Ghazal : QaTraa-E-Ashq ... ! NARESH MEHRA

by Anshumali on October 26, 2011, 01:25:31 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1908 times)
Anshumali
Guest
Reply with quote
Palak Pe Theharaa JyoN Kaa TyoN Hai
QaTraa-E-Ashq Rakhaa JyoN Kaa TyoN Hai ...
 
Aayaa HooN Kayee Roz Baad Ghar MeN
Aaiine MeN Chehraa JyoN Kaa TyoN Hai ...
 
Kal Jo PaDhke Rakhi Thii KiTaab Maine
MuDaa Uskaa Safaa JyoN Kaa TyoN Hai ...
 
Tanahaai MeN Soch Ke Koi Meri BaaT
Uss Kaa Ro Denaa JyoN Kaa TyoN Hai ...
 
Dhoop Utarne Ko Betaab Hai Aangan MeN
Deewaar Kaa Saayaa JyoN Kaa TyoN Hai ...
 
Hawaa Ne Dii Hogi Dastak Darwaaze Par
Magar Intezaar Uss Kaa JyoN Kaa TyoN Hai ...
 
Vidaa Ho Ke Gaii Hai Jab Se Bitiyaa "Naresh"
Khaalipan Se Ubharnaa JyoN Kaa TyoN Hai ...

--------------------- Naresh Mehra ---------------------
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kis HuQ Se ... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Ghazal : Shaurahat Ka Khilona ... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Ghazals
Aur Tum ... !! NARESH MEHRA by Anshumali in Ghazals « 1 2  All »
HaTheli Pe Ashq ... ! NARESH MEHRA. by Anshumali in Ghazals « 1 2  All »
Ghazal : Ashq AankhoN MeN ... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Ghazals « 1 2  All »
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #1 on: October 26, 2011, 01:32:17 PM »
Reply with quote
naresh ji bahut khoob ,mazaa aa gaya.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Imdad
Guest
«Reply #2 on: October 26, 2011, 07:32:28 PM »
Reply with quote
Bade dino baad aye hain Yo india par magar yahan par "Naresh" jyon ka tyon hai.

Bahot khoob naresh ji. daad kubul karein.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: October 27, 2011, 04:59:49 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #4 on: October 27, 2011, 09:49:55 AM »
Reply with quote
naresh ji bahut khoob ,mazaa aa gaya.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Pasandeedgi Kaa Behad ShukriyaaH ... SURESH SANGWAN Ji !!!
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #5 on: October 27, 2011, 09:51:44 AM »
Reply with quote
Bade dino baad aye hain Yo india par magar yahan par "Naresh" jyon ka tyon hai.

Bahot khoob naresh ji. daad kubul karein.

Nawaazish Hai ... Imdad Ji ! Yaad Rakhne Kaa Behad ShukriyaaH !!!
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #6 on: October 27, 2011, 09:53:06 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause

Hauslaa Afzaaii Kaa Bahut Bahut ShukriyaaH ... sksaini ji !!!
Logged
sarfira
Guest
«Reply #7 on: October 27, 2011, 10:53:40 AM »
Reply with quote
last aashar ke ehsaas ke kya kahne janaab--
ye bht bht khoob sach ki bayani hai.
poori ghazal ki peshgi lajawaab hai--
daad daad daad

muskurate rahie
khus rahie
Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #8 on: October 27, 2011, 11:33:08 AM »
Reply with quote
Naresh Jee Aadaab!

Bade dino bad aapki mehfil meiN shirkat dekhkar
khushi huyi... Aur aik khubsurat kalaam ke saath
aap aaye iske liye aapko mubarakbad.. Usual Smile

Behad khub ahsaas O khayaal rahe ashaaroN ke..
KhayaaloN meiN kafi gehrai bhi rahi..

Humari dili daad O mubarakbad kabul kijiye.. Usual Smile

Likhate rahiye.. Aate rahiye..
Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #9 on: October 28, 2011, 12:00:58 PM »
Reply with quote
last aashar ke ehsaas ke kya kahne janaab--
ye bht bht khoob sach ki bayani hai.
poori ghazal ki peshgi lajawaab hai--
daad daad daad

muskurate rahie
khus rahie
Usual Smile

Behad ShukriyaaH ...... Janaab !!!
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #10 on: October 28, 2011, 12:04:11 PM »
Reply with quote
Naresh Jee Aadaab!

Bade dino bad aapki mehfil meiN shirkat dekhkar
khushi huyi... Aur aik khubsurat kalaam ke saath
aap aaye iske liye aapko mubarakbad.. Usual Smile

Behad khub ahsaas O khayaal rahe ashaaroN ke..
KhayaaloN meiN kafi gehrai bhi rahi..

Humari dili daad O mubarakbad kabul kijiye.. Usual Smile

Likhate rahiye.. Aate rahiye..
Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile


Sameer Bhai ... Aamad ... Khuloos ... Pasandeedgi  Kaa Behad Shukriyaa ... ! Koshish Rahegi ... Aage Bhi Aataa RahuN ... Yeh Sab  Aap Kii Mohabbat Hai ... Khush Rahen ... !
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #11 on: October 28, 2011, 12:18:39 PM »
Reply with quote

Naresh Ji,

Bahut din ke baad aapki ghazal
padhee, achchha laga.

Khoobsoorat andaaz hai...waah waah.

Daad qubool farmaayen.

Satish Shukla 'Raqeeb'
Logged
Sachin Saini
Guest
«Reply #12 on: October 28, 2011, 02:18:53 PM »
Reply with quote
Palak Pe Theharaa JyoN Kaa TyoN Hai
QaTraa-E-Ashq Rakhaa JyoN Kaa TyoN Hai ...
 
Aayaa HooN Kayee Roz Baad Ghar MeN
Aaiine MeN Chehraa JyoN Kaa TyoN Hai ...
 
Kal Jo PaDhke Rakhi Thii KiTaab Maine
MuDaa Uskaa Safaa JyoN Kaa TyoN Hai ...
 
Tanahaai MeN Soch Ke Koi Meri BaaT
Uss Kaa Ro Denaa JyoN Kaa TyoN Hai ...
 
Dhoop Utarne Ko Betaab Hai Aangan MeN
Deewaar Kaa Saayaa JyoN Kaa TyoN Hai ...
 
Hawaa Ne Dii Hogi Dastak Darwaaze Par
Magar Intezaar Uss Kaa JyoN Kaa TyoN Hai ...
 
Vidaa Ho Ke Gaii Hai Jab Se Bitiyaa "Naresh"
Khaalipan Se Ubharnaa JyoN Kaa TyoN Hai ...

--------------------- Naresh Mehra ---------------------

waah ! janaab !! waah !!!
Logged
mkv
Guest
«Reply #13 on: October 29, 2011, 06:29:18 AM »
Reply with quote
Palak Pe Theharaa JyoN Kaa TyoN Hai
QaTraa-E-Ashq Rakhaa JyoN Kaa TyoN Hai ...
 
Aayaa HooN Kayee Roz Baad Ghar MeN
Aaiine MeN Chehraa JyoN Kaa TyoN Hai ...
 
Kal Jo PaDhke Rakhi Thii KiTaab Maine
MuDaa Uskaa Safaa JyoN Kaa TyoN Hai ...
 
Tanahaai MeN Soch Ke Koi Meri BaaT
Uss Kaa Ro Denaa JyoN Kaa TyoN Hai ...
 
Dhoop Utarne Ko Betaab Hai Aangan MeN
Deewaar Kaa Saayaa JyoN Kaa TyoN Hai ...
 
Hawaa Ne Dii Hogi Dastak Darwaaze Par
Magar Intezaar Uss Kaa JyoN Kaa TyoN Hai ...
 
Vidaa Ho Ke Gaii Hai Jab Se Bitiyaa "Naresh"
Khaalipan Se Ubharnaa JyoN Kaa TyoN Hai ...

--------------------- Naresh Mehra ---------------------
Vaah Vaah Naresh ji
apki is gajal ne dil khush kar diya..jis andaj me aapne jajbaato ko jafj diya hai usse kaafi kuch seekha ja sakta hai..
Daad kuboolm kare
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #14 on: October 29, 2011, 10:26:35 PM »
Reply with quote
Naresh Ji,

Bahut din ke baad aapki ghazal
padhee, achchha laga.

Khoobsoorat andaaz hai...waah waah.

Daad qubool farmaayen.

Satish Shukla 'Raqeeb'


Nawaazish Hai ... Behad ShukriyaaH ... Satish Shukla Ji !!!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:38:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer