Gareebi Boriye pe so Rahi hai ( Qadeertoopchi )

by qadeer_junaid on November 30, 2012, 04:43:17 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2048 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
Reply with quote
Yaarane bazm meri tazaah ghazal ke khuch sher aap hazraat ke hawale ...


Meri pahchaan jaise kho rahi hai
Mujhe tumse mahubbat ho rahi hai

Yaka yak kya hua hai zindagi ko
Mera daman pakad ke ro rahi hai

Ameeri narm bistar pe parishan
Gareebi buriye pe so rahi hai


Shafarat bhi hai khuddari ana bhi
Gareebi bhojh kitna dho rahi hai

Qadeer urdu ka aisa haal hai ab
Ghazal bhi sar patak ke ro rahi hai

Qadeertoopchi
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #1 on: November 30, 2012, 04:55:50 PM »
Reply with quote
Qadeer sahab bahut arse baad padha aapko, aur yahaaN pehli baar, behad khushi hui aapki qalam se dobara mukhatib ho ke, umeed karta huN ki aage aapko aur padhne ka mauka milta rahega, meri dili daad qubool farmaaiye....
Logged
mkv
Guest
«Reply #2 on: November 30, 2012, 05:06:30 PM »
Reply with quote
Yaarane bazm meri tazaah ghazal ke khuch sher aap hazraat ke hawale ...


Meri pahchaan jaise kho rahi hai
Mujhe tumse mahubbat ho rahi hai  Applause Applause Applause

Yaka yak kya hua hai zindagi ko
Mera daman pakad ke ro rahi hai  Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP

Ameeri narm bistar pe parishan
Gareebi buriye pe so rahi hai kya baat hai, bahut khoob


Shafarat bhi hai khuddari ana bhi
Gareebi bhojh kitna dho rahi hai  Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Qadeer urdu ka aisa haal hai ab
Ghazal bhi sar patak ke ro rahi hai  Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Qadeertoopchi
Qaadeer bhai
Is mukammal Ghazal par meri dil daad qubool kareN.
Aapki ghazloN ka intjaar rahta hai..
maqta ..kya khoob farmaaya...jitni bhi daad dee jaaye ..kam hai.
ek ek lafj..apni jagah par..maza aa gaya.
ameeri narm bistar pe pareshaaN.. kya kahne..
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #3 on: November 30, 2012, 05:15:30 PM »
Reply with quote
Qadeer sahab bahut arse baad padha aapko, aur yahaaN pehli baar, behad khushi hui aapki qalam se dobara mukhatib ho ke, umeed karta huN ki aage aapko aur padhne ka mauka milta rahega, meri dili daad qubool farmaaiye....

Azeezam Taish Sahib ,,,

Aapka tabsera mahubbat ka pata deta hai ,,,Apse sukhan fahm hazraat ki dad aabe hayat hai ...Apke husne zaan ko salam .....Allah ki zaat se umid hai ke aap ba khair honge ......Allah apko hamesha khush rakhe ..

Dua go

Qadeertoopchi
Logged
suman59
Guest
«Reply #4 on: November 30, 2012, 05:19:10 PM »
Reply with quote
Yaarane bazm meri tazaah ghazal ke khuch sher aap hazraat ke hawale ...


Meri pahchaan jaise kho rahi hai
Mujhe tumse mahubbat ho rahi hai

Yaka yak kya hua hai zindagi ko
Mera daman pakad ke ro rahi hai

Ameeri narm bistar pe parishan
Gareebi buriye pe so rahi hai


Shafarat bhi hai khuddari ana bhi
Gareebi bhojh kitna dho rahi hai

Qadeer urdu ka aisa haal hai ab
Ghazal bhi sar patak ke ro rahi hai

Qadeertoopchi

Wah bahut badiya likha hai aapne. hame bahut acha laga padkar... qadeertoopchi sb
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #5 on: November 30, 2012, 05:19:30 PM »
Reply with quote
Qaadeer bhai
Is mukammal Ghazal par meri dil daad qubool kareN.
Aapki ghazloN ka intjaar rahta hai..
maqta ..kya khoob farmaaya...jitni bhi daad dee jaaye ..kam hai.
ek ek lafj..apni jagah par..maza aa gaya.
ameeri narm bistar pe pareshaaN.. kya kahne..


Bhai Mukesh Sahib ,, Apka khat masool hua ,, Aur ye aapka mahubbat nama faqr o massarat ka baais bana ,,Aap bazat-e-khud eak ache shair hain ,, sahebe akhlaaq hi nahi balke sahebe ikhlaas bhi hain ,,, Aap ne gareeb ko amir ka amama pahena diya ....ye aapki la zawal mahubbate'n hain jo yun nawaz dete hain .....Dil ki ameeq gaheraiyun se aapka shukriyah ada karta hun ...Allah apko shad o abad rakhe ...salamat rahe'n ....khush rahe'n


Apka bhai

Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #6 on: November 30, 2012, 05:21:14 PM »
Reply with quote
Wah bahut badiya likha hai aapne. hame bahut acha laga padkar... qadeertoopchi sb

Mahutram Suman Sahibah ,, Aap tasveer me jitni khubsurat hai'n ussse kahin ziyada khubsurat aapke kalamaat hain jo apne is haqeer o faqeer ki ghazal ki tareef me kahe hain .....Apke huzoor sarapa sipaas hun ..Allah apko umre hawwa ata kare...
Logged
suman59
Guest
«Reply #7 on: November 30, 2012, 05:22:24 PM »
Reply with quote
Mahutram Suman Sahibah ,, Aap tasveer me jitni khubsurat hai'n ussse kahin ziyada khubsurat aapke kalamaat hain jo apne is haqeer o faqeer ki ghazal ki tareef me kahe hain .....Apke huzoor sarapa sipaas hun ..Allah apko umre hawwa ata kare...

shukriya sb itna shuddha urdu wordings padkar to mai dhanya huyi  Usual Smile
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: November 30, 2012, 05:27:34 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: November 30, 2012, 05:30:13 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #10 on: November 30, 2012, 05:31:56 PM »
Reply with quote
shukriya sb itna shuddha urdu wordings padkar to mai dhanya huyi  Usual Smile

Suman Sahibah Apsi malika-e-husn ki amad se mai bhi dhanya ho giya .....Magar aapne rau nahi diya mujhe ....Amir log khairat se gurez kyun karte hain ? dekhiye apke 41 rau hain aur mere 3 ...mai aapsa 38 gona nicha hun ...aap zara dhila choor ke 4 ya 5 rau meri janib uchal den mai lapak ke pakad longa .... ha ha ha ha
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #11 on: November 30, 2012, 05:33:35 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause

Hirday Sahib ,, Ye machini taliya'n bhi kamal hain ..bina awaz ke kaano me ras ghol rahi hain .....Badi inayat aapki ..Shukriyah
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #12 on: November 30, 2012, 06:01:47 PM »
Reply with quote
qadeer saheb.Arse baad aapki Yoindia Shayariadab per aamad se aur yeh khubsurat ghazal parh ke bahut khushi hui.Khas taur se haqeeqat ke akkas teesra sher aur maqta bahut pasand aaya.Ummeed hai ki agli peshkash ke liye zyada intezar nahi karaayeige.bahut mubarakbad.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #13 on: November 30, 2012, 06:14:36 PM »
Reply with quote
qadeer sahab yahaan kisi ko gurez nahi bas rau 8 ghantoN me ek hi diya jaa sakta hai, isi baat ki takleef hai is mukkamal ghazal ko rau se jaroor nawaazna chahiye aur yakeen maaniye kal subah aapki rau me izafa jaroor hoga...
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #14 on: November 30, 2012, 07:02:54 PM »
Reply with quote
Behtareen Qadeer saheb. Bahut achhi lagi aapki ye ghazal hamesha ki tarah.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:47:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.141 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer