EK GHAZAL- YOINDIA SHAYARO.N KE NAAM...///...........///....IFTAKHAR

by Iftakhar Ahmad on May 22, 2013, 07:49:22 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2940 times)
ParwaaZ
Guest
«Reply #15 on: May 22, 2013, 08:57:02 PM »
Reply with quote
Ifteqaar Sahaab Aadaab....!


Mashaa Allaah janab kya kahne .... Awwal toH aapka shukriyaa ke is nacheez ko bhi aapne apni kalaam meiN jagaaH di.. Usual Smile

Badi hi umdaa kalaam kahi hai janab, waqai behad muskil kaam hai ke naamoN ke saath bher baNd kalaam ko anjaam denaa koi aasaan kaam nahi.... is umdaa dedication par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye... bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda hafez... Usual Smile

Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #16 on: May 22, 2013, 09:32:14 PM »
Reply with quote
YoIndia membaraan aur seniors ko mera aadaab!! Maine YoIndia ke shayaroN ki taa’reef meiN ye ghazal likhne ki koshish ki hai, apni jaankaari meiN unki khoobiyoN ko bayaan karne ki koshish ki hai, koi khaami ho to maa’f kareiN.
Aur haaN, mujhe pata hai k iss fehrist meiN kitne aise shayar haiN jinka naam nahiN hai, maiN fir se maa’fi chaahuNga, maiN aisa iss liye nahiN kar paaya k ghazal lambi ho rahi thi. Khayr mulaaheja farmaaiyega:



Aarish   teri    ghazal      meiN      hai    aisi   rawaangi
Maano   ghazal    na     ho       koi      behti    hui   nadi

Kehta   hai   Taish    bhi     ghazal   bilkul   hi   saaz  si
Labrez    ishq      pyaar      se     ghazleiN    janaab   ki

Parwaaz   aur   Qalb     se      raunaq    hai    bazm   ki
Mehfil   meiN   jaan    phooNk     de   bas  inki  haaziri

Krishna   Sukumaar    ka     zaraa    andaaz   dekh  lo
MaiN  to  yahi   kahuNga     inki   ghazleiN  khwaab  si

Shukla   teri   ghazal    meiN    to    aisi   mithaas  hai
Maano  teri   kalam   meiN    ho   bilkul  shahad ghuli

Aisa  khumaar   hai   teri  ghazloN  meiN  aye  Hasan
Mujhko  to  lagti   haiN    teri    ghazleiN   shabaab  si

Phirta  rahe   jo     bazm     meiN    shayar  taraashta
Saini     tera      laqab     to     hai     ustaad-e-shayari

Tera    Mukesh    zikr      maiN     kaise    nahiN  karuN
Dekhi hai  maine  tujh  meiN   ek  shayar  ki tishnagi

Khwaateen jo yahaaN ki haiN sho’ara wo khoob haiN
Sheba,  Suman -wo-aqsh   ye    haiN   noor   bazm  ki

Shayar  naye  sahal,   musaahib   jo  yahaaN  ke haiN
In  meiN   bhi    hai    chupi     hui    barkhoob   shayari

Bulbul    hai      ‘Iftakhar’      hai      YoIndia      chaman
Kya  khoob  sukhnawar   yahaaN   ki   khoob  shayari




naaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaice-I.A, ONE RAU.



Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #17 on: May 22, 2013, 10:51:49 PM »
Reply with quote

 Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping
Shukriya Rajan jee.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #18 on: May 22, 2013, 10:53:58 PM »
Reply with quote
If I am to reply in one word... "FLATTERED"...

Bahut mushkil hota hai is tarah ka kuch likh paana, par aisi kosish ke liye aapki jitni bhi tareef ki jaaye kam hai, aur aapne apne is khubsurat guldaste meN mujhe bhi jagah di, iske liye aapka shukraguzaar huN... yuNhi likhte rahiye saaheb, aur mehfil ki raunak meN chaar chaand lagaate rahiye...!!
Bahut bahut shukriya Bhushan jee hausla afzaai ke liye.
Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 27 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #19 on: May 23, 2013, 01:36:01 AM »
Reply with quote
Wah,Wah,Wah Iftakhar ji,
Bahut umda.Aapne jo koshish ke hai,wo waqai bahut mushkil kaam hai Lakin aapkee shayaree ko padkar aisa lagta hai ki ye kaam jo hume bahut mushkil lagta hai,Aapke liye bahut hi aasaan hai.

Meri dili mubarakbaad qabool kijiye.Aapki fankaari ko mera salaam.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #20 on: May 23, 2013, 02:15:50 AM »
Reply with quote
gazab ....bahut hi badhiya ..great job Usual Smile
Shukriya Rahul Jee.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #21 on: May 23, 2013, 03:41:49 AM »
Reply with quote
Bahut mubarakbaad aur shukriya bhi, Iftakhar sahib.Ghazal mein bahut se shoraa aur unki shairy ke bare mein observations ko ikattha shaamil karna koi aasan kaam nahin hai. Lekin aap ne shairy ke usoolon ko malhooz rakhte hue ye kaam bahut khoobi se kiya hai. Meri taraf se dili mubarakbaad aur dheron daad .... Aapne apni khoobi ka zikr nahi kiya lekin ghazal khud aapke talent ka aitraaf kar rahi hai.Bahut duaaein.Hasan
Hasan saheb, bahut bahut shukriya taa'reef aur hausla afzaai ka. Magar ye aap logoN ka ekhlaas aur teaching hi jis ki wajah se maiN likh pata huN. Bahut bahut shukriya.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #22 on: May 24, 2013, 01:53:41 AM »
Reply with quote
bahut mushkil kaam ko anjaam diyaa hai bahut bahut daad aur mubarak baad par mere baare men jo likhaa vo thodaa ziyaadaa likh gaye
Sir bahut bahut shukriya hausla afzaai ka, ye to bas aapke dars ka hi nateeza hai, aur maine jo aapke baare meiN kaha hai wo to bilkul sateek hai.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #23 on: May 24, 2013, 02:09:44 AM »
Reply with quote

 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

boss!!!!!!! agar mere naam ka zikr nahin bhee karte toh bhee main ek rau deta aap ke iss kalaam ko kyon kee aisa likh pana mushkil hee nahin bahut mushkil hai jaisa aap ne likhaa. meree mubarak baad aap ko boss!!!!!!!!!!!!

Janaab, tah-e-dil se aapka shukriya, ye aap logoN ka pyaar aur ekhlaas hi hai jis se mujhe likhne ka hausla milta hai.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #24 on: May 24, 2013, 02:10:56 AM »
Reply with quote
Hats off to you! Hats off to you!  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
kya baat hai iftakharji. Bahut hi mushkil kaam ko anjaam diya hai aapne. Mujhe bhi apne ghazal mein shaamil karne ke liye bahut bahut shukriya. Bahut bahut bahut khoob likha hai aapne. Meri taraf se ek rau qubool kijiye. Bahut bahut mubarak ho.
Aqsh jee, tah-e-dil se shukriya.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #25 on: May 25, 2013, 03:47:50 AM »
Reply with quote

IFTIKHAR   SAHAB   APKI  LIKHI  GHAZAL  KI  TAREEF  LAFZON  MEIN  NAHI  BAYAN 
HO  SAKTI,APNE  IS  NACHEEZ  TO  KO  YAAD  RAKHA  YE  MERE  LIYE  BADE  AZAZ  KI BAAT  HAI.IS  KALAAM  KI  TAREEF  ZABANI  TO  NAHI  KAR  SAKTA  IS  KA  EHTERAAM DIL  ME RAKHUNGA  HAMESHA... .AP  KO  AUR  SAB  KO  MUBARAKBAAD. 
JAZAKALLAH HU KHAIR.

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Sahal bhai bahut bahut shukriya taa'reef aur hausla afzaai ka.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #26 on: May 26, 2013, 09:07:56 PM »
Reply with quote
Iftakhar bhai--
aapne ek baar fir se Yoindia Shayariadab ke members par kalaam likh kar iss mehfil ki shaan ko badhaya hai Usual Smile

baht hi khubsoorat aur ekdm sateek bayaani har ek members ke
janaab aap akele shakhs hain iss bazm ke jinhone 2-2 bar iss topic par likha hai aur woh bhi behad se bhi jada umdaa

aapko humara salaam hai bhai
hats off to you

be-shak iss bazm me aur bhi kai aalaa darze ke shayr hain jinka naam aapke kalaam me nhi hai fir bhi ye ghazal ekdm complete hai bhai Usual Smile

bhaut mubarakbaad aur daad
khus rahie
muskurate rahie
aate rahie
Usual Smile

Subhash jee, tah-e-dil se shukriya itni taa'reef aur hausla afzaai kai.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #27 on: May 26, 2013, 09:09:08 PM »
Reply with quote

Bahut Bahut Khooob Ifthakar Ji..

Nice Dedication... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Khwahish jee, bahut bahut shukriya.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #28 on: May 26, 2013, 09:10:42 PM »
Reply with quote
Iftakhar Bhai
Aapke jazbe ko dhyaan me rakhte hue..
jyada kuch dekhne ki zaroorat nahee..
kisi ke munh se bhi sirf wah wah niklegi..
acchi behr pakdee aapne aur takreeban accha nibhaya hai aapne.
mai jaanta hun..naam ko dhyaan me rakhkar ghazal kahna..aasaan nahee.
meri dil daad mubarakbaad..
Mukesh bhai, bahut bahut shukriya hausla afzaai ka.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #29 on: June 03, 2013, 09:44:29 AM »
Reply with quote
dhero mubarakbad hamare taraf se bhi kubool kare iftekhar bhai... Usual Smile
Applause Applause Applause Applause
Tauheed bhai, bahut bahut shukriya.
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:31:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.271 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer