ek muflis ki beti kitni aas lagaye baithi hai ( Qadeertoopchi )

by qadeer_junaid on August 11, 2011, 11:29:46 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2366 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
Reply with quote
Yaarane Bazm aadab o tasleemat , meri ik adna si khaawish ap sub ki nazr umid hai  apni ara se nawazenge



ik deewani darwaze per aankh bichaye baithi hai
Ik deewane ke qaatir wo khud ko bhulaye baithi hai

Saath me uske tanhai hai ,aur  yaadon ki purwaaiye
Raaton  ke andhyaaron  me wo dil ko jalaye baithi hai

Mauth ne mujh ko khuch din pahele ye kahe kay zinda chora
Is bête ki bhudhiyaa maa’I haath  uthaye baithi hai

Ab ayenge jub ayenge , mere abbu sub layenge
Eak muflis ki beti kitni , aas lagaye baithi hai

Bus khuch din ki bath hai phir to mera bhai La'ot ayega
Bahena apni palkon pe khuch khawb sajaye baithi hai

Rastah takte takte Tera uski ankhen  pathraeen
Ab tasveer "Qadeer" woh Teri dil se lagaye baithi hai

qadeertoopchi
Logged
Asghr
Guest
«Reply #1 on: August 11, 2011, 11:58:45 AM »
Reply with quote
Qadeer bhai khubsoorat likha hai jitni tareef ki jaaye kam hai
isi tarah likhte rehein.Asghar
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: August 11, 2011, 12:12:34 PM »
Reply with quote
Yaarane Bazm aadab o tasleemat , meri ik adna si khaawish ap sub ki nazr umid hai  apni ara se nawazenge



ik deewani darwaze per aankh bichaye baithi hai
Ik deewane ke qaatir wo khud ko bhulaye baithi hai

Saath me uske tanhai hai ,aur  yaadon ki purwaaiye
Raaton  ke andhyaaron  me wo dil ko jalaye baithi hai

Mauth ne mujh ko khuch din pahele ye kahe kay zinda chora
Is bête ki bhudhiyaa maa’I haath  uthaye baithi hai

Ab ayenge jub ayenge , mere abbu sub layenge
Eak muflis ki beti kitni , aas lagaye baithi hai

Bus khuch din ki bath hai phir to mera bhai La'ot ayega
Bahena apni palkon pe khuch khawb sajaye baithi hai

Rastah takte takte Tera uski ankhen  pathraeen
Ab tasveer "Qadeer" woh Teri dil se lagaye baithi hai

qadeertoopchi

Bahut Bahut Aur bahut Khooob Mere Bhai..

bahut Hi khoobsurat Ehsaaso Se Bharpoor..

Kuch Jazbaaton Ko Lafz Dena Asaan Nahi Hota,Aapne Unn Jazbaton ko Bakhoobi lafzon Mein Darshaya Hai Qadeer Bhai..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: August 11, 2011, 12:43:41 PM »
Reply with quote
Qadeer saheb,Kya khoobsurat ghazal hai.har she'r kahayaal aur bandish mein yakta.bahut bahut daad.Hasan
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: August 11, 2011, 02:22:13 PM »
Reply with quote
As Salaam walekum Bhaijaan Usual Smile

Be IntehaaN khushi hoti hai jab bhi aapka kalaam padhte hai.. Usual Smile
Behad nayi kalaam se nawaaza hai aapne Usual Smile

Aapke khayaaloN ki aur Gazal ke ashaaroN ki jitni bhi tarif
kareN kam hi hai... Usual Smile Is qadar gehre ahsaasat se labrez hai
aapki yeh kalaam ke kia kaheN Usual Smile
         



Yaarane Bazm aadab o tasleemat , meri ik adna si khaawish ap sub ki nazr umid hai  apni ara se nawazenge



ik deewani darwaze per aankh bichaye baithi hai
Ik deewane ke qaatir wo khud ko bhulaye baithi hai

Masha Allah matle ne hi tamaam manzar e haal
bayaaN kar diyaa... bahut umdaa Bhaijaan daad daad Usual Smile         


Saath me uske tanhai hai ,aur  yaadon ki purwaaiye
Raaton  ke andhyaaron  me wo dil ko jalaye baithi hai

Bahut khoob Bhaijaan Usual Smile         

Mauth ne mujh ko khuch din pahele ye kahe kay zinda chora
Is bête ki bhudhiyaa maa’I haath  uthaye baithi hai

Masha Allah Bhaijaan ... HazaaroN baar sadke jauN is umdaa khayaal par... Allah hum sab ko apni panaaH meiN rakhe Usual Smile         

Ab ayenge jub ayenge , mere abbu sub layenge
Eak muflis ki beti kitni , aas lagaye baithi hai

Waah Bhaijaan Waah kia gazab ka khayaal bayaaN
kiya hai aapne... LillaaH aapki is umdaa soch O khayaal ne
hume jazbaati kar dala Usual Smile Be ItehaaN khoob daad daad daad Usual Smile         


Bus khuch din ki bath hai phir to mera bhai La'ot ayega
Bahena apni palkon pe khuch khawb sajaye baithi hai

Masha Allah Bhaijaan gazab ke khayaal hai..
Tamaam rishtoN ko samet lete, Aik bhai ko bhi aur walid ko bhi.. Dil larajne laga hai aapke is kalaam se Usual Smile         


Rastah takte takte Tera uski ankhen  pathraeen
Ab tasveer "Qadeer" woh Teri dil se lagaye baithi hai

Waah waah waah kia sher ataa kiya hai aapne... Maqte meiN bhaijaan... HazaaroN daad behad umdaa aur gazab
ka sher hai daad Usual Smile         


qadeertoopchi

Bhaijaan tarif ke liye humare paas lafz nahi hai..
Bus dil se daad O mubarakbad kabul kijiye Usual Smile

Likhate rahiye... Bazm meiN aate rahiye.. Usual Smile
Khush O aabaad rahiye... Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile         

Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #5 on: August 11, 2011, 05:21:38 PM »
Reply with quote

ek muflish ki beti kitni aas lagaye baithi hai... sad10

Waaaahhhh...!!!

bahut khoob qadeer ji....

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sarfira
Guest
«Reply #6 on: August 12, 2011, 07:14:57 AM »
Reply with quote
qadeer sahab…
aapka kalaam to rula deta hai…
itne jajbati ehsaas hain ki bas…

hats off to u
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: August 12, 2011, 08:00:45 AM »
Reply with quote

Abdul Qadeer Sahab,

Waah waah bahut khoob...
Dili daad qubool farmaayen..

Satish Shukla 'Raqeeb'
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #8 on: August 12, 2011, 08:22:58 AM »
Reply with quote
Wah Wah Qadeer Ji

Bahut Khoob
Applause Applause Applause
Logged
-Khamosh-
Guest
«Reply #9 on: August 13, 2011, 06:56:21 PM »
Reply with quote
Kya baat hai Qadeer Saheb..
Dil ko hila kar rakh dia iss peshkash ne..
Ab ayenge jub ayenge , mere abbu sub layenge
Eak muflis ki beti kitni , aas lagaye baithi hai
Iss shaer par anginat daad..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:55:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer