*Gazal*

by Roja on September 03, 2007, 03:06:35 AM
Pages: 1 ... 18 19 20 21 [22] 23
ReplyPrint
Author  (Read 17632 times)
Talat
Guest
«Reply #315 on: November 02, 2009, 02:20:56 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Roja dear Applause Applause Applause
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
gazal by Aanand in Shayri-E-Dard
ek gazal..... by amritflora in Shayari-e-Parastish
gazal by seema muntezir in Poetry on Nature in Punjabi
Gazal by shad in Share Poetry You Like
Roja
Guest
«Reply #316 on: November 02, 2009, 10:49:46 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Roja dear Applause Applause Applause

Thanks dear Talat.

(Kider chali gayi thi  crybaby2 )
 
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #317 on: November 03, 2009, 09:08:50 AM »
Reply with quote
Dear Roja Ji! Ye aapki hi ghazal hai na:

Hum kabhi kisi ki bhool k bhi
Cheena muskaan nahin karte

Ab aap ye batayeN k ye kaun si bahr meiN hai. Ye to kahin se bhi ghazal nahin hai.
Logged
Roja
Guest
«Reply #318 on: November 08, 2009, 03:58:30 PM »
Reply with quote
Dear Roja Ji! Ye aapki hi ghazal hai na:

Hum kabhi kisi ki bhool k bhi
Cheena muskaan nahin karte

Ab aap ye batayeN k ye kaun si bahr meiN hai. Ye to kahin se bhi ghazal nahin hai.

oohhh... Waquif Ansari sb... Is thread pe kuch nazms bi hai Usual Smile
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #319 on: November 09, 2009, 09:03:10 AM »
Reply with quote
Dear Roja Ji! Zara apni ghazal yahaN post kareN. MaiN ne to aapki oopar ki lineN dekhiN aur ye samjha ke ye ghazal hai. Mujhe to ab bhi kuchh samajh meiN nahiN aa raha hai k ghazal kahaN hai aur nazm kahaN. Ab aap apni ghazal yahaN post kijiye tabhi matla saaf hoga.
Logged
Roja
Guest
«Reply #320 on: November 09, 2009, 01:47:42 PM »
Reply with quote
Dear Roja Ji! Zara apni ghazal yahaN post kareN. MaiN ne to aapki oopar ki lineN dekhiN aur ye samjha ke ye ghazal hai. Mujhe to ab bhi kuchh samajh meiN nahiN aa raha hai k ghazal kahaN hai aur nazm kahaN. Ab aap apni ghazal yahaN post kijiye tabhi matla saaf hoga.

ok Waquif Ansari ji... mere samaj mein jo aaya yahan likh rahi hu. Mai Gazal samajkar yahan pesh kar rahi hu.... tongue3 .. (poetic language use karna meri shouk hai. Galatiyan ho bi sakta hai. Aur yahan medal lene ke liye bi likha nahi gaya hai. Bas dairy mein likhkar rakte hai na waisa mai Yo pe thread pe likhi hu.

Diwanon ka ishq jahan mein falte-falte falta hai
Khota sikka chalta hai, per chalte-chalte chalta hai

Prem-samander mein jaa khoode jaat-putr, brahman-kanya,
Jaat-paat ka vikat gleshiyar galte-galte galta hai

Wafadar pashu ya bad-bola tota to aasaan pale
Mann-pinjre mein prem-papiha palte-palte palta hai

Tann ke lobhi ko to matlab keval gobi khane se
Woh kya jaane pervana kyu jalte-jalte jalta hai

Pooja aur pratishta-pat ki, palak japakte dalte hai,
Ishq ka sooraj dalta hai per, dalte-dalte dalta hai

Biki na gazal "Roja ji" ki aur taash mein hare bi
Waqt bura jab aata hai to talte-talte talta hai..

Logged
Roja_malar
Guest
«Reply #321 on: November 21, 2009, 02:06:14 AM »
Reply with quote
Aaj ashqon ka taar toot gaya
Rishta-e-intezar toot gaya

Yu wo tukra ke chal diye
Ek khilauna tha pyar toot gaya

Roye reh-reh ke hichkiyan lekar
Saj-e-gam baar-baar toot gaya

Aapki berukhi ka shikwa kya
Dil tha napayidaar, toot gaya

Dekh li dil ne bes.baati-e-gul
Fir thilisme-bahaar toot gaya

"Roja"
kya char din ki ranjish se
Itni muddat ka pyar toot gaya...

Napayidaar = Najuk

besbaati-e-gul = Phool ka ashtayitva

Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #322 on: November 23, 2009, 09:06:26 AM »
Reply with quote
Dear Roja_malar!
Wah wah wah! bahut achchhi ghazal aapne kahi hai. Kaafi rawaani hai aapki is ghazal meiN. Aapne apne khayaalaat ko bahut haseeN pairaaye meiN baaNdha hai. Bas ik aadh misre meiN bahr ki ghalati sarzad ho gayi jise aap phir se dekh leiN to maaloom paD jaayega. Jaise "YUN WO THUKRA K CHAL DIYE" ki jagah agar "YUN WO THUKRA K CHAL DIYE 'ROJA' ho jaaye to baat ban jaaye, waise aap ise aur tareeque se bhi kah lijiye. Ik haseen kaawish ke liye aap mubarakbaad ki mustahaq haiN. HazaaroN daad qubul kijiye.
Logged
Roja_malar
Guest
«Reply #323 on: November 29, 2009, 10:10:02 PM »

Waquif Ansari ji, Maine jo post ki hai wo Saifuddin Saif sb ka ghazal hai.
Maine aap k liye "Saif" ke jagah "Roja" likha tha. Kyu k mai jo ghazal samajkar likhti hu wo aap kehte hai ghazal nahi hai  tongue3 socha abhi ghazal kisko kehte hai yeh samajne k liye yahan Famous Saif sb ke naam k badle apni naam dala.

Kya aapko mera likha yeh ghazal pasand nahi aaye?  sad7

Quote
Diwanon ka ishq jahan mein falte-falte falta hai
Khota sikka chalta hai, per chalte-chalte chalta hai

Prem-samander mein jaa khoode jaat-putr, brahman-kanya,
Jaat-paat ka vikat gleshiyar galte-galte galta hai

Yeh mera likha kahi galati hai kya zarur kahiyega.

Logged
Roja_malar
Guest
«Reply #324 on: November 29, 2009, 10:22:12 PM »
Reply with quote
Waquif Ansari ji....Yeh is thread ka aakri gazal meri hogi. Aap jaise kuch log hai jinke liye likha karti thi. Ab na wo log rahe aur na hi ab meri chahat hai is forum pe apni mehnat darshane ki... Khuda Hafiz.

Arz hai...

Vo huwe gair pe kurban, unhe kya kahiye?
Dil ki jinko nahi pehchan, unhe kya kahiye?

Gam huwe hum pe meharban, unhe kya kahiye?
Her khushi khud hai pashemaan, unhe kya kahiye?

Ho gaya chur umeedon ka haseen sheeshmehal
Hichkiyan lete hai arman unhe kya kahiye?

Humko palkon pe bitaya tha unhone kal tak
Aaj kal bante hai anjaan, unhe kya kahiye?

Ek pal bhi kisi pehlu nahi aata hai sukoon,
Dil ke haaton hai pareshan, unhe kya kahiye?

Saans rukti nahi, aaraam se aati bhi nahi,
Kashmakash mein hai meri jaan, unhe kya kahiye?

chand sehmi huyi yaadon ka sahara dekar,
Khoob hum pe kiya ehsaan, unhe kya kahiye...?

Logged
cara
Guest
«Reply #325 on: November 30, 2009, 05:57:32 AM »
Reply with quote
KYA BAAT HAI ROJA_MALAR JI....

DE KAR HAMKO PYAAR KA WADA
JO BADAL JAAYE APNA IRADA--UNHE KYA KAHIYE

DIKHA KAR HAMKO SAPNO KA MAHAL
JO CHOD JAAYE HAMKO KARKE GAYAL--UNHE KYA KAHIYE

JAATE JAATE LE BHI NAHIN GAYE HAI APNE EHSAAS
ZAKHAM BANAKAR CHOD GAYE HAI YE  MERE PAAS--UNHE KYA KAHIYE
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #326 on: December 04, 2009, 08:49:34 AM »
Reply with quote
Waquif Ansari ji....Yeh is thread ka aakri gazal meri hogi. Aap jaise kuch log hai jinke liye likha karti thi. Ab na wo log rahe aur na hi ab meri chahat hai is forum pe apni mehnat darshane ki... Khuda Hafiz.

Arz hai...

Vo huwe gair pe kurban, unhe kya kahiye?
Dil ki jinko nahi pehchan, unhe kya kahiye?

Gam huwe hum pe meharban, unhe kya kahiye?
Her khushi khud hai pashemaan, unhe kya kahiye?

Ho gaya chur umeedon ka haseen sheeshmehal
Hichkiyan lete hai arman unhe kya kahiye?

Humko palkon pe bitaya tha unhone kal tak
Aaj kal bante hai anjaan, unhe kya kahiye?

Ek pal bhi kisi pehlu nahi aata hai sukoon,
Dil ke haaton hai pareshan, unhe kya kahiye?

Saans rukti nahi, aaraam se aati bhi nahi,
Kashmakash mein hai meri jaan, unhe kya kahiye?

chand sehmi huyi yaadon ka sahara dekar,
Khoob hum pe kiya ehsaan, unhe kya kahiye...?

Wah wah wah!Kya zabardast ghazal hai ye aapki. Aik murassa aur me-aari ghazal. LafzoN ka intikhaab aur takhiyul-e-parwaaz k kya kahne. Is ghazal ki jitni taareef ki jaaye kam hai. Aisi khoobsurat ghazal kahne k liye aap mubarakbaad ki mustahaq haiN. HazaaroN daad aapko arpit karta hooN, qubul kijiye.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #327 on: December 04, 2009, 09:00:42 AM »

Nice one Roja Ji
Logged
Roja_malar
Guest
«Reply #328 on: December 09, 2009, 03:37:11 AM »
Reply with quote
Wah wah wah!Kya zabardast ghazal hai ye aapki. Aik murassa aur me-aari ghazal. LafzoN ka intikhaab aur takhiyul-e-parwaaz k kya kahne. Is ghazal ki jitni taareef ki jaaye kam hai. Aisi khoobsurat ghazal kahne k liye aap mubarakbaad ki mustahaq haiN. HazaaroN daad aapko arpit karta hooN, qubul kijiye.

Bahut bahut shukriya Waquif Ansari Sb. Aapne tarif ki I am honoured. Thank you onceagain.

Zindagi rahi to fir hogi mulaqat  icon_thumleft

Khuda Hafiz

Roja

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #329 on: December 09, 2009, 05:37:51 AM »
Reply with quote
Roja_malar Ji aapki ye ghazal "Vo huwe gair pe kurban, unhe kya kahiye?
Dil ki jinko nahi pehchan, unhe kya kahiye?" bahut hi meyari ghazal hai. Achhi ghazal to khud bolti hai. Aapko bahut bahut mubarkbaad. Please aap ye forum chhod kar na jayen. Aaap jaise Sukhanwaron ki is forum ko bahut zaroorat hai.Waqif sahab ne aapki post ki hui ghazal ke misre "YUN WO THUKRA K CHAL DIYE" mein jo correction propose kiya wo theek hai warna ye misra behr se bahar hai. Jo ghazal behr mein nahi hoti wo ghazal nahi hoti. Aap Waqif sahab ke matlab ko theek se samajh nahi pai. Khair koi baat nahin aap is forum ko chhod kar na jayen.Hamein achhe ghazlon, nazmon, ash-aar ki hamesha talaash rahti hai unhi se hamein bhi likhne ka sha-oor milta hai.
Khuda Hafiz.
Logged
Pages: 1 ... 18 19 20 21 [22] 23
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:30:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer