Ghazal likhte hain

by @kaash on May 25, 2009, 11:21:18 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1486 times)
@kaash
Guest
Reply with quote
kaise kah den aur kyun kar fazal likhte hain
nashaad bhi nahi phir bhi ghazal likhte hain


kabhi mujrim se muljim kabhi muljim se mujrim
sitam nahi ye hargiz jo ab vohi adal likhte hain

nashaad bhi nahi phir bhi ghazal likhte hain..


apne shaano se sukoo ke patte gira vo bargad kho gaya
us zami par aaj bhi nishaani me uske hazel milte hain


nashaad bhi nahi phir bhi ghazal likhte hain..


hasraton ke chiraag na jalne se jalte na bujhne se bujhte
manzilon par phunchkar bhi raaste ko safar milte hain

nashaad bhi nahi phir bhi ghazal likhte hain..


dard ek sheesha hai jise harf-e-ghazal chamkata hai
kalam se aisi dosti hai hum nahi pehel karte hain

nashaad bhi nahi phir bhi ghazal likhte hain..


"kaash" ghamkhwaari yun hi seekhta ja khud se tu
zindadi bakhsh unme bhi jin lamhon me ajal milte hain

nashaad bhi nahi phir bhi ghazal likhte hain



-KAASH-





meaning


Fazal - charismatic,elevation.related to God

Adal - justice,nyaay

hazel - small tree

pehel - shuruaat

ajal  - qaza, maut
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #1 on: May 25, 2009, 03:11:49 PM »
Reply with quote
...good one Kaash...ek ghazal hum bhi likhenge par abhi thode jaldi mein hai...kal pakka likhenge...
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #2 on: May 26, 2009, 02:27:17 AM »
Reply with quote
Bahut khoobsurat Kaash Ji
SARVESH RASTOGI
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: May 28, 2009, 01:34:30 PM »
Reply with quote
Bahut accha likha hai ye gazal @Kaash ji.. Applause
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #4 on: May 28, 2009, 01:37:21 PM »
Reply with quote
Mila woh bhi nahi karte, mila hum bhi nahi karte,
Wafa woh bhi nahi karte wafa hum bhi nahi karte,
Unhe ruswaai ka dukh hame tanhaai ka dard,
Gila woh bhi nahi karte, shikwa hum bhi nahi karte,
Kisi mod par takra bhi jaaye woh agar,
Ruka woh bhi nahi karte, thehra hum bhi nahi karte,
Jab bhi dekhte hai unhe sochte hai kuchh kahe unse,
Suna woh bhi nahi karte, Bola hum bhi nahi karte,
Lekin yeh sach hai ki mohabbat unhe bhi hai humse,
Ikraar woh bhi nahi karte, izhaar hum bhi nahi karte...
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: May 29, 2009, 11:04:03 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Kaash Ji.... Bohot achcha likha hai aapne..Bohot Khoob !!

Nice one JHL
Logged
KHILTAGULAB
Guest
«Reply #6 on: May 30, 2009, 12:52:56 PM »
Reply with quote
BAHOOT HI PAYAARI GALAS HAI AAP DONO KI KAASH JI AUR JHL JI

Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #7 on: May 30, 2009, 02:14:08 PM »
Reply with quote
...thanks a lot Celmira n KG for appreciation...
Logged
aaina
Guest
«Reply #8 on: June 01, 2009, 06:28:18 AM »
Reply with quote
kaise kah den aur kyun kar fazal likhte hain
nashaad bhi nahi phir bhi ghazal likhte hain


kabhi mujrim se muljim kabhi muljim se mujrim
sitam nahi ye hargiz jo ab vohi adal likhte hain

nashaad bhi nahi phir bhi ghazal likhte hain..


apne shaano se sukoo ke patte gira vo bargad kho gaya
us zami par aaj bhi nishaani me uske hazel milte hain


nashaad bhi nahi phir bhi ghazal likhte hain..


hasraton ke chiraag na jalne se jalte na bujhne se bujhte
manzilon par phunchkar bhi raaste ko safar milte hain

nashaad bhi nahi phir bhi ghazal likhte hain..


dard ek sheesha hai jise harf-e-ghazal chamkata hai
kalam se aisi dosti hai hum nahi pehel karte hain

nashaad bhi nahi phir bhi ghazal likhte hain..


"kaash" ghamkhwaari yun hi seekhta ja khud se tu
zindadi bakhsh unme bhi jin lamhon me ajal milte hain

nashaad bhi nahi phir bhi ghazal likhte hain



-KAASH-





meaning


Fazal - charismatic,elevation.related to God

Adal - justice,nyaay

hazel - small tree

pehel - shuruaat

ajal  - qaza, maut


kya baat hai kaas bhut hi achay daad hazir hai dost....
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:12:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer