Gair key waasitey dar par kharhey ho dahroun sey!

by abdbundeli on December 09, 2008, 01:33:33 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1088 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Mujh ko anjaanaa samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?
Eik afsaanah samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?

Gair key waasitey dar par kharhey ho dahroun sey!
Us ko durdaanah samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?

Bahr key eik kinaarey kharhaa huaa hoon mein;
Mouj ko aanaa samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?

Ye meyraa ghar hai; tumhaaraa bhi hai; azal sey hai!
Is ko tahkhaanah samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?

Ajnabee hongey? Magar, hain to wo ahbaab-o-aziiz!
Un ko beygaanah samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?

Yeh suroor-o-khumaar zindagee key pahloo hain:
Jaag, so jaanaa samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?

Ye meyraa dil hai, koyee khaak kaa paimaanah naheen;
Is ko weeraanah samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?

Ye nashah meyraa, may-e-chashm saa shaayistah hai:
Is ko, 'kho jaanaa' samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?

Koochah-e-yaar hai yeh: larhkharhaa rahaa hoon mein!
Rind mastaanah samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?

Mein khum-ae-sharbat-e-kousar hoon, aab-e-khizra abd!
Mujh ko maykhaanah samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?


                            - abd bundeli

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dil laganey / gair by Hasana in Shayri for Khumar -e- Ishq
Gair by Nino in Shayri-E-Dard
Woh jagtey hain hamaarey waasitey: bey-khouf sotey ham! by abdbundeli in Shairy-E-Watan
Ishq dahroun kaa thaa!! by abdbundeli in Kaifiyaat-ae-maye
Kab sey kharhey hain dar pai, guzaarish hai, aaiye! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pooja
Guest
«Reply #1 on: December 09, 2008, 10:08:58 PM »
Reply with quote
wah kay abaat hai Abd ji!!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: December 10, 2008, 03:35:48 AM »
Reply with quote
wah kay abaat hai Abd ji!!
Pooja ji! Thanks! I'm happy you liked it!
                         - abd bundeli
Logged
Deepati
Guest
«Reply #3 on: December 10, 2008, 05:03:00 AM »
Reply with quote
Mujh ko anjaanaa samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?
Eik afsaanah samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?

Gair key waasitey dar par kharhey ho dahroun sey!
Us ko durdaanah samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?

Bahr key eik kinaarey kharhaa huaa hoon mein;
Mouj ko aanaa samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?

Ye meyraa ghar hai; tumhaaraa bhi hai; azal sey hai!
Is ko tahkhaanah samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?

Ajnabee hongey? Magar, hain to wo ahbaab-o-aziiz!
Un ko beygaanah samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?

Yeh suroor-o-khumaar zindagee key pahloo hain:
Jaag, so jaanaa samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?

Ye meyraa dil hai, koyee khaak kaa paimaanah naheen;
Is ko weeraanah samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?

Ye nashah meyraa, may-e-chashm saa shaayistah hai:
Is ko, 'kho jaanaa' samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?

Koochah-e-yaar hai yeh: larhkharhaa rahaa hoon mein!
Rind mastaanah samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?

Mein khum-ae-sharbat-e-kousar hoon, aab-e-khizra abd!
Mujh ko maykhaanah samajhtey ho: ye kyaa kartey ho?


                            - abd bundeli




WAH WAH BAHUT KHOOB, ABD JI  Applause  Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: December 10, 2008, 06:12:41 AM »
Reply with quote
WAH WAH BAHUT KHOOB, ABD JI  Applause  Applause
Bahut-bahut shukriyah Deepati ji!
              - abd bundeli
Logged
nurepvr
Guest
«Reply #5 on: December 10, 2008, 06:45:53 AM »
Reply with quote
Tu mila to mili aisi jannat mujhe
Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

Mit gaye faasley kam hui dooriyan
Khatam honey ko hain saari majbooriyan
Waqt nay baksh di aisi rahat mujhey
Ab kisi aur rahat ki parwah nahi...

Janey kya kya hamein log kehtey rahey
Rooh tarapti rahi hans ke sehtey rahey
Jo tere pyaar ney di mohabbat mujhey
Ab kisi bhi mohabbat ki parwah nahi

Ek muddat isi kash- ma- kash mein rahi
Jis ki thi aarzoo baat wo ban gayi
Khawab lagtey hain saarey haqeeqat mujhey
Ab kisi bhi haqeeqat ki parwah nahi

Tu mila to mili aisi jannat mujhey
Ab kisi aur jannat ki perwah nahi
Logged
nurepvr
Guest
«Reply #6 on: December 10, 2008, 06:52:02 AM »
Reply with quote
hi,this is prv from friend ship village, r u come on with me,on waiting on nurepvr@gmail.com
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: December 10, 2008, 11:44:41 AM »
Reply with quote
Tu mila to mili aisi jannat mujhe
Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

Mit gaye faasley kam hui dooriyan
Khatam honey ko hain saari majbooriyan
Waqt nay baksh di aisi rahat mujhey
Ab kisi aur rahat ki parwah nahi...

Janey kya kya hamein log kehtey rahey
Rooh tarapti rahi hans ke sehtey rahey
Jo tere pyaar ney di mohabbat mujhey
Ab kisi bhi mohabbat ki parwah nahi

Ek muddat isi kash- ma- kash mein rahi
Jis ki thi aarzoo baat wo ban gayi
Khawab lagtey hain saarey haqeeqat mujhey
Ab kisi bhi haqeeqat ki parwah nahi

Tu mila to mili aisi jannat mujhey
Ab kisi aur jannat ki perwah nahi

hi,this is prv from friend ship village, r u come on with me,on waiting on nurepvr@gmail.com
nurepvr ji!
Your nazm is lovely. I'll be happy to communicate with you! You may also send your messages through yoindia's 'My Messages' at the top of its home-page.
                                     - abd bundeli

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:36:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer