*Gazal*

by Roja on September 03, 2007, 03:06:35 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 23
ReplyPrint
Author  (Read 17566 times)
Roja
Guest
«Reply #45 on: March 12, 2008, 02:56:41 PM »
Reply with quote
Roja.....man ko nirmal bana ker likhne se kalam ki taseer bad.ti hai....our tum maiN ye  khasiat hai ke....use banaye rakhe ho....God bless you dost

Koshish karungi Harash ji. Jaise aapne kaha mann ko nirmal karne ka try karungi...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
gazal by Aanand in Shayri-E-Dard
ek gazal..... by amritflora in Shayari-e-Parastish
gazal by seema muntezir in Poetry on Nature in Punjabi
Gazal by shad in Share Poetry You Like
harashmahajan
Guest
«Reply #46 on: March 14, 2008, 05:53:54 AM »
Reply with quote
Nafrat ko nafrat se fanaah na ker
Wafa ker be-wafayi ka Gunah na ker


harash
Logged
smj
Guest
«Reply #47 on: March 14, 2008, 03:58:08 PM »
Reply with quote
Good one!
Logged
Roja
Guest
«Reply #48 on: April 02, 2008, 11:59:15 AM »
Reply with quote
Nafrat ko nafrat se fanaah na ker
Wafa ker be-wafayi ka Gunah na ker


harash

nice 1 ji
Logged
Roja
Guest
«Reply #49 on: May 16, 2008, 04:13:08 PM »
Reply with quote
Besada muflison ki sada ab toh sun
Sab pata hai tujhe ye khuda ab toh sun

Luta hai zamana inhe kis tarah
Aa jara dekh tu ye sama ab toh sun

Kaun inka sunega tumare sivay
Kisliye aankh roye gila ab toh sun

Bebasi inki aa kar zara dekh le
Kar nigahe-karam, yeh dua ab to sun

Chand taare inhone na mange kabhi
De siyahi ko inke diye ab toh sun

Kya hua hai tujhe, tu bi sunta nahi
Kaun inki sune fir bata(बता) ab toh sun

Ta rahe hai kehar joh unhe de saja
Bas "Roja" ki itni dua ab toh sun

=======================
Besada = be awaz, Sama = drushya
Nigahe-karam = kripa drishti
Kehar = atyachar
Logged
Pooja
Guest
«Reply #50 on: May 16, 2008, 04:23:41 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai, bahoot khoob Roja!!!
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #51 on: May 18, 2008, 08:35:15 AM »
Reply with quote
Tamam gazaliyat behad umda or unche darje ki he, Roja ji aap jesi shaira ka hamare darmiyaan hona hamare liye khushi or fakhar ki baat he, bohot bohot mubarak baad, allah kare zor-e-sukhan or zyada.
Logged
Roja
Guest
«Reply #52 on: May 18, 2008, 09:02:57 AM »
Reply with quote
Tamam gazaliyat behad umda or unche darje ki he, Roja ji aap jesi shaira ka hamare darmiyaan hona hamare liye khushi or fakhar ki baat he, bohot bohot mubarak baad, allah kare zor-e-sukhan or zyada.

ooh my God.. me still in learning stage...Sayyid ji.
Aapne mujhe appreciate kiya bahut bahut dhanyawad.
Logged
Roja
Guest
«Reply #53 on: May 18, 2008, 09:05:24 AM »
Reply with quote
Bahut bahut thanks Pooja didi
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #54 on: May 18, 2008, 10:11:12 AM »
Reply with quote
ooh my God.. me still in learning stage...Sayyid ji.
Aapne mujhe appreciate kiya bahut bahut dhanyawad.


Roja ji aadaab...
Mene baat ko badha chadha kar pesh nahi kiya he, Sab se badi baat he "wazan" jab tak sher me wazan naho wo "nazam" nahi "nasar" kehlata he, YO par istara sahih kalam pesh karne waale log bohot hain magar phir bhi kam hain, aksariyat iski parwah nahi karti.

Aap ke ash'aar me aksar wazan sahi hota he, jese aap ka sher:

Besada muflison ki sada ab to sun
Sab pata hai tujhe ae khuda ab to sun

Agar ye soch samajh kar wazan par likhe gae hen to bohot achhchha he or agar beirada hi wazan par sher kehdale to or bhi achhchha he, iska matlab he fitrat me shayri he, jo bohot unche maqaam tak pohonchne ki daleel he.

Afsos he ke mene pehle aap ko kyun nahi padha shayad is liye ke ham dono ka waqt alag he YO par aane ka.
Logged
Talat
Guest
«Reply #55 on: May 18, 2008, 01:12:08 PM »
Reply with quote
Rait bhari hay in aankhoun main aanso say tum dho laina
Koi sookha pairh miley to us say lipat k ro laina

Us k baad bohat tanha hou jaisey jungle ka rasta
Jo bhi tum say pyaar say boley saath usi k hou laina

Kuch tou rait ki pyaas bujhao janam janam ki pyaasi hay
Saahil par chalney say pehlay apney paoon bhigo laina

Main nay darya say seekhi hay paani ki parda daari
Oopar oopar hunstey rehna, gehraayi main rou laina

Rotey kiyoon hou dil waaloun ki qismat aisi hoti hay
Saari raat yoonhi jaagogey din nikley to sou laina !!


Poet: BASHEER BADAR

Mailed By Roja


One of my favourites...Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #56 on: May 18, 2008, 01:14:13 PM »
Reply with quote
Bohat Khoob Ji

Merii zubaa.N se merii daastaa.N suno to sahii
Yaqii.N karo na karo meherbaa.N suno to sahii


Chalo ye maan liyaa mujrim-e-mohabbat hai.n
Hamaare jurm kaa hamse bayaa.N suno to sahii


Banoge dost mere tum bhii dushmano.n ek din
Merii hayaat kii aah-o-fuGaa.N suno to sahii


Labo.n ko sii ke jo baiThe hai.n bazm-e-duniyaa me.n
Kabhii to unakii bhii Khamoshiyaa.N suno to sahii


Kahoge vaqt ko mujarim bharii bahaaro.n me.n
Jalaa thaa kaise meraa aashiyaa.N suno to sahii



Sudarshan Fakir



Nice Sharing !
Logged
Talat
Guest
«Reply #57 on: May 18, 2008, 01:14:54 PM »
Reply with quote
Nafrat ko nafrat se fanaah na ker
Wafa ker be-wafayi ka Gunah na ker


harash

Do lines, magar kya khoob likha hai !!

Logged
Talat
Guest
«Reply #58 on: May 18, 2008, 01:15:52 PM »
Reply with quote
Besada muflison ki sada ab toh sun
Sab pata hai tujhe ye khuda ab toh sun

Luta hai zamana inhe kis tarah
Aa jara dekh tu ye sama ab toh sun

Kaun inka sunega tumare sivay
Kisliye aankh roye gila ab toh sun

Bebasi inki aa kar zara dekh le
Kar nigahe-karam, yeh dua ab to sun

Chand taare inhone na mange kabhi
De siyahi ko inke diye ab toh sun

Kya hua hai tujhe, tu bi sunta nahi
Kaun inki sune fir bata(बता) ab toh sun

Ta rahe hai kehar joh unhe de saja
Bas "Roja" ki itni dua ab toh sun

=======================
Besada = be awaz, Sama = drushya
Nigahe-karam = kripa drishti
Kehar = atyachar

Bohot khoob Roja !!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #59 on: May 18, 2008, 01:56:37 PM »
Reply with quote
Roja ji aadaab...
Mene baat ko badha chadha kar pesh nahi kiya he, Sab se badi baat he "wazan" jab tak sher me wazan naho wo "nazam" nahi "nasar" kehlata he, YO par istara sahih kalam pesh karne waale log bohot hain magar phir bhi kam hain, aksariyat iski parwah nahi karti.

Aap ke ash'aar me aksar wazan sahi hota he, jese aap ka sher:


Besada muflison ki sada ab to sun
Sab pata hai tujhe ae khuda ab to sun

Agar ye soch samajh kar wazan par likhe gae hen to bohot achhchha he or agar beirada hi wazan par sher kehdale to or bhi achhchha he, iska matlab he fitrat me shayri he, jo bohot unche maqaam tak pohonchne ki daleel he.

Afsos he ke mene pehle aap ko kyun nahi padha shayad is liye ke ham dono ka waqt alag he YO par aane ka.


Sayyid,

Hume bohot khushi hai ki YOIndia pe aap jaise shayar hain, Yaqeenan, aapka kalam kam nazar aata hai yahan, par bohot hi aa'ala !! Aapki shayari ke to hum qayal hain...... Usual Smile

Beshak yahan bohot log likhte hain lekin sahi maayne main urdu shayari kam hi log karte hain..magar seekhne main kaisi sharam...aur jo log seekhne main sharam mehsoos nahin karte, wohi aage badhte hain....

Aapke fan se agar meri bhi shayari durust ho, to mujhe is baat se zyada khushi aur kya hogi..Ummed hai ki aap humari islaah karte rahenge (jaise ki karte rehte hain )Usual Smile
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 23
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 10:09:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer