GHazal Baqayde Matla

by Nadeem Ahmed Kavish on June 10, 2009, 05:34:26 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1091 times)
Nadeem Ahmed Kavish
Guest
Reply with quote
Dosto.n shayeri mein ghazal mein ek fan hai ghazal baqaude matla ismein sher ka har sher ek matla hota hai aap sab bhi dekhiyega...

Safar taveel sahi phir bhi mukhtasar hota,
Wo beniyaz shareeq e safar agar hota.

Na roti aankhei.n na chalni mera jigar hota,
Tumhaari ankh ka jaadu jo beasar hota.

Khuda ke huqm nabi ke tareeqe par hota,
Zamane bhar ka musalmaa.n tu rahbar.

Tumhaare shahar me apna kabhi guzar hota,
Har ek naqsh e qadam par humara sar hotya.

Tu mere saye me rahta qareeb tar hota,
Ae kash tere hi aangan ka main shajar hota.

Agar masahib e imlaak ahle zar hota,
Yaqeen janiye ik shakhs e motbar hota.

Main apne aap se aise na bekhabar hota,
Na aarzu teri hoti na dar badar hota.

Na fiqr e zeest hi hoti na fiqr e zar hota,
Mera wajood kisi raah ka shajar hota.

Rahe hayat me wo mera hamsafar hota,
Takhayyulaat se mamoor mera ghar hota.

Pada hua na main is tarha rah par hota
Mera bhi bazm e jaha.n me kahin jo ghar hota.

Na tang hum pe zamana ye is qadar hota,
Agar duwaon me apni koi asar hota.

Jamal e husn e nabi gar na motbar hota,
Na hota shams hi ‘Kavish’ na ye qamar hota.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
a ghazal by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
ghazal by roomaharis in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Ghazal by Pooja in Ghazals
ek matla ............ by mrigank in Shayri for Khumar -e- Ishq
Matla Band Ghazal ( Qadeertoopchi ) by qadeer_junaid in Ghazals
Talat
Guest
«Reply #1 on: June 10, 2009, 05:37:55 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Mashallah...Behtareen peshkash...Bohot hi umdah kalam likha hai aapne Nadeem sahab,.... Bohot bohot Khoob !!

Mere khyaal main ye Ghazal Section main zyada munasib rahega.....!

Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #2 on: June 11, 2009, 01:57:08 AM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB kAVISH jI
WAH WAH
SARVESH RASTOGI
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: June 11, 2009, 05:09:20 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Nadeem ji,kamaal ka likha hai aapne, Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #4 on: March 23, 2010, 12:11:27 PM »
Reply with quote
Nadeem sahab aapne bahut purkashish aur classic ghazal likhi hai. Sirf matle ki qaid mein rahkhar koi mahir shayar hi aisi ghazal likh sakta hai. Bahot khoob. Afreen.
Dosto.n shayeri mein ghazal mein ek fan hai ghazal baqaude matla ismein sher ka har sher ek matla hota hai aap sab bhi dekhiyega...

Safar taveel sahi phir bhi mukhtasar hota,
Wo beniyaz shareeq e safar agar hota.

Na roti aankhei.n na chalni mera jigar hota,
Tumhaari ankh ka jaadu jo beasar hota.

Khuda ke huqm nabi ke tareeqe par hota,
Zamane bhar ka musalmaa.n tu rahbar.

Tumhaare shahar me apna kabhi guzar hota,
Har ek naqsh e qadam par humara sar hotya.

Tu mere saye me rahta qareeb tar hota,
Ae kash tere hi aangan ka main shajar hota.

Agar masahib e imlaak ahle zar hota,
Yaqeen janiye ik shakhs e motbar hota.

Main apne aap se aise na bekhabar hota,
Na aarzu teri hoti na dar badar hota.

Na fiqr e zeest hi hoti na fiqr e zar hota,
Mera wajood kisi raah ka shajar hota.

Rahe hayat me wo mera hamsafar hota,
Takhayyulaat se mamoor mera ghar hota.

Pada hua na main is tarha rah par hota
Mera bhi bazm e jaha.n me kahin jo ghar hota.

Na tang hum pe zamana ye is qadar hota,
Agar duwaon me apni koi asar hota.

Jamal e husn e nabi gar na motbar hota,
Na hota shams hi ‘Kavish’ na ye qamar hota.

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:28:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer