Sonia01
Guest
|
«Reply #15 on: June 08, 2008, 02:42:35 PM » |
|
kuchh to mai.n bhii bahut dil kaa kamazor huu.N kuchh muhabbat bhii hai fitaratan badagumaa.N
tazakaraa ko_ii ho zikr teraa rahaa avval-e-aaKhirash daramiyaa.N daramiyaa.N
jaane kis desh se dil me.n aa jaate hai.n chaa.Ndanii raat me.n dard ke kaaravaa.N
Bashir Badr
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Sonia01
Guest
|
|
«Reply #16 on: June 20, 2008, 07:01:42 PM » |
|
apni hastee ka hota sabhi ko paas hai apni apni nazar maen har koi khaas hai
voh khushi jiski yaas maen gum umr sari gar sochho to vohi dil ke aaspaas hai
yun to sabhi apne apne safar ke musafir par ek hamsafar ki har kisi ko aas hai
tishnagi badhne lagi deedaare-yaar ki bujhti nahi jo kabhi ye voh pyaas hai
ladkhadati zubaan shikwaye-jaure-adoo hota nahi hamse zore-tarke-ikhlaas hai
hoga jahaan maen qayam aman kis tarah aadmi ko hi nahi aata aadmi raas hai
husno-ishq se pare aaj fikro-nazar meri pehlu maen tere dil phir bhi udaas hai
behis hui jati hai "fer" aalame-zindagi na khushi ab koi na ghame-ehsaas hai
hastee---existence yaas--search/separation husno-ishq----love and beauty fikro-nazar---thoughts/mindset tishnagi---thirst deedaare-yaar---to see the beloved shikwaye-jaure-adoo-----complaint of rival/foe zore---strength tarke-ikhlaas---to shun all civility qayam---lasting aman--peace behis---without feeling
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonia01
Guest
|
|
«Reply #17 on: June 20, 2008, 07:03:09 PM » |
|
khud hi sawaal aur khud hi jawaab sa hun maen jo naa samjhi gayi kabhi us kitaab sa hun maen
dekh to jaao kareeb se ke naayaab sa hun maen vaqt ke sehraa maen ubhra saraab sa hun maen
kuch dam ka hun mehmaan hubaab sa hun maen abhi to hun paas tere abhi dastyaab sa hun maen
aankhon se bahte ashko ka sailaab sa hun maen jo musalsal barastaa raha voh aab sa hun maen
tadbeeron ke banisbat nakaamyaab sa hun maen bigde huvey nasibon ka jaise hisaab sa hun maen
kahin paayaab hun to kahin sailaab sa hun maen aseere mauje-zeest ki ravani girdaab sa hun maen
baar baar na kah zaahid ke kharaab sa hun maen jo na aaunga phir haath voh sawaab sa hun maen
kisi ke dil maen sama jaata apna bhi dard zara apne hi haale-dil ka khud naqaab sa hun maen
apni hi khushboo se mehroom gulaab sa hun maen haqiqat ho kar bhi kyon "fer" khwaab sa hun maen
nayaab----rare saraab-----mirage hubaab----bubble dastyaab---accessible sailaab-----deluge musalsal----continuous barastaa----raining tadbeeron----deliberations banisbat----in spite of nakaamyaab-----unsuccessful hisaab----total zahid------wise man/pious man kharaab----bad sawaab----reward for good deeds paayaab-----ankle deep water aseer----captive mauj----wave zeest-----life ravani-----flow girdaab-----vortex naqaab----veil khushboo----fragnance mehroom-----devoid
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Sonia01
Guest
|
|
«Reply #19 on: June 20, 2008, 07:05:23 PM » |
|
Faiz Ahmed Faiz saahab kee ek bahot hi achee kalaam pesh-e-khidmat hai
ab ke yooN dil ko sazaa di hum ne uski har baat bhulaa di hum ne
ek ek phool bahot yaad aayaa shaakhN-e-gul jab woh jalaa di hum ne
aaj tak jis pe woh sharmaate hai baat woh kab kii bhulaa di hum ne
shahar-e-jahaaN raakh se adaab huwaa aag jab dil kee buzaa di hum ne
aaj phir yaad bahot aayaa woh aaj phir usko duaa di hum ne
koii to baat hai usmeN "Faiz" har khushee jis pe luTaa di hum ne
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonia01
Guest
|
|
«Reply #20 on: June 20, 2008, 07:06:00 PM » |
|
Nice sharing Sonia!! Thank you didi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonia01
Guest
|
|
«Reply #21 on: June 20, 2008, 07:10:43 PM » |
|
Jhuki Jhuki Si Nazar jhukii jhukii sii nazar beqaraar hai ki nahii.n jhukii jhukii sii nazar beqaraar hai ki nahii.n dabaa dabaa saa sahii dil me.n pyaar hai ki nahii.n tuu apane dil kii javaa.N dha.Dakano.n ko gin ke bataa merii tarah teraa dil beqaraar hai ki nahii.n vo pal ke jis me.n muhabbat javaan hotii hai us ek pal kaa tujhe i.ntazaar hai ki nahii.n terii ummiid pe Thukaraa rahaa huu.N duniyaa ko tujhe bhii apane pe ye aitabaar hai ki nahii.n
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #22 on: June 20, 2008, 07:14:29 PM » |
|
wah kaya baat hai.. kabhi kisi ne yah song sunaya tha mujhe Bekarar jee aor app na jaane kis kis yaadon mai le ja rahe ho!! Good sharing!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonia01
Guest
|
|
«Reply #23 on: June 21, 2008, 02:39:37 AM » |
|
wah kaya baat hai.. kabhi kisi ne yah song sunaya tha mujhe Bekarar jee aor app na jaane kis kis yaadon mai le ja rahe ho!! Good sharing!!! hehehe wo jhuki jhuki si wala gazal... mere dad ka fav hai didi.. jab mai yahan posting kar rahi thi wo sun rahe they.. isliye wo bi yahan pe post kardiya... .. aur dad ko dikhaya ... papa bi khush unki beti bi khush...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonia01
Guest
|
|
«Reply #24 on: June 28, 2008, 03:41:01 PM » |
|
us ki ankhon main ik thakaawat si hai us ki baton main ik ghulawat si hai Wo Dilse rehta hai kabida khatir Per labon rehti muskarahat si hai Wo hai bohat sada aur bawaqar lakin Us ki sadgi main bhi ik sajawat si hai Us ki guftugu main hai haqiqat ka rang Warna ab her cheez milawat si hai Wo tu kab ka ja chuka hai lakin Us ke aane ki phir kion ahat si hai Khuda kare us ka khuloos ho sacha Warna tho ab her cheez main milawat si hai
(NM)
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #25 on: June 28, 2008, 03:43:59 PM » |
|
Nice sharings Sonia !
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sarthika
Guest
|
|
«Reply #26 on: June 30, 2008, 03:06:21 AM » |
|
nice collection sonia
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Sonia01
Guest
|
|
«Reply #28 on: June 30, 2008, 05:04:44 PM » |
|
Celmira/Sarthika and sajeev bhaiya aap sab ko.. bahut bahut thanks aap sab ne mera collections pasand kiya. Thank you very much jee
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonia01
Guest
|
|
«Reply #29 on: June 30, 2008, 05:07:13 PM » |
|
zamaanaa aaj nahii.n Dagamagaa ke chalane kaa sambhal bhii jaa ki abhii vaqt hai sambhalane kaa
bahaar aaye chalii jaaye phir chalii aaye magar ye dard kaa mausam nahii.n badalane kaa
ye Thiik hai ki sitaaro.n pe ghuum aaye hai.n magar kise hai saliqaa zamii.n pe chalane kaa
phire hai.n raato.n ko aavaaraa ham to dekhaa hai galii galii me.n samaa.N chaa.Nd ke nikalane kaa
tamaam nashaa-e-hastii tamaam kaif-e-vajuud vo ik lamhaa tere jism ke pighalane kaa
By : Jaan Nisar Akhtar
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|