Gazal ..... Sonia's Collections.

by Sonia01 on June 02, 2008, 02:40:57 AM
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Author  (Read 3843 times)
Pooja
Guest
«Reply #30 on: June 30, 2008, 05:08:14 PM »
Reply with quote
nice sharing Sonia!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**My New Year SMS & Mixed Collections** by Shafiquzzaman Khan UZZAL in SMS , mobile & JOKES « 1 2 ... 5 6 »
My Collections by riya_shah21 in SMS , mobile & JOKES
6 week , 6 month , 6 years, of marriage.... my collections.. by punam in SMS , mobile & JOKES « 1 2 ... 9 10 »
my collections!!!!! by ZIddi~Ladki in Shayri for Dard -e- Judai
HAPPY BIRTHDAY SONIA JI. by madhuwesh in The Wishes and Celebrations
Sonia01
Guest
«Reply #31 on: June 30, 2008, 05:08:54 PM »
Reply with quote
Khud apne liye baith ke sochenge kissi din
Yun hai ki tujhe bhool ke dekenge kissi din

Bhatke hue phirte hain kayi lafz jo dil mein
Duniyaa ne diyaa waqt toh likhenge kissi din

Hil jaayenge ik baar toh arshon ke dar-o-baam
Yeh khaaknasheen log jo bolenge kissi din

Aapas ki kissi baat ka milta hi nahin waqt
Har baat yeh kehte hain ke bathing kissi din

Ae jaan teri yaad ke be-naam parinde
Shaakon pe mere dard ki utrenge kissi din

Jaati hai kissi jheel ki gehraayi kahaan tak
Aankhon mein teri duub ke dekhenge kissi din

Khusboo se bhari shaam mein jugnu ke qalam se
Ik nazm tere vaaste likhenge kissi din

Soyenge teri aankh ki khlvat mein kissi raat
Saaye mein teri zulf ke jaagenge kissi din

Khushboo ki tara, asl-e-sabaa khaak numaa se
Galiyon mein tere shaher ki guzrenge kissi din

“Amjad” hai yahi ab ke qafan baandh ke sar se
Uss sheher-e-sitamgaar mein jaayenge kissi din

Amjad Islam Amjad
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #32 on: June 30, 2008, 05:10:16 PM »
Reply with quote
Thank you very much Pooja didi
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #33 on: June 30, 2008, 05:11:18 PM »
Reply with quote
Tumse Milkar Kuch Naye Rishte Maine Paaye Hai
Rishton Ke Naye Maayne Tumne Sikhaye Hai

Tumme Jina Ka Ek Andaaz Maine Dekha Hai
Tumhare Nazron Se Aagaz Maine Dekha Hai

Bhola Bhola Bhala Man Ka Ek Bachha Hai
Bhaut Massom Aur Dil Ka Bhaut Achha Hai

Sabke Dukh Mai Saath Tumne Nibhate Ho
Sabhi Rishton Ko Bakhoobi Nibhate Ho

Dua Ki Har Pal Tum Kush Raho
Hamesha Hanso Tum Haesha Muskaro
Duniya ko jina tum jaao sikhao

Tumhare liye dua bus yahi hai
Tum sada muskarao tum sada muskarao

Author : Not known
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #34 on: July 01, 2008, 12:02:06 AM »
Reply with quote
duniyaa ne ham pe jab ko_ii ilzaam rakh diyaa
ham ne muqaabil us ke teraa naam rakh diyaa

ik Khaas had pe aa ga_ii jab terii beruKhii
naam us kaa ham ne gardish-e-ayyaam rakh diyaa

mai.n la.D_kha.Daa rahaa huu.N tujhe dekh-dekh kar
tuune to mere saamane ik jaam rakh diyaa

kitanaa sitam_zariif hai vo saahib-e-jamaal
us ne diyaa jalaa ke lab-e-baam rakh diyaa

insaan aur dekhe baGair us ko maan le
ik Khauf kaa bashar ne Khudaa naam rakh diyaa

ab jis ke jii me.n aaye vahii paaye raushanii
ham ne to dil jalaa ke sar-e-aam rakh diyaa

kyaa masalahat_shanaas thaa vo aadamii 'Qateel'
majabuuriyo. n kaa jis ne vafaa naam rakh diyaa
Logged
Pooja
Guest
«Reply #35 on: July 01, 2008, 07:24:03 PM »
Reply with quote
nice sharing Sonia!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #36 on: July 01, 2008, 07:25:05 PM »
Reply with quote
Nice Sharings Sonia
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #37 on: July 04, 2008, 12:17:20 AM »
Reply with quote
Bahut bahut thank you Pooja didi and Celmira
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #38 on: July 04, 2008, 12:19:07 AM »
Reply with quote
Aaj unke aane ki khabar se dil jawaaN hua
Hai dil me ik lahar si yun roshan samaaN hua

Takte ho jiski raah shab o roz tum yahaaN
Wo kab ka is jahaaN e fanaa se ravaaN hua

Jaate the kabhi bazm e sukhan ham bhi shauq se
Maara yun ishq ne ki dil ye bezubaaN hua

Taa-umr mehfiloN se ham ko khaak hi milee
Dushman nahi yaa rab na koi raazdaaN hua

Na apna koi ghar na thikana hai dahar me
Dhal jaaye din jahaaN wo apna aashiyaaN hua

Ham hain dayaar e gair me khoye se is kadar
Poocho ne ai damsaaz aaj ham ko kya hua

Jaaoge Dilli behaya hokar ke tum
Dekhenge log gar na tumse kuch bayaaN hua

Author : Not Known
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #39 on: July 04, 2008, 12:20:43 AM »
Reply with quote
Mere dost zindagi bhar mujhe yun hi pyar karna,
Main tujhe dagha na doongi mera aitbaar karna.

Abhi meri kismaton ka hai sitara gardhishon mein,
Mere dost kuch dinnon tak mera intizar karna.

Ab tod do yeh shishe mere kaam ke nahin hain,
Mere pass jab nahin tum bhala kya shringar karna.

Yehi aarzoo hai ab tho mere baad zindagi mein,
Ke tu phir kabhi kissi se na nigaah char karna.

(NM)
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #40 on: July 04, 2008, 12:22:01 AM »
Reply with quote
Tum kia janon yaaddo mai kho kar ankahin kitna roti hain.
dil mai apnoon may dard somo kar ankhain kitna roti hain.

tum kia jano sawal ka mosam kitni agg lagata hai.
barish ki bondoon ko cho kar ankahin kitna rotin hain.

ab to choti si bat par bhi yeh dil bhar sa jata hai.
halki si dil ko lagti hai thokar ankahin kitna rotin hian.

Ab to yeh jina bhi hum ko koi boojh sa lagta hai.
din bhar is bar ko dho kar ankahin kitna rotin hain.

zakham zakham hain ankhain meri maazi ki parchai say.
apnay under lahoo dobo kar ankhain kitna rotin hain.

tum aik dunya nayi gaye ho tum ko kia ehsaas.
in rahoon mai tanha si ho kar ankhain kitna rotin hain 
  (NM)
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #41 on: July 04, 2008, 12:23:13 AM »
Reply with quote
Raaz ki baatain likhin aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyun rusvaiyon ka silsila rehnay diya

Umar bhar meray saath reh kar woh na samjha dil ki baat,
Do dilon kay darmiyan ek faasla rehnay diya !

Apni fitrat woh badal paaya na iskay bawajood,
Khatam ki ranjish magar gila rehnay diya !

Main samajhti thi khushi degi mujhay `Sabir' fareb,
Isliye mainay ghamon say raabta rehnay diya !

Raaz ki baatain likhin aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyun rusvaiyon ka silsila rehnay diya !
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #42 on: July 05, 2008, 02:07:11 PM »
Reply with quote
vuh rut bhii aaii kih maiN phuul kii sahelii hu'ii
mahak meN champaa kalii, ruup meN chaNbelii hu'ii

maiN sard raat kii barkhaa se kyoN nah pyaar karuuN
yih rut to hai mire bachpan kii saath khelii hu'ii

zamiiN pih paaNo nahiiN paR rahe takabbur se
nigaar-i-Gham koii dulhan na'ii navelii hu'ii

vuh chaaNd ban ke mire saath saath chaltaa rahaa
maiN us ke hijr kii raatoN meN kab akelii huii

jo Harf-i-saadah kii suurat hameshah likkhii ga'ii
vuh laRkii tere liye kis tarH pahelii hu'ii

Parveen Shaakir
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #43 on: July 06, 2008, 10:35:54 AM »
Reply with quote
Socha naheen accha bura
Dekha suna kuch bhee naheen
Manga khuda say hur waqt
Teray siwa Kuch bhee naheen!
Dekha tujhey chaha tujhey
Socha tujhey pooja tujhey
Meri wafa meri khata
Teri khata kuch bhee naheen!
Jis par hamari aankh nay
Moti bichayey raat bhar
Bhaija wahee kaghaz usay
Ham nay likha Kuch bhee naheen
Aur aik shaam kee dehleez per
Baithay rahay woh dair tak
Aankhon say kee batain bohat
Munh say kaha kuch bhee naheen!
Do chaar din kee baat hay
Dil khak mein mil jaeyey ga
Aag per jab kaghaz rakha
Baqee bacha Kuch bhee naheen
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #44 on: July 06, 2008, 10:36:49 AM »
Reply with quote
Zaroori To Nahi……

Tum Nay Jisay Toot K Chaha, Jis Ko Bay Intehaa Piyaar Kia
Tum B Waisi Hi tawakoo Rakhoo Theek Hai
Laikin Woo Piyaar Oor Intehaa Tum Ko B Milay Zaroori To Nahi
Jis Ko Paanay K Liay Chupkay Chupkay Din Raat Ansoo Bahay
Tumharay Liay Uss Ki Aankh Ka B Num Hona Zaroori To Nahi   
Piyaar Kar K To Daikhoo Aaingi Hazaar Rakawtain
Piyaar Main Paar Kar Loo Gay Tum Unn Sab Ko
Laikin Phir B Tum Ko Piyaar Mil Jay Zaroori To Nahi
Jo Jazba Tumharay Dil Main Hai Uss Ko Paa Lainay Ka Uss Ki Chahat Ka
Woo B Tumhari Chahat Main Bayqaraar Hoo, Aisa Hona Zaroori To Nahi
Dilo Jaan Say Chahtay Hoo Tum,
Jaan B Do Gay Tum Apnay Piyaar K Liye
Laikin Aisa Karne Ke Baad B
Tumhe Tumhari  Jaan Milay Yeh B Kooi Zaroori To Nahi
Pyaar To Wo Jazba Hai Jo Dil Se Parwaan Charta Hai
Aur Phir Badta Hee Rehta Hai
Iss Main Manzil Paa Lena Zaroori To Nahi
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 05:48:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer