*Gazal*

by Roja on September 03, 2007, 03:06:35 AM
Pages: 1 ... 15 16 17 18 [19] 20 21 22 23
ReplyPrint
Author  (Read 17565 times)
aaina
Guest
«Reply #270 on: September 13, 2009, 09:56:32 PM »
Reply with quote
Dard ki dastan purani hai
Husn aur Ishq ki kahani hai

Ishq to saat zindagi bhi de
Husn do din ki ek kahani hai

Khwaab dekhe the jo jawani mein
Unki bas ek kasak nishani hai

Humne sab kuch luta diya jinper
Unke dil mein bhi badgumani hai

Jahan lage koyi kinare kismat hai
Giri tufaan mein zindagani hai

Kis ki umeed "Roja" ber aayee
Apni kya kuch alag kahani hai

Ber : Paripurna hona




kya baat hai Roja bhut hai khoob bhut achay daad qubool karo, isi behr mai tahir faraaz sahab ki ek ghazal yaad aa gayi ijazat chahunga......

Ab isse bad kar aur kya saza hamari hai
Tumhare ehed mai jo zindagi guzaari hai

Karaahta hua suraj ye keh ke doob gaya
wo jang jeeti hui thi jo meine haari hai

Nazar bacha ke guzarte ho to guzar jaao
mein aaina hu.n meri apni zimmedaari hai



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
gazal by Aanand in Shayri-E-Dard
ek gazal..... by amritflora in Shayari-e-Parastish
gazal by seema muntezir in Poetry on Nature in Punjabi
Gazal by shad in Share Poetry You Like
Roja
Guest
«Reply #271 on: September 20, 2009, 11:47:12 AM »
Reply with quote


kya baat hai Roja bhut hai khoob bhut achay daad qubool karo, isi behr mai tahir faraaz sahab ki ek ghazal yaad aa gayi ijazat chahunga......

Ab isse bad kar aur kya saza hamari hai
Tumhare ehed mai jo zindagi guzaari hai

Karaahta hua suraj ye keh ke doob gaya
wo jang jeeti hui thi jo meine haari hai

Nazar bacha ke guzarte ho to guzar jaao
mein aaina hu.n meri apni zimmedaari hai

Wah wah kya baat hai... bahut acche icon_thumleft
Logged
Roja
Guest
«Reply #272 on: September 20, 2009, 11:52:52 AM »
Reply with quote
Gaon se hum shehar aa gaye
yatanawon ke ghar aa gaye

Paav mein jab bi sadake chubhi
Yaad kuch humsafar aa gaye

Mod-der-mod aisa laga
Hum kahan  ghoomkar aa gaye

Jhoot-Fashion-Dikhawa-Daga
Humko kitne huner aa gaye

Udna chaha tha aakash mein,
Haat mein toote per aa gaye

Dhoondne hum chale the wafa
Din mein taare nazar aa gaye
Logged
Talat
Guest
«Reply #273 on: September 22, 2009, 06:58:22 PM »
Reply with quote
Beautiful one Roja dear  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pooja
Guest
«Reply #274 on: September 22, 2009, 07:03:36 PM »
Reply with quote
Gaon se hum shehar aa gaye
yatanawon ke ghar aa gaye

Paav mein jab bi sadake chubhi
Yaad kuch humsafar aa gaye

Mod-der-mod aisa laga
Hum kahan  ghoomkar aa gaye

Jhoot-Fashion-Dikhawa-Daga
Humko kitne huner aa gaye

Udna chaha tha aakash mein,
Haat mein toote per aa gaye

Dhoondne hum chale the wafa
Din mein taare nazar aa gaye

wah wah wah kaya baat hai Roja,... bahoot khoobh!!!  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley  

Ek bahoot kadwa such un logo ke liye... Jo apno ko chor kar Jhoothi dunia ke piche bhagte hai... Good work Roja!!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #275 on: September 23, 2009, 03:19:38 AM »
Reply with quote
Beautiful one Roja dear  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Thank you very much dear sis  Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #276 on: September 23, 2009, 03:20:37 AM »
Reply with quote
wah wah wah kaya baat hai Roja,... bahoot khoobh!!!  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley 

Ek bahoot kadwa such un logo ke liye... Jo apno ko chor kar Jhoothi dunia ke piche bhagte hai... Good work Roja!!!


Shukriya dear didi... Aapne tarif ki mujhe bahut bahut accha laga dear  icon_thumleft
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #277 on: September 23, 2009, 04:35:08 AM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Roja ji ,really touching n beautiful gazal excellent,keep it up,
 icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
HumTum
Guest
«Reply #278 on: September 23, 2009, 09:55:45 AM »
Reply with quote
waah Roja Ji .. bahut khoob ... bas itna kehna chaunga ..




JanamBoomi Ko Chod Kar Aana AasaaN NahiN Hota
PardesooN Mein Ghar Basanaa AasaaN NahiN Hota
Kaamyaab Huye Hai Jo Log, Mera Salaam Unko
PardesooN Mein Panv Jamanaa AasaaN NahiN Hota!

HumTum


Logged
cara
Guest
«Reply #279 on: September 23, 2009, 11:16:02 AM »
Reply with quote
Gaon se hum shehar aa gaye
yatanawon ke ghar aa gaye

Paav mein jab bi sadake chubhi
Yaad kuch humsafar aa gaye

Mod-der-mod aisa laga
Hum kahan  ghoomkar aa gaye

Jhoot-Fashion-Dikhawa-Daga
Humko kitne huner aa gaye

Udna chaha tha aakash mein,
Haat mein toote per aa gaye

Dhoondne hum chale the wafa
Din mein taare nazar aa gaye
KYA BAAT HAI ROJA JI........

AAJ BHI IMAANDARI BACHHI HAI GAON MEIN,
BEIMAAN MILEGEN SARE SHEHAR MEIN.

SABKO LAGI RAHITI HAI RAAT DIN PAISE KI LAT SHEHAR MEIN,
JAISE PAISA KISI KA NAHIN HOTA,WAISE BAN JAATE HAI LOG SHEHAR MEIN.

KAMAA KYA LETEY HAI DO PAISE LOG SHEHAR MEIN,
BANKAR PAISE JAISE, BUL JAATE HAI HAR RISHTE LOG SHEHAR MEIN.

JOOTA DIKHAWA KARTE,HASIYAT SE JAADA KARJA LETE SAR PE LOG SHEHAR MEIN,
IK DOOSRE KE AAGE NIKALNE KI HUD MEIN,JEENE KE BADLE MARTE JAA RAHE HAI LOG SHEHAR MEIN.

TAQDEER SE ZADA SHAYAD APNE AAP PAR VISHWAAS KARNE LAGE HAI LOG SHEHAR MEIN,
ISILIYE SHAYAD DUNIYA SE JALDI JAANE LAGE HAI LOG SHEHAR MEIN.

PAISA-PAISA SIRF PAISA HI NAZAR AATA HAI SABKO SHEHAR MEIN,
NA ZINDAGI,NA TANDURUSTI,NA IZZAT NA MAAN SAMAAN, KAHIN NAHIN DIKHTA HAI SHEHAR MEIN.
 




Logged
Roja
Guest
«Reply #280 on: September 27, 2009, 04:01:28 AM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Roja ji ,really touching n beautiful gazal excellent,keep it up,
 icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Thanks Madhu dear
Logged
Roja
Guest
«Reply #281 on: September 27, 2009, 04:02:21 AM »
Reply with quote
waah Roja Ji .. bahut khoob ... bas itna kehna chaunga ..




JanamBoomi Ko Chod Kar Aana AasaaN NahiN Hota
PardesooN Mein Ghar Basanaa AasaaN NahiN Hota
Kaamyaab Huye Hai Jo Log, Mera Salaam Unko
PardesooN Mein Panv Jamanaa AasaaN NahiN Hota!

HumTum
Wah kya khoob kaha aapne HumTum ji  Thumbs UP



Logged
Roja
Guest
«Reply #282 on: September 27, 2009, 04:04:32 AM »
Reply with quote
KYA BAAT HAI ROJA JI........

AAJ BHI IMAANDARI BACHHI HAI GAON MEIN,
BEIMAAN MILEGEN SARE SHEHAR MEIN.

SABKO LAGI RAHITI HAI RAAT DIN PAISE KI LAT SHEHAR MEIN,
JAISE PAISA KISI KA NAHIN HOTA,WAISE BAN JAATE HAI LOG SHEHAR MEIN.

KAMAA KYA LETEY HAI DO PAISE LOG SHEHAR MEIN,
BANKAR PAISE JAISE, BUL JAATE HAI HAR RISHTE LOG SHEHAR MEIN.

JOOTA DIKHAWA KARTE,HASIYAT SE JAADA KARJA LETE SAR PE LOG SHEHAR MEIN,
IK DOOSRE KE AAGE NIKALNE KI HUD MEIN,JEENE KE BADLE MARTE JAA RAHE HAI LOG SHEHAR MEIN.

TAQDEER SE ZADA SHAYAD APNE AAP PAR VISHWAAS KARNE LAGE HAI LOG SHEHAR MEIN,
ISILIYE SHAYAD DUNIYA SE JALDI JAANE LAGE HAI LOG SHEHAR MEIN.

PAISA-PAISA SIRF PAISA HI NAZAR AATA HAI SABKO SHEHAR MEIN,
NA ZINDAGI,NA TANDURUSTI,NA IZZAT NA MAAN SAMAAN, KAHIN NAHIN DIKHTA HAI SHEHAR MEIN.

Cara ji.... Tooooooo Good. Thanks for this lovely Gazal in my thread. Last four lines toh bahut bahut sahi likhdiya aapne.  Thumbs UP  Applause Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #283 on: September 27, 2009, 06:43:31 AM »
Reply with quote


Dard ki dastan purani hai
Husn aur Ishq ki kahani hai


Ishq to saath zindagi bhi de
Husn do din ki ek kahani hai

Khwaab dekhe the jo jawani mein
Unki bas ek kasak nishani hai


Humne sab kuch luta diya jinper
Unke dil mein bhi badgumani hai

Jahan lage koyi kinare kismat hai
Giri tufaan mein zindagani hai

Kis ki umeed "Roja" ber aayee
Apni kya kuch alag kahani hai


Ber : Paripurna hona

Bahut khoob Roj!

Yeh fasaanah azal sey jaaree hai!
Yaad sey ab bhi zeyhn bhaaree hai!
Log kahteyn hain kuchh dawaam nahin;
Rooh-e-nisbat hai, qarzdaaree hai!!

                   - abd bundeli
Logged
Roja
Guest
«Reply #284 on: September 27, 2009, 06:55:55 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Roja!

Yeh fasaanah azal sey sey jaaree hai!
Yaad sey ab bhi zeyhn bhaaree hai!
Log kahteyn hain kuchh dawaam nahin;
Rooh-e-nisbat hai, qarzdaaree hai!!

                   - abd bundeli

Thank you very much Uncle ji.and umda lines  Applause..
Usual Smile

Chaha gam-e-hayat se paa jaye hum nijaat
Sau bar zakham khaye, magar hum na mer sake
Dunia-e-mohabbat ko "Roja" samaj na paayi
Anchaha ho gaya agar, chaha na kar sake..
Logged
Pages: 1 ... 15 16 17 18 [19] 20 21 22 23
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 09:41:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer