Faqeer ... (by vb)

by vb on December 10, 2013, 10:32:12 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1325 times)
vb
Guest
«Reply #15 on: December 11, 2013, 09:37:18 PM »
Reply with quote
ishq e haqeeqi ko koi faqeer hi samjhe gaa vb jee,..
our faqr har kisee ko nahin miltaa,.......ye to den hai jiski jholi main maalik e haqeeqi daal de woh faqeer our uska wasf faqar,.................

laaiba jee! khawahish tu rehti hay hum aison ki bhe k kuch fuqr hamaray naseeb men bhe ayay... lekin kya karen ... baqol hamaray buzurg dost janab Ahmed Nadeem Qasmi.. "husn-e-insaaN say nibat loon tu wahan tak dekhoon" .. so hasrat he rahi...

is ghazal men bhe wohi hua hay jo hamesha har ishq-e-haqeeqi men likhi gai ghazal men hota hay... 2 sher hum ne likhay nahi k aglay sher javaab men aa gayay... mazeed javab bhe thay lekin bus buhat jee ko kara kar k hum ne aakhri sher men rukh mora hay... aur end... <sigh>
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
FAQEER...sheba by Sheba in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
mohabbat k amir ya faqeer by prashant622 in Shayri for Khumar -e- Ishq
laaiba
Guest
«Reply #16 on: December 11, 2013, 09:42:18 PM »
Reply with quote
jee bohat khoob ,.....ihsas ke behte lahoo main ish.q ki rawaani
behtee mehsoos ho rahee hai iss kalaam maiN bhee,.......
aapkee musafat aa.p hee jaante hain our gar iss raa.h ke musafir nahote toh yeh likh naa paate ,.........
our youn b ham se kam zarf iss zarf ke layiq nahin
 
kam zar.f zar.f ki baaten karte ache nahin lagte
yaaN bewafaa wafaa kaa dum bharte ache nahiN lagte

shaad rahiye
Logged
vb
Guest
«Reply #17 on: December 11, 2013, 09:55:08 PM »
Reply with quote
jee bohat khoob ,.....ihsas ke behte lahoo main ish.q ki rawaani
behtee mehsoos ho rahee hai iss kalaam maiN bhee,.......
aapkee musafat aa.p hee jaante hain our gar iss raa.h ke musafir nahote toh yeh likh naa paate ,.........
our youn b ham se kam zarf iss zarf ke layiq nahin
 
kam zar.f zar.f ki baaten karte ache nahin lagte
yaaN bewafaa wafaa kaa dum bharte ache nahiN lagte

shaad rahiye

buaht shukriya dobara visit karnay aur taareefi kalemaat chhornay ka... quoted text men hum jo dekh rahay hen wo aap k comments main nazar nahi aa raha hay... beher haal, yehi kahen gay k is raah k musaafir nahi hen hum, na manzil na raastay, yoonhi bhataktay huay may be is raastay say kuch guzar ho gaya ho..

lafz "hum" ka sahi istemaal kiya aap ne... hum apnay zarf say bhe sharminda he hen...
Logged
laaiba
Guest
«Reply #18 on: December 11, 2013, 10:01:04 PM »
Reply with quote
baad e saba jub chaltee hai to woh dikhayee nahin detee mager uski thandak mehsoos hotee hai, yuon hi aap bhatakte huye un rahon se guzre toh uska ihsas aapko choo gaya,........
our yeh bas ihsas ki hee baa.t hai warna yeh
ish.q hai kia uss zaat ki hee baat hai,........
 
Logged
vb
Guest
«Reply #19 on: December 11, 2013, 10:19:05 PM »
Reply with quote
theek kaha aap ne! ham shayad raah bhattak kar edher aa niklay hen... such poochhen tu is raah say dar buhat lagta hay hamen.. hum pehlay he bhatkay huay log hen aur is raah ka bhatkay ki na paaon k neechay zameen rehti hay aur na.. sar par aasmaan... so hum ne ghazal del kar di hay... ghalati hui thi hum say...
Logged
laaiba
Guest
«Reply #20 on: December 11, 2013, 10:24:10 PM »
Reply with quote
ghazal delete karne ka matlab aa.p iss raah main qadam rakh kar sharminda huye aur aa.p ne un ihsaasat ko mitane ki koshish ki jo
uss zaat e wahid ne aapko mehsoos karwana chahaa,...
agar itni c aagahee milli thee toh usko ganwaane ka shouq rakhte hain aa.p v b jee ,....issi liye main ne kaha thaa ke yaaN be wafaa wafaa kaa dum bharte ache nahi lagte,.....
shaad rahiye
Logged
vb
Guest
«Reply #21 on: December 11, 2013, 10:30:26 PM »
Reply with quote
ghazal delete karne ka matlab aa.p iss raah main qadam rakh kar sharminda huye aur aa.p ne un ihsaasat ko mitane ki koshish ki jo
uss zaat e wahid ne aapko mehsoos karwana chahaa,...
agar itni c aagahee milli thee toh usko ganwaane ka shouq rakhte hain aa.p v b jee ,....issi liye main ne kaha thaa ke yaaN be wafaa wafaa kaa dum bharte ache nahi lagte,.....
shaad rahiye

jee ... aisa he hay... agarche ye sharmindagi ki baat honi chahiyay lekin hum aap k thankful hen k aap ne comments kiyay.. aur hum ne jisay apni ghalti samjha, usay durust kiya...

or ye baat bhe sharmindagi k laaiq honi chahiyay, lekin hum tasleem kartay hen k aap ne bilkul sahi kaha tha... k "issi liye main ne kaha thaa ke yaaN be wafaa wafaa kaa dum bharte ache nahi lagte"..
Logged
laaiba
Guest
«Reply #22 on: December 11, 2013, 10:32:33 PM »
Reply with quote
khush qismat hain aa. joh ish.q ke aazaa.r se bach gaye,
shaad raheN aabad raheN
Logged
vb
Guest
«Reply #23 on: December 11, 2013, 10:35:12 PM »
Reply with quote
jee....

]:]
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:24:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer