Gazal ..... Sonia's Collections.

by Sonia01 on June 02, 2008, 02:40:57 AM
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Author  (Read 3842 times)
Sonia01
Guest
«Reply #45 on: July 06, 2008, 10:37:32 AM »
Reply with quote
Dil Ki Chokhat Pey....!!!

Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai
Tere laut aane ka imkaan saja rakha hai
Saans tak bhi nahin lete hain tujhe sochte waqt
Hum ne is kaam ko bhi kal pe utha rakha ha
Tum jise rota hua chhorr gaey the ek din
Hum ne us shaam ko seeney se laga rakha hai
Chein lene nahin deta yeh kisi tor mujhe
Teri yaadon ne jo toofaan utha rakha hai
Jaane waale ne kaha tha ke woh laut aaey ga zaroor
Ek isi aas pe darwaaza khula rakha hai
Tere jaane se jo ek dhool uthi thi ghum ki
Hum ne us dhool ko aankhon mein bassa rakha hai
Mujh ko kal shaam se woh bohat yaad aane laga
Dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai
Aakhri baar jo aaya tha mere naam jo khat
Mein ne is khat ko kalejey se laga rakha hai…!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**My New Year SMS & Mixed Collections** by Shafiquzzaman Khan UZZAL in SMS , mobile & JOKES « 1 2 ... 5 6 »
My Collections by riya_shah21 in SMS , mobile & JOKES
6 week , 6 month , 6 years, of marriage.... my collections.. by punam in SMS , mobile & JOKES « 1 2 ... 9 10 »
my collections!!!!! by ZIddi~Ladki in Shayri for Dard -e- Judai
HAPPY BIRTHDAY SONIA JI. by madhuwesh in The Wishes and Celebrations
Sonia01
Guest
«Reply #46 on: July 06, 2008, 10:38:32 AM »
Reply with quote
Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
Gham ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya
Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay derd-e-dil, Dil main kis nay jagaya
Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya
Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya
Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya
Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya
Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya
Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya
Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya
Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #47 on: July 13, 2008, 11:19:50 AM »
Reply with quote
Dil Ki Suno Ge

Agar Jo Dil Ki Suno Ge Tu Haar Jao Ge,
Hum Jaisa Pyaar Phir Kahan Pao Ge..

Jaan Daine Ki Baat Tu Her Koi Karta Hai,
Zindagi Banane Wala Kahan Se Laao Ge..

Jo Ek Nazar Dekho Ge Tum Humain,
Tu Har Taraf Sirf Hum Hi Ko Paao Ge..

Yaqeen Apni Mohabbat Per Itna Hai Mujhe,
Meri Chahat Ko Dekho Ge To Laut Aao Ge..

Meri Ankhon Ke Samandar Main Doob Gaye Agar,
Kahin Jana Bhi Chaho Ge Tu Na Ja Paoo Ge..
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #48 on: July 13, 2008, 11:21:20 AM »
Reply with quote
Bewafai ki yeh inteha ho gai
Tum bin jeene ki aadat ho gai

Haathon mei kangan khanke,
Kaano mei baali, baaton baaton mei baat tal gai

Ruh arzoo thee bas itni hee
Hua yeh gazab dil ki dil mei reh gai

Aye mere sanam kaise bane ab gazal
Rote rote Yu hii raat dal gaii

Tamanna phir kyu machalne lagi
Baat ajnabi ki mann mein bas gai

Kyon khafa khafa see yeh dhoop hai
Bebasi koii dil mei sulgati reh gai

Kis se kahein ki dil be-haal hai
Teri kami achanak ab humhe kha gai
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #49 on: July 13, 2008, 11:23:25 AM »
Reply with quote
Aankh se aankh mila baat banaata kyon hai
Tum agar mujh se khafaa hai toh chupaata kyun hai

Ghair lagta hai na apnon ki terah milta hai
Tu zamaane ki terah mujh ko sataata kyon hai

Waqt ke saath halaat badal jaate hain
Yeh haqeeqat hai magar mujh ko sunaata kyun hai

Ek muddat se jahaan kaafile guzzre hi nahin
Aisa raahon per chiraag jalaata kyun hai.
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #50 on: July 13, 2008, 11:26:26 AM »
Reply with quote
Jaate Jate Woh Mughe Achi Kahani De Gaya
Umar Bhar Sunaoon Aisi Kahani De  Gaya

Uss Se Mein Kuch Pa Sakoon Aisi Kahan Umeed Thi
Gham Bhi Woh Shayad Barae-E-Maherbani De Gaya

Sab Hawaein Le Gaya Mere Samandar Ki Koi
Aur Mughe Ko Aik Kashti Badbani De Gaya

Khair Mein Piyasa Raha Per Iss Ne Itna To Kiya
Meri Palkon Ki Kataron Ko Wooh Paani De Gaya
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #51 on: July 13, 2008, 12:42:00 PM »
Reply with quote
Jaate Jate Woh Mughe Achi Kahani De Gaya
Umar Bhar Sunaoon Aisi Kahani De  Gaya

Uss Se Mein Kuch Pa Sakoon Aisi Kahan Umeed Thi
Gham Bhi Woh Shayad Barae-E-Maherbani De Gaya

Sab Hawaein Le Gaya Mere Samandar Ki Koi
Aur Mughe Ko Aik Kashti Badbani De Gaya

Khair Mein Piyasa Raha Per Iss Ne Itna To Kiya
Meri Palkon Ki Kataron Ko Wooh Paani De Gaya


 Applause nice collections sonia...
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #52 on: July 13, 2008, 04:12:28 PM »
Reply with quote
Thanks Honeyrose Jee.
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #53 on: July 13, 2008, 04:14:09 PM »
Reply with quote
Gazal : Brijinder Singh Jee

Woh mujh se yoon daaman chhuRaane lagay
Ki guzray huyay din fasaane lagay

Jo kal tak muhabbat ka izhaar the
Wahi ab hawas ke bahaane lagay

Lagaa`o na pehre yooN khushbu`oN par
HaiN haasil meN jin kay zamaane lagay

Pighal jaate baahoN maiN jo the kabhii
Bahut faasle ab banaane lagay

Guzishta jo shab ka hai aayaa khayaal
Woh sharma ke ankheiN jhukaane lagay.

Jo poochhaa to keh daalii hai dil kii baat
Na kehna tujhe ab rulaane lagay
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #54 on: July 15, 2008, 01:04:42 PM »
Reply with quote
Tere Daaman Kii Hawaa MaaNgte Hain,
Ham Bhii Jiine Kii Duwaa MaaNgte Hain.......

*Mutribo Koii Achhoutaa NaGmaa,
Saaz Aahang-o-Sadaa MaaNgte Hain.......
*Mutrib: Singer**

Maah-o-Anjum Ke Jharoke Aksar,
Kisii Ke Aariz Kii Duwaa MaaNgte Hain.......

Phir Patangon Mein Khudaa_ii Jaagii,
Shole Hashr-Numaa MaaNgte Hain.......

Bandaa-Parwar Koii Khairaat Nahiin,
Ham Wafaaon Kaa Silaa MaaNgte Hain.......

Maikadaa Ho Ke *Kaleesaa "Sagar"
Saarii Duniyaa Kaa Bhalaa MaaNgte Hain...**

*Church**


Writer: Sagar Siddiqi Jee
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #55 on: July 15, 2008, 01:06:34 PM »
Reply with quote
Iss dil ne Terey Baad Mohabbat bhi nahi ki
Had yeh ke Dhadakney ki Jisaarat bhi nahi ki

Tabeer ka Aijaaz Hua hai Ussey Hasil
Jis ne Merey Khwabo mein Shirkat bhi nahi ki

Ulfat to Badi Baat hai Ham se to Sar-e-Shehar
Logo'n ne Kabhi Dhang se Nafrat bhi Nahi ki

Aadaab-e-Safar Ab Wo Sikhatey Hain Jinhoo'n ne
Do Chaar Qadam Tay Yeh Musaafat bhi nahi ki

Kya Apni Safaayi mein Bayaan dete ke Hamne
Na Karda Gunaahi ki Wazaahat Bhi Nahi Ki

Khaamosh Tamashayi ki Maanind Sar-e-Bazm
Sou Zakham Sahey Dil pe , Shikaayet bhi Nahi ki

Iss Ghar ke Sabhi Log Mujhey Chodney Aaye
Dehleez talak Uss ne Yeh Zehmat bhi Nahi ki

Uss ne bhi Ghulaamoo'n ki Safoo'n mein Hamein Rakha
Iss Dil pe Kabhi Jis ne Hukoomat bhi Nahi Ki

( author Unknown)
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #56 on: July 15, 2008, 01:08:00 PM »
Reply with quote
Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane Ko
Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko
Chalega Mehfil Me Jab Zikr Hamara Koi
To Tum Bhi Tanhayi Dhundoge Aansu Bahane Ko

Woh Nadiyan Nahi Aansu They Mere
Jinpar Woh Kashti Chalate Rahe
Manzil Mile Unhein Yeh Chahat Thi Meri
Isliye Hum Aansu Bahate Rahe

Koi Dikah Ke Roay Koi Chupa Ke Roay
Hamein Rulane Wale Hameain Rula Ke Roay
Marne Ka Maza To Tab Hai
Jab Qatil Bi Janaze Pe Aa Ke Roay

Author : Not known
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #57 on: July 15, 2008, 01:09:52 PM »
Reply with quote
Tere Khushbuu me.n base Khat mai.n jalaataa kaise
jin ko duniyaa kii nigaaho.n se chhupaaye rakhaa
jin ko ik umr kaleje se lagaaye rakhaa
diin jin ko, jinhe.n iimaan banaaye rakhaa
[diin=religion]


Jin kaa har lafz mujhe yaad thaa paanii kii tarah
yaad the mujh ko jo paiGaam-e-zubaanii kii tarah
mujh ko pyaare the jo anmol nishaanii kii tarah


Tune duniyaa kii nigaaho.n se jo bachakar likhe
saalahaa-saal mere naam baraabar likhe
kabhii din me.n to kabhii raat me.n uThakar likhe
[saalahaa saal=year after year]


Tere Khushbuu me.n base Khat mai.n jalaataa kaise
pyaar me.n Duube huye Khat mai.n jalaata kaise
tere haatho.n ke likhe Khat mai.n jalaata kaise


Tere Khat aaj mai.n gangaa me.n bahaa aayaa huu.N
aag bahate huye paanii me.n lagaa aayaa huu.N

Rajendra Nath Rahbar
Logged
gazallover
Guest
«Reply #58 on: June 01, 2012, 08:43:08 PM »
Reply with quote
Ranjish hi sahi dil hi dukhanay ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa
pehele se maraasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahay duniya hi nibhaanay ke liye aa
kis kis ko bataayengee judaai kaa sabab hum
tu mujh se khafaa hai to zamaane ke liye aa
kuchh to meri pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa
ek umr say hun lazzat-e-giryaa se bhi mehruum
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaanay ke liye aa
ab tak dil-e-khush_feham ko hai tujh se ummeedain
ye aakhari shammain bhi bujhaane ke liye aa
-----------------------------------------------
Jab kabhi tera naam lete hain
Dil se hum intekaam lete hain
  
Meri barbaadiyon ke afsaane
Mere yaaron ke naam lete hain
  
Bas yahi ek zurm hai apna
Hum mohabbat se kaam lete hain
  
Har kadam par gire magar seekhaa
Kaise girton ko thaam lete hain
  
Ham bhatak kar zunoon ki raahon mein
Akl se intekaam lete hain..


Gr8 going Sonai..good too see people loving gazals..

Deba
throughmynikon@gmail.com
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 05:32:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer