GHAR KI DULHAN....////.................................////....IFTAKHAR

by Iftakhar Ahmad on October 20, 2014, 11:12:27 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1760 times)
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #15 on: November 06, 2014, 02:46:37 PM »
Reply with quote
Akash jee, bahut shukriya.
bahut hi khoobsurat peskash sirji Usual Smile
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #16 on: November 06, 2014, 02:48:00 PM »
Reply with quote
Zarra saheb, jaankar bahut khushi hui ke aapko ghazal itni pasand aai. Phir aapke taareef karne ka andaaz bhi to niraala hai. Bahut achha lagta hai aapke comments dekh kar, bahut bahut shukriya.

WWWWWAAAAAAHHHHHHH

mohabbat me rang mein padhne waale ko rangti huwee is beintehaa khoobsurat ghazal par dheron dheron daad Iftakhaar bhai!!! Is ki khoobsurti masti chanchalta maasoomiyat ... na jaane kitne rangon se rangi hai ye chunar jise ghazal ki shakl mein aap ne push kiya hai !!! marvellous!!!


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #17 on: November 06, 2014, 03:08:43 PM »
Reply with quote
Wah Wah Wah Bahut umda ghazal hai janab dad qubool karen ...darje zel sher ko dekh len shutur ghurba ka aib dar aaya hai ..

K  sakhiyoN   se   tum   zikr   karti   ho  mera
Saheli  se    teri     pata     kar     chuke  haiN

Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #18 on: November 10, 2014, 04:44:51 PM »
Reply with quote
Qadeer saheb, bahut shukriya itni tawajj: se ghazal padhne ke liye. Misra-e-oola meN maine 'sakhiyoN' likha hai aur misra-e-saani meN 'Saheli', mere khayaal se ye sahi hai, phir bhi agar aapko aisa lag raha hai to thoda explain kareN.
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #19 on: November 11, 2014, 05:32:40 AM »
Reply with quote
baat sakhiyun saheli ki nahi tum aur teri ki hai ....Pahle misre me kissi ko tum se khitaab kar doosre me tu ya teri se khitaab karna shutur gurba hai ...mai ghalat bhi ho sakta hun aap tahqeeq kar len ...shukriyah ek baar dad hazir hai aapki is ghazal per aaj idhar aana hua to aapka comments parha ...pahle misre me agarche lafz tum baandha gaya hai to doosre misre me lafz tumhari ka mahal hai na ke teri ka ....ab ghaleban aap samjh gaye hunge
Logged
sbechain
Guest
«Reply #20 on: November 11, 2014, 11:31:53 AM »
Reply with quote


Nehaayat haseeN  ek  khata  kar chuke haiN
Mohabbat  ki  ham  ibteda  kar  chuke  haiN
icon_flower icon_flower :icon_flower:mubarak ho janaab!
Hai haq  dil  pe   mere  mukammal  unhiN ka
Jo tohfe meN  dil  ham  ataa kar chuke haiN
mujhe dil nahin dimaag chahiye mere paas iski kami bahut hai Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!
Maraz  ishq   ka    hai    jo   sab  be  asar hai
Dawa kar  chuke  haiN  dua  kar  chuke haiN
haan ji isi ka ilaaj nahin hai na pahle tha na aane waale dino.n mein hoga crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2!
Mohabbat   meN   hai   ab   fana  meri  hasti
Mohabbat ki  qeemat  adaa  kar  chuke haiN
 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard =)) Laughing hard!
Mujhe  sang    unke     basaani    hai  duniya
Mohabbat  meN   ye   faisla  kar  chuke  haiN
ek tarfa faisla badaa jaan lewa hota hai janaab icon_flower icon_flower icon_flower!
K  sakhiyoN   se   tum   zikr   karti   ho  mera
Saheli  se    teri     pata     kar     chuke  haiN
haan ji meri saheliyo.n ko koi baat hazam hi nahin hoti.aakhir aurat ka basic nature hai ye Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!
BanaaeNge tujh  ko  hi  ham  ghar  ki dulhan
Ye ghar waaloN se  mashwera kar chuke haiN
acha mujh se bina mashwera kiye Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!



acha laga padh kar 1 rau deti hooon icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #21 on: November 11, 2014, 02:00:53 PM »
Reply with quote
HaaN maiN ab samjha, sorry, ye ghalti hai, iss per mujhe sochna hoga, bahut shukriya aagaah karne ka.

baat sakhiyun saheli ki nahi tum aur teri ki hai ....Pahle misre me kissi ko tum se khitaab kar doosre me tu ya teri se khitaab karna shutur gurba hai ...mai ghalat bhi ho sakta hun aap tahqeeq kar len ...shukriyah ek baar dad hazir hai aapki is ghazal per aaj idhar aana hua to aapka comments parha ...pahle misre me agarche lafz tum baandha gaya hai to doosre misre me lafz tumhari ka mahal hai na ke teri ka ....ab ghaleban aap samjh gaye hunge
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #22 on: November 11, 2014, 02:02:00 PM »
Reply with quote
Bahut nawaazish Sheba Mam, shukriya hausla afzaai aur Rau ka.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #23 on: November 11, 2014, 03:27:53 PM »
Reply with quote
Qadeer saheb, maine misra change kar liya hai:

K sakhiyoN se tu zikr karti hai mera
Saheli se teri pata kar chuke haiN

baat sakhiyun saheli ki nahi tum aur teri ki hai ....Pahle misre me kissi ko tum se khitaab kar doosre me tu ya teri se khitaab karna shutur gurba hai ...mai ghalat bhi ho sakta hun aap tahqeeq kar len ...shukriyah ek baar dad hazir hai aapki is ghazal per aaj idhar aana hua to aapka comments parha ...pahle misre me agarche lafz tum baandha gaya hai to doosre misre me lafz tumhari ka mahal hai na ke teri ka ....ab ghaleban aap samjh gaye hunge
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 01:23:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.159 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer