*Gazal*

by Roja on September 03, 2007, 03:06:35 AM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 23
ReplyPrint
Author  (Read 18027 times)
Roja
Guest
«Reply #150 on: May 09, 2009, 03:04:23 AM »
Reply with quote
Her taraf ghayal ujala raat tufanon ki hai
Aaj fir niyat buri is ghar ke darbanon ki hai

Fir gira mausam fisal ker desh ka hum kya kahe
Kuch to daldal ki hai sajish, kuch to chattanon ki hai.

Dard ki siyahi se cheron per likha pad lijiye
Ghoont ber paani ki chahat pet ber daanon ki hai

Her kadam rakhne se pehle ab izazat chahiye
Ek nirdhan desh mein yeh sadak dhanwanon ki hai

Aadmi koyi nahi hum ghoom aaye her gali,
Ya toh basti Hinduwon ki ya Musalmanon ki hai

Phool ka khilna na roko, phool ko khilne to do
Waqt ko behad zarurat aaj muskanon ki hai..


(Love You Angel... )

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
gazal by Aanand in Shayri-E-Dard
ek gazal..... by amritflora in Shayari-e-Parastish
gazal by seema muntezir in Poetry on Nature in Punjabi
Gazal by shad in Share Poetry You Like
angel4u
Guest
«Reply #151 on: May 09, 2009, 03:12:10 AM »
Reply with quote

I dont know what to say after this.... really a very very good work. Applause

Logged
aaina
Guest
«Reply #152 on: May 09, 2009, 04:24:22 AM »
Reply with quote
Her taraf ghayal ujala raat tufanon ki hai
Aaj fir niyat buri is ghar ke darbanon ki hai

Fir gira mausam fisal ker desh ka hum kya kahe
Kuch to daldal ki hai sajish, kuch to chattanon ki hai.

Dard ki siyahi se cheron per likha pad lijiye
Ghoont ber paani ki chahat pet ber daanon ki hai

Her kadam rakhne se pehle ab izazat chahiye
Ek nirdhan desh mein yeh sadak dhanwanon ki hai

Addmi koyi nahi hum ghoom aaye her gali,
Ya toh basti Hindiwon ki ya Musalmanon ki hai

Phool ka khilna na roko, phool ko khilne to do
Waqt ko behad zarurat aaj muskanon ki hai..


(Love You Angel... )



great work roja bhut hi acha likha hai aakhri do shair to aapne gazab hi keh diye kya baat hai waah.......dil se daad hazir hai is paishkash ke liyn...............keep writing.........
Logged
Roja
Guest
«Reply #153 on: May 09, 2009, 03:36:29 PM »
Reply with quote

I dont know what to say after this.... really a very very good work. Applause

Tujhe padkar accha laga yehi mai chahti thi. Thanks Angel
Logged
Roja
Guest
«Reply #154 on: May 09, 2009, 03:37:11 PM »
Reply with quote
Waah bahot khoob Roja ji..har ash'ar ek alag rang me likha aapne..very nice.. Clapping Smiley Clapping Smiley

Shukriya @kaash ji
Logged
Roja
Guest
«Reply #155 on: May 09, 2009, 03:38:08 PM »
Reply with quote
great work roja bhut hi acha likha hai aakhri do shair to aapne gazab hi keh diye kya baat hai waah.......dil se daad hazir hai is paishkash ke liyn...............keep writing.........

Bahut bahut shukriya Aslam ji.
Logged
Roja
Guest
«Reply #156 on: May 10, 2009, 03:56:31 PM »
Reply with quote
Sapnon se her zameen ki behat hai dhooriyan
Dilli se deen-heen ki behat hai dhooriyan

Vishwas kya hua kahi dikhta nahi hame,
Insaan se yakeen ki behat hai dhooriyan

Ghode khule huye hai sawaron ko baandh ke,
Ghode se aaj jeen ki behat hai dhooriyan

Kehne ko bahut pass padosi hai hum magar,
Bharat se aaj Cheen ki behat hai dhooriyan

Sangeet ki talash mein nikle the hum kabhi,
Geeton se aaj been ki behat hai dhooriyan

Jeevan mila hai kuch ko tadapne ke mol per,
Paani se aaj meen ki behat hai dhooriyan

Ekkeesvi(21st) sadi ka shor hai magar yahan
Pracheen se naveen ki behat hai dhooriyan..

Logged
Roja
Guest
«Reply #157 on: May 13, 2009, 03:53:55 PM »
Reply with quote
Benam dayaron ka safer kaisa laga hai
Ab laut ke aaye ho toh ghar kaisa laga hai?

Kaisa tha wahan garam dhoop mein julasna
Bersaat-ruthon ka ye nagar kaisa laga hai?

Din mein bi dehal jaati hu aabaad gharon se
Saya-sa mere saat ye darr kaisa laga hai?

Honton pe saji huyi khamosh sada(aawaz) ka
Aankhon ke dareechon se guzer kaisa laga?

Aangan mein lagaya tha shezer(ped) chaav se maine
Fhalne pe jo aaya toh fhal (fruit) kaisa laga hai?

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #158 on: May 14, 2009, 05:50:42 AM »
Reply with quote

Har taraf ghayal ujala, raat tufanon ki hai!
Aaj fir niyat buri in ghar ke darbanon ki hai!!

Fir gira mausam fisal kar desh ka, ham kya kahen?
Kuch to hai daldal ki sajish, kuch to chattanon ki hai!

Dard ki syahi se chehron par likha padhh lijiye;
Ghoont bhar paani ki chahat, pet bhar daanon ki hai!

Har kadam rakhne se pehle ab izazat chahiye;
Ek nirdhan desh mein, yeh sadak dhanwanon ki hai!


Aadmi koyi nahin, ham ghoom aaye har gali,
Ya to basti Hindiwon ki, ya Musalmanon ki hai!

Phool ka khilna na roko, phool ko khilne to do;
Waqt ko behad zarurat aaj muskanon ki hai!!



(Love You Angel... )



Roja! You're lovely! The intensity of your honest feelings touches the heart right to its core! This is certainly a commendable piece of your poems!
                              - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #159 on: May 14, 2009, 06:16:33 AM »
Reply with quote

Benam dayaron ka safer kaisa laga hai?
Ab laut ke aaye ho toh ghar kaisa hai?


Kaisa tha wahan garm hawaaoun mein jhulasna?
Barsaat-ruton ka ye nagar kaisa laga hai?

Din mein bhi dahal jaati hun aabaad gharon se!
Saya-sa mere saath ye dar kaisa laga hai?

Honton pe saji yaar ki khamosh sada sun,
Aankhon ke dareechon se guzar kaisa laga hai?

Aangan mein lagaya tha shazar chaav se maine;
Phalne pe jo aaya hai wo phal kaisa laga hai?


Roja! Tumhain, tumhaaree gazaloun mein padhh kar bahut achchhaa lagtaa hai! Tumhaaree maarmik sneyh-snigdh aankhoun mein tumhaarey dil-o-dimaag ko padhhney kaa man kartaa hai! It's a lovely creation!
                          - abd bundeli
Logged
Talat
Guest
«Reply #160 on: May 14, 2009, 02:21:39 PM »
Reply with quote
Very nice work Roja... True to Babu Ji's words, you are really amazing !!  icon_flower
Logged
aaina
Guest
«Reply #161 on: May 16, 2009, 12:07:09 PM »
Reply with quote
Sapnon se her zameen ki behat hai dhooriyan
Dilli se deen-heen ki behat hai dhooriyan

Vishwas kya hua kahi dikhta nahi hame,
Insaan se yakeen ki behat hai dhooriyan

Ghode khule huye hai sawaron ko baandh ke,
Ghode se aaj jeen ki behat hai dhooriyan

Kehne ko bahut pass padosi hai hum magar,
Bharat se aaj Cheen ki behat hai dhooriyan

Sangeet ki talash mein nikle the hum kabhi,
Geeton se aaj been ki behat hai dhooriyan

Jeevan mila hai kuch ko tadapne ke mol per,
Paani se aaj meen ki behat hai dhooriyan

Ekkeesvi(21st) sadi ka shor hai magar yahan
Pracheen se naveen ki behat hai dhooriyan..



very nice roja bhut hi achal likha hai aapne............
Logged
Roja
Guest
«Reply #162 on: May 17, 2009, 12:52:01 PM »
Reply with quote

I dont know what to say after this.... really a very very good work. Applause

Thanks dear angel. Usdin tum bahut upset thi. bas tujhe dedicate kardiya tha. Thanks onceagain for reading dear.
Logged
Roja
Guest
«Reply #163 on: May 17, 2009, 12:55:32 PM »
Reply with quote
Waah bahot khoob Roja ji..har ash'ar ek alag rang me likha aapne..very nice.. Clapping Smiley Clapping Smiley


Waah kitna acha is ghazal ka title dia hai Roja Benaam dayaron se guzar kaisa laga hai..behad khoob..har ash'aar is ghazal ka  gahrai se likha aapne...aakhiri dono ashaar bahot ache lage n particularly this one ..Honthon me saji hui khamosh sada ka benaam dareechon se guzar kaisa laga hai..mind blowing thrd wid masterpiece creations   Applause Clapping Smiley kosish karenge kuch jawaab me likhne ki..i m inspired by yr collection..bahot acha likhti hain aap

Thanks for reading @Kaash ji. Those are not my collections.
ALL GAZALS ARE MY OWN.
Logged
Roja
Guest
«Reply #164 on: May 17, 2009, 12:56:25 PM »
Reply with quote
very nice roja bhut hi achal likha hai aapne............

Bahut bahut shukriya dear Aslam ji
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 23
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 08:25:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.181 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer