Gham-E-Zindagi Ko Jeene Mein Rakha Kya Hai "Khwaish"

by khwaish on June 20, 2010, 11:42:44 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 6210 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Aankhon mein hai par aankh ne dekha Nahi abhi
Woh pathar Jisse Maine Tarasha Nahi Abhi..

Palkon Ne Thaama hai jisse umar bhar
Woh Ahhq ka katra aankh se Barsa Nahi Abhi...

Gham-E-Zindagi ko Jeene Mein Rakha Kya Hai
Par marne Ki Bhi Koi Aarzoo-E-Tamanna Nahi Abhi...

Kaun Kehta Hai Faaslo mein Log Ek duje Bhool Jaate Hai
Dooriyan Laakh Sahi par Woh Shaks ne Mujhe bhoola Nahi Abhi..

Zindagi Ki Iss Afra-Tafri mein Har Koi Mashroof Hai
Par Woh Shaks Meri Zehan Se Utra Nahi Abhi...

Khilone Ki Tarah Yahan Dil Bhi Tooth The Hai
Chot Khaakar Bhi usne Kuch seekha Nahi Abhi

"Khwaish" Duniya Ki Bheed mein Khud Ko Dhoondhta Hai!!!!
Apne Hi Aks Ko Jisne Kaagaz Par Utaara Nahi Abhi...



                 ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #1 on: June 20, 2010, 12:57:57 PM »
Reply with quote
wah wah kamaal ka likha hai .bahut behatreen ghazalon mein se ek superb.wonderful. icon_flower icon_flower Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley hello2 hello2
Aankhon mein hai par aankh ne dekha Nahi abhi
Woh pathar Jisse Maine Tarasha Nahi Abhi..

Palkon Ne Thaama hai jisse umar bhar
Woh Ahhq ka katra aankh se Barsa Nahi Abhi...

Gham-E-Zindagi ko Jeene Mein Rakha Kya Hai
Par marne Ki Bhi Koi Aarzoo-E-Tamanna Nahi Abhi...

Kaun Kehta Hai Faaslo mein Log Ek duje Bhool Jaate Hai
Dooriyan Laakh Sahi par Woh Shaks ne Mujhe bhoola Nahi Abhi..

Zindagi Ki Iss Afra-Tafri mein Har Koi Mashroof Hai
Par Woh Shaks Meri Zehan Se Utra Nahi Abhi...

Khilone Ki Tarah Yahan Dil Bhi Tooth The Hai
Chot Khaakar Bhi usne Kuch seekha Nahi Abhi

"Khwaish" Duniya Ki Bheed mein Khud Ko Dhoondhta Hai!!!!
Apne Hi Aks Ko Jisne Kaagaz Par Utaara Nahi Abhi...



                 ~~~~~Khwaish~~~~~

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: June 20, 2010, 03:06:32 PM »
Reply with quote
wah wah kamaal ka likha hai .bahut behatreen ghazalon mein se ek superb.wonderful. icon_flower icon_flower Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley hello2 hello2

Bahut Bahut Aur bahut Shukriya Sureshji...

Thankyou Soooooooooooooo Much for giving your time.. icon_flower
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: June 20, 2010, 03:13:03 PM »
Reply with quote
Bahut umda peshkash hai aap ki Khwaish Ji
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #4 on: June 20, 2010, 03:33:12 PM »
Reply with quote
KHWAISH JI BAHUT KHOOB ! AAP KI IS PESHKASH SE BARBAS PARVEEN SHAQIR JI KI LIKHI EK GAZAL MUJHE YAAD AA GAYEE.......PESH-E-KHIDMAT HAI...........

TUJHSE TO KOI GILA NAHI HAI
QISMAT ME MERI SILA NAHI HAI

BICHADE TO NA JANE KYA HAAL HO
JO SHAKHS ABHI MILA NAHI HAI

JEENE KI TO AARZOO HI KAB THI
MARNE KA BHI HOUSLA NAHI HAI

JO ZEEST KO MOTBAR BANA DE
AISA KOI SILSILA NAHI HAI

KHUSHBOO KA HISAB HO CHUKA HAI
OR PHOOL ABHI KHILA NAHI HAI

IS THES PE DIL KA PHOOT BAHANA
CHOONE ME TO AABALA NAHI HAI
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: June 20, 2010, 03:40:42 PM »
Reply with quote
Bohat Achche KHwaaish Bhai,.
And Nice One Mamta Ji,.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: June 20, 2010, 08:19:54 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut bahut khoob... bahut hi umda Khwaish ji...!!!
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #7 on: June 21, 2010, 01:13:43 AM »
Reply with quote
wah khwish saheb bahot khoob janab
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #8 on: June 21, 2010, 07:12:56 AM »
Reply with quote
Bahut hi khoob Khwaish ji very touchig gazal,beautiful lines by Mamta ji.great creation. Hats off to you! Both Thumbs Up Both Thumbs Up Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: June 21, 2010, 09:38:12 AM »
Reply with quote
Bahut umda peshkash hai aap ki Khwaish Ji

Bahut Bahut Shukriya Rajeshji.. icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: June 21, 2010, 01:45:19 PM »
Reply with quote
KHWAISH JI BAHUT KHOOB ! AAP KI IS PESHKASH SE BARBAS PARVEEN SHAQIR JI KI LIKHI EK GAZAL MUJHE YAAD AA GAYEE.......PESH-E-KHIDMAT HAI...........

TUJHSE TO KOI GILA NAHI HAI
QISMAT ME MERI SILA NAHI HAI

BICHADE TO NA JANE KYA HAAL HO
JO SHAKHS ABHI MILA NAHI HAI

JEENE KI TO AARZOO HI KAB THI
MARNE KA BHI HOUSLA NAHI HAI

JO ZEEST KO MOTBAR BANA DE
AISA KOI SILSILA NAHI HAI

KHUSHBOO KA HISAB HO CHUKA HAI
OR PHOOL ABHI KHILA NAHI HAI

IS THES PE DIL KA PHOOT BAHANA
CHOONE ME TO AABALA NAHI HAI

Pasand Farmane Ke liye mamta ji aapka teh dil se shukriya..

Aur mamta ji, aapne bhi Parveen Shaqir ji ki Bahut khoobsurat Ghazal pesh ki hai..

umeed Karta hoon,aap yuhi Humara Hausla badhaate rahenge.. icon_flower
Logged
Qadeer.toopchi
Guest
«Reply #11 on: June 21, 2010, 01:49:24 PM »
Reply with quote
Bhai yaar Khawish saheb , Kya koi qazana likh kar rakha howa apne , Roz eak nayi Taqleeq ke saath  tashreef farma rahete ho , Bahoth qoob Hamesha ki tarhan ,  dad hazir hai ,, Allah apko hamesha khush rakhe


Apka bhai

Qadeertoopchi
Logged
Qadeer.Toopchi
Guest
«Reply #12 on: June 21, 2010, 01:51:11 PM »
Reply with quote
KHWAISH JI BAHUT KHOOB ! AAP KI IS PESHKASH SE BARBAS PARVEEN SHAQIR JI KI LIKHI EK GAZAL MUJHE YAAD AA GAYEE.......PESH-E-KHIDMAT HAI...........

TUJHSE TO KOI GILA NAHI HAI
QISMAT ME MERI SILA NAHI HAI

BICHADE TO NA JANE KYA HAAL HO
JO SHAKHS ABHI MILA NAHI HAI

JEENE KI TO AARZOO HI KAB THI
MARNE KA BHI HOUSLA NAHI HAI

JO ZEEST KO MOTBAR BANA DE
AISA KOI SILSILA NAHI HAI

KHUSHBOO KA HISAB HO CHUKA HAI
OR PHOOL ABHI KHILA NAHI HAI

IS THES PE DIL KA PHOOT BAHANA
CHOONE ME TO AABALA NAHI HAI


Wah Mamta saheba , Kya qoob Ghazal share ki hai , Jaise log waisi Pasand , Ap khudh itna acha likhti hoke kya kahen , aur apki pasand ka bhi jawab nahi , Bahoth qoob Parveen shakir saheba ki har ghazal eak shahkaar ki tarhan hai..


Duwa go

Qadeertoopchi
Logged
dead heart
Guest
«Reply #13 on: June 21, 2010, 09:33:27 PM »
Reply with quote
Wah mere dost..kya baat hai...Behad khubsoorat likha hai bhai jaan apne...hmm akhri shaer toh choooooo gaya... Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #14 on: June 21, 2010, 09:37:21 PM »
Reply with quote
KHWAISH JI BAHUT KHOOB ! AAP KI IS PESHKASH SE BARBAS PARVEEN SHAQIR JI KI LIKHI EK GAZAL MUJHE YAAD AA GAYEE.......PESH-E-KHIDMAT HAI...........

TUJHSE TO KOI GILA NAHI HAI
QISMAT ME MERI SILA NAHI HAI

BICHADE TO NA JANE KYA HAAL HO
JO SHAKHS ABHI MILA NAHI HAI

JEENE KI TO AARZOO HI KAB THI
MARNE KA BHI HOUSLA NAHI HAI

JO ZEEST KO MOTBAR BANA DE
AISA KOI SILSILA NAHI HAI

KHUSHBOO KA HISAB HO CHUKA HAI
OR PHOOL ABHI KHILA NAHI HAI

IS THES PE DIL KA PHOOT BAHANA
CHOONE ME TO AABALA NAHI HAI

Bahaut achi sharing hai Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:28:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer