eyk naya inqilaab lana hai

by Syed Mohd Mahzar on November 10, 2012, 07:37:07 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1382 times)
Syed Mohd Mahzar
Guest
Reply with quote
Khatra kishti ka dagmagana hai
gar na sambhle tou doob jana hai

qasbe tabdeel hue shahron me
gaon jo bhi hai woh purana hai

husn, daulat ki kiya haqeeqat hay
neyk kirdaar hi khazana hai

bhook, dahshat ka zikr ker ke mujhe
waqt ko aaiyna dikhana hai

bujh gaye phir ghareeb ke chulhe
eyk naya inqilaab lana hai

yeh chamak barq ki batati hay
phir nasheman koi jalana hai

tazkira zulm ka suno pahle
qissa mazloom ka sunana hai

zabt ki mere aazmaish hay
geet teri widai ka mujhko gana hai

aaj aana to mera mushkil hay
yeh tera roz ka bahana hay

kiya pata kal kaha pe deyra ho
hum faqeero ka kiya thikana hay
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
NAYA SAAL NAYA GHAM by main_aisa_hi_hoon in Shayri-E-Dard
dil ki bat zuba tak lana kitna mushkil he by sameer14112 in SMS , mobile & JOKES
NAYA SHER NAYA KHA_YAL LIKHEGE....... by sajid_ghayel in Shayri for Khumar -e- Ishq
Inqilaab by khalidrawat in Shairy-E-Watan
teri sada dili ka ehsas naya naya sa hai.... by ripan dev in Share:Miscellaneous Shayari
riyaz106
Guest
«Reply #1 on: November 10, 2012, 07:41:11 AM »
Reply with quote
Bahut murassa aur mukammal ghazal kahi hai Mahzar Sahab. Waise aapki sabhi ghazlein bahot achhi lagti hain. Main is koshish mein hun ke inse faizyaab hokar kuchh likun. Hazaron daad hazir hain. Ek Rau bhi.
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #2 on: November 10, 2012, 07:56:44 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
mehzar ji bahut khoobsoorat peshkash.....
daad hazir hai.....
Logged
Aarish
Guest
«Reply #3 on: November 10, 2012, 07:58:54 AM »
Reply with quote
Khatra kishti ka dagmagana hai
gar na sambhle tou doob jana hai

qasbe tabdeel hue shahron me
gaon jo bhi hai woh purana hai

husn, daulat ki kiya haqeeqat hay
neyk kirdaar hi khazana hai

bhook, dahshat ka zikr ker ke mujhe
waqt ko aaiyna dikhana hai

bujh gaye phir ghareeb ke chulhe
eyk naya inqilaab lana hai

yeh chamak barq ki batati hay
phir nasheman koi jalana hai

tazkira zulm ka suno pahle
qissa mazloom ka sunana hai

zabt ki mere aazmaish hay
geet teri widai ka mujhko gana hai

aaj aana to mera mushkil hay
yeh tera roz ka bahana hay

kiya pata kal kaha pe deyra ho
hum faqeero ka kiya thikana hay
bohut Khoob mehzar jee , mukammal ghazal kahi hai, har shair lajwab hai, sirf wah wah wah wah hi nikal raha hai...ek rau aap ke liye
Logged
khujli
Guest
«Reply #4 on: November 10, 2012, 08:05:56 AM »
Reply with quote
Khatra kishti ka dagmagana hai
gar na sambhle tou doob jana hai

qasbe tabdeel hue shahron me
gaon jo bhi hai woh purana hai

husn, daulat ki kiya haqeeqat hay
neyk kirdaar hi khazana hai

bhook, dahshat ka zikr ker ke mujhe
waqt ko aaiyna dikhana hai

bujh gaye phir ghareeb ke chulhe
eyk naya inqilaab lana hai

yeh chamak barq ki batati hay
phir nasheman koi jalana hai

tazkira zulm ka suno pahle
qissa mazloom ka sunana hai

zabt ki mere aazmaish hay
geet teri widai ka mujhko gana hai

aaj aana to mera mushkil hay
yeh tera roz ka bahana hay

kiya pata kal kaha pe deyra ho
hum faqeero ka kiya thikana hay


 Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #5 on: November 10, 2012, 08:46:55 AM »
Reply with quote
Bahut murassa aur mukammal ghazal kahi hai Mahzar Sahab. Waise aapki sabhi ghazlein bahot achhi lagti hain. Main is koshish mein hun ke inse faizyaab hokar kuchh likun. Hazaron daad hazir hain. Ek Rau bhi.
Riyaz saheb, shukriya ki aapko ghazal pasand aayi,aapki ittela ke liye arz hay ki main shayar nahi hoon, aapko meri kisi ghazal ya nazm me makhta nahi milega, bus shayri ka shauq hay....aapka mamnoon hoon ki aapne hausla afzai ki......
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #6 on: November 10, 2012, 08:48:48 AM »
Reply with quote

 Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower
    bahut: bahut: bahut: bahut: bahut:............shukriya
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #7 on: November 10, 2012, 08:49:58 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
mehzar ji bahut khoobsoorat peshkash.....
daad hazir hai.....
aapka bahut bahut shukriya......
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #8 on: November 10, 2012, 08:52:15 AM »
Reply with quote
bohut Khoob mehzar jee , mukammal ghazal kahi hai, har shair lajwab hai, sirf wah wah wah wah hi nikal raha hai...ek rau aap ke liye
aapka mamnoon hoon ki aapko meri ghazal pasand aayi........
Logged
aqsh
Guest
«Reply #9 on: November 10, 2012, 12:36:37 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
beautiful creation
Logged
soudagar
Guest
«Reply #10 on: November 10, 2012, 04:58:38 PM »
Reply with quote
wah janab bahut khubbahut hiii umda bahut hi lajawabbbbbbbbb.......... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #11 on: November 10, 2012, 04:59:59 PM »
Reply with quote
bahut khoob Applause Applause Applause
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #12 on: November 11, 2012, 02:55:56 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #13 on: November 12, 2012, 04:35:38 PM »
Reply with quote
bahut khoob Applause Applause Applause
  many many thanks.........
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #14 on: November 12, 2012, 04:38:26 PM »
Reply with quote
bahut khoob
   Bahut Bahut Shukriya.........
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:34:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer