*Gazal*

by Roja on September 03, 2007, 03:06:35 AM
Pages: 1 ... 17 18 19 20 [21] 22 23
ReplyPrint
Author  (Read 18016 times)
Roja
Guest
«Reply #300 on: October 16, 2009, 04:47:11 PM »
Reply with quote

Waah bhaii Roja!

Dhwani hotee hai pratidhwanit,
Spandan gaatey geet!
Meyrey antar mein sadaa,
Preeti badhhaatey meet!

            - 'Ramwatiya'


Khud unse poocha kayi bar unke ghar ka pata
Kuch unse baat badane ka ek bahana tha

Daleel aqqal ki dil ko na jer kar paayi
Roja shuru se chalan uska gayabana tha


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
gazal by Aanand in Shayri-E-Dard
ek gazal..... by amritflora in Shayari-e-Parastish
gazal by seema muntezir in Poetry on Nature in Punjabi
Gazal by shad in Share Poetry You Like
abdbundeli
Guest
«Reply #301 on: October 18, 2009, 07:42:11 AM »
Reply with quote

Khud unse poocha kayi bar unke ghar ka pata
Kuch unse baat badane ka ek bahana tha

Daleel aqqal ki dil ko na jer kar paayi
Roja shuru se chalan uska gayabana tha



Bahut achchhey, Roja!

Chaah, chaah hai: aql kee
Naheen usey parwaah!
Yuun to, raaheyn laakh hain;
Eik, talab kee raah!!

           - abd bundeli

Logged
Roja
Guest
«Reply #302 on: October 18, 2009, 03:37:21 PM »
Reply with quote

Bahut achchhey, Roja!

Chaah, chaah hai: aql kee
Naheen usey parwaah!
Yuun to, raaheyn laakh hain;
Eik, talab kee raah!!

           - abd bundeli



 Usual Smile Usual Smile

Tum they to meri shaam mein tha subah ka aalam
tum jab se gaye, sham jhalakti hai sehar mein..
Logged
Roja
Guest
«Reply #303 on: October 18, 2009, 03:47:46 PM »
Reply with quote
Aage ka gazal kuch is tarah hai ....

==================================

Kal jo aaye the bade fakr se sooraj lekar
Aaj khud unke bhi aangan mein aasmaan nahi

Vo jo katputliyon ka naach leke aate hai
Vo bhash-ur hai lekin vo ba-imaan nahi

Mere bhi pet hai jis mein ki bhook ka ghar hai
Suno ye arz-e-adab hai koyi farmaan nahi

Jispe mil jaye tabassum kiraye per yaaron
Ab shehar mein rahi aisi koyi dukaan nahi..

Logged
spicyanki
Guest
«Reply #304 on: October 24, 2009, 08:12:30 AM »
Reply with quote
roja sahiba...bahot mubarak...kalam aapka achha laga..or kya khoob kaha ke...
Jo pyaar se koi vish bhe de
Hum haste haste pee jate,
Par daya daan mien mila hua
Hum amrit paan nahi karte !!!
 Thumbs UP
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #305 on: October 24, 2009, 04:23:10 PM »
Reply with quote
Usual Smile Usual Smile

Tum they to meri shaam mein tha subah ka aalam
tum jab se gaye, sham jhalakti hai sehar mein..


Waah Roja! Waah!!

Tum bin, meyrey liye hai
Anudin kaalii rain!
Pal-pal ghumarhey megh-sey,
Akulaatey hain nain!!

        - 'Ramwatiya'
Logged
Roja
Guest
«Reply #306 on: October 25, 2009, 02:44:06 PM »
Reply with quote
roja sahiba...bahot mubarak...kalam aapka achha laga..or kya khoob kaha ke...
Jo pyaar se koi vish bhe de
Hum haste haste pee jate,
Par daya daan mien mila hua
Hum amrit paan nahi karte !!!
 Thumbs UP

Bahut bahut shukriya Spicyanki ji aapne hame pada aur tarif ki. Thank you onceagain  Usual Smile
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #307 on: October 28, 2009, 10:39:45 AM »
Reply with quote
Dear Roja! Ye to kahiN se bhi Ghazal nahiN hai. Na bahr hai, na rawaani hai. HaaN ye aik kavita zaroor hai. Ye kya hai zara aap bataayeN.
Logged
Roja
Guest
«Reply #308 on: November 01, 2009, 07:57:39 AM »
Reply with quote
Dear Roja! Ye to kahiN se bhi Ghazal nahiN hai. Na bahr hai, na rawaani hai. HaaN ye aik kavita zaroor hai. Ye kya hai zara aap bataayeN.

Dear Waquif Ansari ji, Kaunsa shayari ko keh rahe hai ke Ghazal nahi aur rawani nahi? mai samjhi nahi.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #309 on: November 01, 2009, 08:26:04 AM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob Roja dear n Abd ji,very beautiful gazal.keep it up. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
guhar
Guest
«Reply #310 on: November 01, 2009, 08:57:48 AM »
Reply with quote
roza ,,this piece is really nice,,,,keep on treading ..going right way... icon_flower
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #311 on: November 01, 2009, 01:02:30 PM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob Roja dear n Abd ji,very beautiful gazal.keep it up. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause

Thanks Madhu!
          - abd bundeli
Logged
Roja
Guest
«Reply #312 on: November 01, 2009, 10:31:35 PM »
Reply with quote
Unki fitrat hai zulm taane ki
Apni aadat hai muskurane ki

Ishq mein hai kashish toh aayenge
Kya zarurat hai dar pe jaane ki?

Meri kismat hi mujh se rooti hai
Kaun soche isse manane ki

Humne bhi sapne pyar ke dekhe
Aayi hai raas hawa zamane ki

Hai abhi inqalab ka her husn
Ishq buniyaad her fasane ki

Unke wadon pe aitbar vo hai
Unki aadat hai bhool jane ki


Logged
Roja
Guest
«Reply #313 on: November 01, 2009, 10:38:34 PM »
Reply with quote
Thaam lo haat is saudayi ka
Luft aa jaye aashnayi ka

Log kerte hai ishq per ilzam
Hum ko mauka to de safayi ka

Bewafayi bhi ek rishta hai
Kya gila teri bewafayi ka

Meri rag-rag mein dard behta hai
Tadpati hai gam judayi ka

Fikr ke dunia se ho gaye azaad
Jikr kyu ishq se judayi ka?

Tere rehm-o-karam ki hai mohtaz
Jisth kaasa hai ek gadayi ka

Zulm sehne mein bhi maza hai "Roja"
Rangeen rishta hai aashnayi ka..



Aashnayi = Parichai
Kaasa = katora
Gadayi = bheek
 


Logged
Roja
Guest
«Reply #314 on: November 01, 2009, 10:50:00 PM »
Reply with quote
Ye bijli der na kar aashiyan jalane mein
Milega lufth bahut fir se ghar banane mein

Nahi naseeb mein apne bahar fir aaye
Gulon ki yaad madat degi jee lagane mein

Kisi ki pyas mitana hai kaar-e-nek agar
Li-toh-laal ho kyu saaqiya pilane mein

Tumhari chashm hai ser chasm-e-nishate-hayaat
Na daali bhoond bhi tumne mere paimane mein


Rah-e-wafa pe chalenge to jaan bi jaye
hamare kisse kahe jaayenge, zamame mein

Talash, farz hai manzil hame mile na mile
Khushi milegi "Roja" farz ke nibane mein



Kaar-e-nek = Nek kaam
Li-toh-laal = Aana kaani
Chasm-e-nishate-hayaat = Jeevan-aanand ki berpoor drishti

Logged
Pages: 1 ... 17 18 19 20 [21] 22 23
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:57:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer