*Gazal*

by Roja on September 03, 2007, 03:06:35 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 23
ReplyPrint
Author  (Read 18208 times)
Roja
Guest
«Reply #30 on: January 25, 2008, 02:41:59 AM »
Reply with quote
Mere ghar main aaya hai kaisa savera
Ghana aur bhi ho gaya hai andhera

Zamana jisse log kehte hai pyare
Bada bewafa hai, na tera, na mera

Ajab baat poochi fakiron ke ghar ki,
Jahan raat ho jaye wahin basera

Naya daur hai ab naya hogaya sab
Na koyi chachera, na koyi tayera

Dharam ek business hua aaj yaaron
Siyasat huyi ab luteron ka dera
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
gazal by Aanand in Shayri-E-Dard
ek gazal..... by amritflora in Shayari-e-Parastish
gazal by seema muntezir in Poetry on Nature in Punjabi
Gazal by shad in Share Poetry You Like
Roja
Guest
«Reply #31 on: February 06, 2008, 02:37:46 AM »
Reply with quote
Rait bhari hay in aankhoun main aanso say tum dho laina
Koi sookha pairh miley to us say lipat k ro laina

Us k baad bohat tanha hou jaisey jungle ka rasta
Jo bhi tum say pyaar say boley saath usi k hou laina

Kuch tou rait ki pyaas bujhao janam janam ki pyaasi hay
Saahil par chalney say pehlay apney paoon bhigo laina

Main nay darya say seekhi hay paani ki parda daari
Oopar oopar hunstey rehna, gehraayi main rou laina

Rotey kiyoon hou dil waaloun ki qismat aisi hoti hay
Saari raat yoonhi jaagogey din nikley to sou laina !!


Poet: BASHEER BADAR

Mailed By Roja
Logged
Pooja
Guest
«Reply #32 on: February 06, 2008, 04:47:35 PM »
Reply with quote
nice sharing Roja
Logged
Roja
Guest
«Reply #33 on: February 09, 2008, 03:00:05 PM »
Reply with quote
nice sharing Roja

Thanks Pooja di
Logged
Roja
Guest
«Reply #34 on: February 09, 2008, 03:08:02 PM »
Reply with quote
Rang badalti dunia ka ulta hisaab hai
Jhoot ke chehre per sach ka nakaab hai

Kis-kisko bhala ye santusht karega
Sawalon ke dayre main, khada khud jawab hai

Sach kehne ki jo bhi karega jurrat, samjho
Usee din se uska, khana-karab hai

Peene ko teek se yahan milta nahi hai paani
Asani se muhaiya, pine ko sharab hai

Nafraton ke pyalon main piyo mohabbat ke ghoont
Isii ko to zindagi kehte janab hai

Na dosti kisii se, na kisii se baiyr hai
Tumhara hisab "Roja" lajawab hai
Logged
Roja
Guest
«Reply #35 on: February 24, 2008, 03:33:37 AM »
Reply with quote
Ik shamma jalti hai ek shamma bhujti hai
Hai zindagi yahi chalti hai thamthi hai.

Na-samjo ke hisse main sari suvidayein
Samajdaron ki icchayein meri hai merti hai

Roj hamare liye din kya raat kya?
Ik subah nikalti hai ik shaam dalti hai

Her manjar dhundulasa ho jaata hai doston
Galatfami ki dhool jab udti hai

"Roja" hamme kya jaan payenge ye dunia
Jo magra ke apni dun main chalti
hai


Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #36 on: February 24, 2008, 03:52:31 AM »
Reply with quote
Ik shamma jalti hai ek shamma bhujti hai
Hai zindagi yahi chalti hai thamthi hai.

Na-samjo ke hisse main sari suvidayein
Samajdaron ki icchayein meri hai merti hai

Roj hamare liye din kya raat kya?
Ik subah nikalti hai ik shaam dalti hai

Her manjar dhundulasa ho jaata hai doston
Galatfami ki dhool jab udti hai

"Roja" hamme kya jaan payenge ye dunia
Jo magra ke apni dun main chalti
hai



Rang badalti dunia ka ulta hisaab hai
Jhoot ke chehre per sach ka nakaab hai

Kis-kisko bhala ye santusht karega
Sawalon ke dayre main, khada khud jawab hai

Sach kehne ki jo bhi karega jurrat, samjho
Usee din se uska, khana-karab hai

Peene ko teek se yahan milta nahi hai paani
Asani se muhaiya, pine ko sharab hai

Nafraton ke pyalon main piyo mohabbat ke ghoont
Isii ko to zindagi kehte janab hai

Na dosti kisii se, na kisii se baiyr hai
Tumhara hisab "Roja" lajawab hai


BAHUT KHOOOOB...ROJA DONO GHAZAL BAHUT HI ACHI HAI...TOO GOOD..
Logged
Roja
Guest
«Reply #37 on: February 26, 2008, 02:32:37 AM »
Reply with quote
Ik shamma jalti hai ek shamma bhujti hai
Hai zindagi yahi chalti hai thamthi hai.

Na-samjo ke hisse main sari suvidayein
Samajdaron ki icchayein meri hai merti hai

Roj hamare liye din kya raat kya?
Ik subah nikalti hai ik shaam dalti hai

Her manjar dhundulasa ho jaata hai doston
Galatfami ki dhool jab udti hai

"Roja" hamme kya jaan payenge ye dunia
Jo magra ke apni dun main chalti
hai



Rang badalti dunia ka ulta hisaab hai
Jhoot ke chehre per sach ka nakaab hai

Kis-kisko bhala ye santusht karega
Sawalon ke dayre main, khada khud jawab hai

Sach kehne ki jo bhi karega jurrat, samjho
Usee din se uska, khana-karab hai

Peene ko teek se yahan milta nahi hai paani
Asani se muhaiya, pine ko sharab hai

Nafraton ke pyalon main piyo mohabbat ke ghoont
Isii ko to zindagi kehte janab hai

Na dosti kisii se, na kisii se baiyr hai
Tumhara hisab "Roja" lajawab hai


BAHUT KHOOOOB...ROJA DONO GHAZAL BAHUT HI ACHI HAI...TOO GOOD..

Thanks Bhaiya ji... Bahut bahut shukhriya for the appreciating...Keep coming.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #38 on: February 26, 2008, 01:16:33 PM »
Reply with quote
Ik shamma jalti hai ek shamma bhujti hai
Hai zindagi yahi chalti hai thamthi hai.

Na-samjo ke hisse main sari suvidayein
Samajdaron ki icchayein meri hai merti hai

Roj hamare liye din kya raat kya?
Ik subah nikalti hai ik shaam dalti hai

Her manjar dhundulasa ho jaata hai doston
Galatfami ki dhool jab udti hai

"Roja" hamme kya jaan payenge ye dunia
Jo magra ke apni dun main chalti
hai



Bohat acha likha hai gazal...Roja..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #39 on: February 26, 2008, 06:09:37 PM »
Reply with quote
Barson Ke Baad Dekha Ek Shakhs Dilruba Sa
Ab Zehen Men Nahi Hai Par Naam Tha Bhala Sa

Alfaaz The Ke Jugnu Aawaaz Ke Safar Men
Ban Jaaye Jangalon Men Jis Tarah Raasta Sa

Khwabon Men Khwaab Uske Yadon Men Yaad Uski
Neendo Men Ghul Gaya Ho Jaise Ke Ratjaga Sa

Pehle Bhi Log Aaye Kitne Hi Zindagi Men
Wo Har Tarah Se Lekin Auron Se Tha Juda Sa

Tewar The Berukhi Ke Andaaz Dosti Ka
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa

Kuchh Ye Ke Muddaton Se Hum Bhi Nahi The Roye
Kuchh Zeher Men Bujha Tha Ahabaab Ka Dilasa

Phir Yun Hua Ki Sawan Akhon Men Aa Base The
Phir Yun Hua Ke Jaise Dil Bhi Tha Aablaa Sa

Ab Sach Kahen To Yaron Hum Ko Khabar Nahi Thi
Ban Jayega Qayamat Ek Waqeya Zara Sa..(nm)
Logged
Roja
Guest
«Reply #40 on: February 29, 2008, 03:43:03 PM »
Reply with quote
wow pooja di and Majid ji very nice sharing..
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #41 on: March 05, 2008, 03:02:10 PM »
Reply with quote

Aisi Aankhein Nahi Dekhi, Aisa Kajal Nahi Dekha,
Aisa Jalwa Nahi Dekha, Aisa Chera Nahi Dekha,

Jab Yeh Daman Ki Hawa Ne, Aag Jungle Mein Laga De,
Jab Yeh Sherao Mein Jaye, Ret Mein Phool Khilaye,

Aisi Duniya Nahi Dekhi, Aisa Manjar Nahi Dekha,
Aisa Alam Nahi Dekha, Aisa Dilbar Nahi Dekha,

Us Ke Kangan Ka Khadakna, Jaisa Bul Bul Ka Chakna,
Us Ki Pajeb Ki Cham Cham, Jaise Barsatt Ka Mausam,

Aisa Sawan Nahi Dekha, Aisi Barish Nahi Dekhi,
Aisi Rim Jhim Nahi Dekhi, Aisi Khawaish Nahi Dekhi,

Us Ki Bewaqt Ki Batey, Jaise Sardi Ki Ho Raatey,
Uf Yeh Tanhai, Yeh Masti, Jaise Tufan Mein Kashti,

Mithi Koyal Si Hai Boli, Jaise Gito Ki Rangoli,
Surkh Galo Par Pasina, Jaise Fagun Ka Mahina

~Jagit Singh~
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #42 on: March 08, 2008, 04:02:29 AM »
Reply with quote
Oomda thoughts roja.......bahoot dinoN  baad aaj ana hua......roja ji bahoot improvement ho gaya aapki tehreeroN maiN....hamaari taraf se is behtareen peshkash per daad kabool farmayeiN.....


Harash

Ek koshish... apni dil ki bath kehne ka.. Hope k meri ye koshish kamyab hoga.

Zindagi main Kabhi koyee is tarah dil ko kuchal jate k aisa lagta k kya unhe pata hota ke
hamara dil pe kya guzra unke aisi herkatonse??.!!

*******************************************************


Hum kabhi kisii ki bhool ke bhi
Cheena muskan nahi karte
Hum sakht-tabiyat hai lekin
Bin bath tufan nahi karte..!!

Hum andkaar main reh sakte
Uski tokkar bhi seh sakte
Per kiranraaj ke dhar per jaa
Hum manga daan nahi karte..!!

Jo pyar se koyee vish bhi de
Hum haste-haste pee jate
Per daya-daan main mila hua
Hum amrit paan nahi karte..!!

Auron ki bath nahi kehte
Hum apni baat batate hai
Apna apmaan nahi sehte
Apmaan auron ka bhi nahi karte..!!

"Roja" ka dil jahan mil jaye
Pehchan usee se kar lete
Jis.se dil nahi mile apna
Usse pehchan nahi karte..!!

[/color][/size]
Logged
Roja
Guest
«Reply #43 on: March 09, 2008, 04:06:46 PM »
Reply with quote
Harash ji,

Aapse hi sikha hai maine. Bahut khushi huyi mujhe k
aap ko mera likha pasand aaya. Keep Coming


Oomda thoughts roja.......bahoot dinoN  baad aaj ana hua......roja ji bahoot improvement ho gaya aapki tehreeroN maiN....hamaari taraf se is behtareen peshkash per daad kabool farmayeiN.....


Harash

Ek koshish... apni dil ki bath kehne ka.. Hope k meri ye koshish kamyab hoga.

Zindagi main Kabhi koyee is tarah dil ko kuchal jate k aisa lagta k kya unhe pata hota ke
hamara dil pe kya guzra unke aisi herkatonse??.!!

*******************************************************


Hum kabhi kisii ki bhool ke bhi
Cheena muskan nahi karte
Hum sakht-tabiyat hai lekin
Bin bath tufan nahi karte..!!

Hum andkaar main reh sakte
Uski tokkar bhi seh sakte
Per kiranraaj ke dhar per jaa
Hum manga daan nahi karte..!!

Jo pyar se koyee vish bhi de
Hum haste-haste pee jate
Per daya-daan main mila hua
Hum amrit paan nahi karte..!!

Auron ki bath nahi kehte
Hum apni baat batate hai
Apna apmaan nahi sehte
Apmaan auron ka bhi nahi karte..!!

"Roja" ka dil jahan mil jaye
Pehchan usee se kar lete
Jis.se dil nahi mile apna
Usse pehchan nahi karte..!!

[/color][/size]
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #44 on: March 09, 2008, 04:33:56 PM »
Reply with quote
Roja.....man ko nirmal bana ker likhne se kalam ki taseer bad.ti hai....our tum maiN ye  khasiat hai ke....use banaye rakhe ho....God bless you dost
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 23
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:59:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer