hai to `adaavat hee sahee

        [ qata'a = break/intercept, ta'alluq = relation/connection,
          'adaavat = hatred/animosity ]

3.      mere   hone   meiN   hai  kya  ruswaaee ?
        'ei woh majlis naheeN KHalwat hee sahee

        [ majlis = assembly, KHalwat = isolation ]

4.      ham bhee dushman to naheeN haiN apne
        GHair ko tujh se mohabbat  hee sahee

5.      apnee hastee hee se ho, jo kuchch ho !
        aagahee gar naheeN GHaflat hee sahee

        [ hastee = existence, aagahee = knowledge/information,
          GHaflat = negligence ]

6.      'umr harchand  ke  hai  barq-e-KHiraam
        dil ke KHooN karne ki fursat hee sahee

        [ barq = lightning, KHiraam = manner of walking ]

7.      ham  koee tarq-e-wafa  karte haiN
        na sahee ishq, museebat hee sahee

        [ tarq = relinquishment ]

8.      kuchch  to de  'ei falak-e-na_insaaf
        aah-o-fariyaad ki ruKHasat hee sahee

        [ falak = sky ]

9.      ham bhee tasleem kee KHoo Daalenge
        be_niyaazee teree `aadat hee sahee

        [ tasleem = greeting/saluting, KHoo = habit,
          be_niyaazee = independence ]

10.     yaar se  cheDa  chalee jaay, 'Asad'
        gar nahee wasl to hasrat hee sahee

        [ wasl = meeting, hasrat = desire ]

(gg)
Logged
A K Khan
Guest
«Reply #17 on: October 02, 2004, 09:19:46 AM »
Reply with quote
Muneeb ji aap ki ye ghazal bhi achi he
wah kya baat he
                     Duniya Bhar ki yadiN mujh se milnay aati haiN
                     Sham dhalay is sunay ghar maiN mela lagta he


AZHAR
Logged
muneeb
Guest
«Reply #18 on: October 06, 2004, 03:33:14 PM »
Reply with quote
jis ko tum chatey ho use khodena kaisa lagta hai

"jis ko tum chatey ho use khodena kaisa lagta hai
Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi

Sath reh kar bhi us ko na pana kesa lagta hai

Qismat main nahin phir bhi us ko chahtay hain

Phool samjh kar kantoon per chalna kesa lagta hai



Ab to mehfil main bhi hamaray liyey tanhai hai

Gham chupa kar mehfil ko sajana kesa lagta hai

Mehfil main dosron se hans hans kar miltay hain

Tanhai main gham k ansoo bahana kesa lagta hai



Samjhany per bhi samjhta nahin hai yeh Dil

Us ki yaad main ratoon ko jaagna kesa lagta hai

Us ki berukhi ne itnay diyey hain zakham kay

Zakham kha kar bhi muskurana kesa lagta hai



Jab woh hans hans kar baat karay dosroon se

Tab apnay ansoon ko chupana kesa lagta hai

Usay kho kar to Meray pass raha kuch bhi nahin

Phir bhi khud ko ameer batana kesa lagta hai



Khud ko anmol samjhnay ka tha bara ghumand

Phir bhi baymool bik jana kesa lagta hai

Khaey hain dhokay mouhabbat main itnay kay

Phir bhi is ko chahna kesa lagta hai



Maloom hai is dewanay ki Manzil nahin hai koi

Phir bhi safer kartay rehna kesa lagta hai

Woh to aa kar bhi kab kay ja chukay hain

Phir bhi is ka intazar kartay rehna kesa lagta hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: October 06, 2004, 07:56:54 PM »
Reply with quote
bahoot hi khoob....
Logged
mudassirali
Guest
«Reply #20 on: October 08, 2004, 01:30:38 PM »
Reply with quote
nice all aap sub ki shairi bohot hi achchi achi hai , dil ko chuu liya hai aap logon key sheron ney.
main bhi kya karoon aap ki shairi parh kar itna masroor ho gaya key majbooran mujhey yeh ghazlein apni diary mein likhni parhi.

zindigi ki rahoon mein chalna kaisa lagta hai
tujhko yeh be rehem safina kaisa lagta hai

zindigi kaati hai mainey kuch ghum o tanhai main
tu bata mujh ko tujhey jeevan kaisa lagta hai

ab tak kata hai jeevan mera sirf teri yadoon mein
mujhsey poocho pyar mein tadapna kaisa lagta hai

sooca tha bhooloonga usko nayi duniya mein jaoonga
par mujhko maloom na tha farishta kaisa lagta hai
Logged
A K Khan
Guest
«Reply #21 on: October 08, 2004, 01:43:52 PM »
Reply with quote
Chura laya hooN khud ko apna saya chor aaya hooN
MaiN us ke aaine maiN apna chehra chr aaya hooN

Basa le aankh maiN ya aag maiN is ko jala dale
MaiN us ki dairy main eik sapna chor aaya hooN

Ab aage dekhna he zindagi kya shakl deti he
MaiN chalte chaak per khud ko udhoora chor aaya hooN

Tu mera haq na de mehnat ke badle bheek hi dede
MaiN apne ghar maiN sab bachooN ko bhooka chor aaya hooN

isi dar se ke istarha na mer jaye ana meri
MaiN apne aakhri dushman ko zinda chor aaya hooN

ye laghzish ho gae kul mekade say be khayali mein
Kisi ka gham utha laya hoon apna chor aaya hooN

meray bachoon ko aapis mein yehi to bantna ho ga
MaiN pechay nafratooN ka jo asasa chor aaya hooN


shukriya.
AZHAR
Logged
muneeb
Guest
«Reply #22 on: October 11, 2004, 04:01:10 PM »
Reply with quote
Tum Sey Yeh Guzarish Hai
Tum Aankhon Ke Rastee See Dil Mai Utar Jaoo
Tum Pyaar Key Saagar Mai Apna Aap Bighoo Daloo
Tum Apney Hathoon Ki Mehndi Sey Saarey Sapnoo Ko Mehka Doo
Tum Sawan Kay Badal Ki Tarha Mujh Per Baras Jaooo
Tum Jo Aaoo To Har Cheez Mehak Jayee
Tum Jo Jaooo To Udassi See Chaa Jayee
Tum Jo Chahoo To Mujhe Apni Aankhon Ka Kajal Kar Doo
Tum Jo Chahoo To Mujhee Badal Kar Doo
Tum Jo Chahoo To Mujhe Is Qadar Pagal Kar Doo
Magar SunooO
Tum Se Yehi Guzarish Hai
Tum Apney Hathoon Ko
Merey Hathoon Mai Dey Doo
Tum Merey Saath Zindagi Ke Safar Main Chalooo
Tum Merey Pyaar Ko Amar Kar Dooo
Logged
A K Khan
Guest
«Reply #23 on: October 18, 2004, 09:54:58 AM »
Reply with quote
Tire badan maiN dhRakne laga hooN dil ki tarah
Ye aur baat ke ab bhi tujhay sunai na dooN
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: October 29, 2004, 04:21:34 PM »
Reply with quote
wah!!!!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #25 on: October 30, 2004, 07:15:02 AM »
Reply with quote
gr8
Logged
sbechain
Guest
«Reply #26 on: August 24, 2011, 08:06:59 PM »
Reply with quote
Mohtram dosto
Aadab,
Aaj pehli martba aap ke is bazm maiN Hazri de raha hoon aur eik GHAZAL aap ki khidmat maiN pesh kar raha hooN aap se guzarish he ke apni raye aur khayallat se zaroor nawazaiN

Duago
AZHAR

Chura laya hooN khud ko apna saya chor aaya hooN
MaiN us ke aaine maiN apna chehra chr aaya hooN

Basa le aankh maiN ya aag maiN is ko jala dale
MaiN us ki dairy main eik sapna chor aaya hooN

Ab aage dekhna he zindagi kya shakl deti he
MaiN chalte chaak per khud ko udhoora chor aaya hooN

Tu mera haq na de mehnat ke badle bheek hi dede
MaiN apne ghar maiN sab bachooN ko bhooka chor aaya hooN

isi dar se ke istarha na mer jaye ana meri
MaiN apne aakhri dushman ko zinda chor aaya hooN

ye laghzish ho gae kul mekade say be khayali mein
Kisi ka gham utha laya hoon apna chor aaya hooN

meray bachoon ko aapis mein yehi to bantna ho ga
MaiN pechay nafratooN ka jo asasa chor aaya hooN


shukriya.
AZHAR


mindblowing khan sahab


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
masoodhassaas
Guest
«Reply #27 on: August 24, 2011, 10:02:36 PM »
Reply with quote
Mohtram dosto
Aadab,
Aaj pehli martba aap ke is bazm maiN Hazri de raha hoon aur eik GHAZAL aap ki khidmat maiN pesh kar raha hooN aap se guzarish he ke apni raye aur khayallat se zaroor nawazaiN

Duago
AZHAR

Chura laya hooN khud ko apna saya chor aaya hooN
MaiN us ke aaine maiN apna chehra chr aaya hooN

Basa le aankh maiN ya aag maiN is ko jala dale
MaiN us ki dairy main eik sapna chor aaya hooN

Ab aage dekhna he zindagi kya shakl deti he
MaiN chalte chaak per khud ko udhoora chor aaya hooN

Tu mera haq na de mehnat ke badle bheek hi dede
MaiN apne ghar maiN sab bachooN ko bhooka chor aaya hooN

isi dar se ke istarha na mer jaye ana meri
MaiN apne aakhri dushman ko zinda chor aaya hooN

ye laghzish ho gae kul mekade say be khayali mein
Kisi ka gham utha laya hoon apna chor aaya hooN

meray bachoon ko aapis mein yehi to bantna ho ga
MaiN pechay nafratooN ka jo asasa chor aaya hooN


shukriya.
AZHAR



mashallaah mashalllah
kiyaa khoob adaayegee hai aor rawaangee bhi taghazzul ke saath ahd e haariz ka saheeh naqsha pesh kartee is shaahkaar ghazal ko shaahkaar na kahnaa zeyaadtee hogee  laa jawaab
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 04:18:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer